Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 3

1 Aur Sardís kí kalísiyá ke firishte ko yih likh, ki

Jis ke pás Ḳhudá kí sát rúheṉ haiṉ aur sát sitáre haiṉ, wuh yih kahtá hai, ki Maiṉ tere kámoṉ ko jántá húṉ, ki tú zinda kahlátá hai, aur hai murda.

2 Jágtá rah, aur un chízoṉ ko jo báqí haiṉ aur jo miṭne ko thíṉ, mazbút kar; kyúṉki maiṉ ne tere kisí kám ko apne Ḳhudá ke nazdík púrá nahíṉ páyá.

3 Pas yád kar, ki tú ne kis tarah taʻlím páí, aur suní thí, aur us par qáim rah, aur tauba kar. Aur agar tú jágtá na rahegá, to maiṉ chor kí tarah á jáúṉgá, aur tujhe hargiz maʻlúm na hogá ki kis waqt tujh par á paṛúṉgá.

4 Albatta Sardís meṉ tere háṉ thoṛe se aise shaḳhs haiṉ, jinhoṉ ne apní poshák álúda nahíṉ kí; wuh safed poshák pahine húe mere sáth sair kareṉge, kyúṉki wuh is láiq haiṉ.

5 Jo gálib áe, use isí tarah safed poshák pahináí jáegí, aur maiṉ us ká nám kitáb i hayát se hargiz na káṭúṉgá, balki apne Báp aur us ke firishtoṉ ke sámne us ke nám ká iqrár karúṉgá.

6 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.

7 Aur Filadilfiya kí kalísiyá ke firishte ko yih likh, ki

Jo quddús aur barhaqq hai, aur Dáúd kí kunjí rakhtá hai, jis ke khole húe ko koí band nahíṉ kartá, aur band kiye húe ko koí kholtá nahiṉ, wuh yih kahtá hai, ki

8 Maiṉ tere kámoṉ ko jántá húṉ, (dekh, maiṉ ne tere sámne ek darwáza khol rakkhá hai, koí use band nahíṉ kar saktá;) ki tujh meṉ thoṛá sá zor hai, aur tú ne mere kalám par ʻamal kiyá hai, aur mere nám ká inkár nahíṉ kiyá.

9 Dekh, maiṉ Shaitán ke un jamáʻatwáloṉ ko tere qábú meṉ kar dúṉgá, jo apne áp ko Yahúdí kahte haiṉ, aur haiṉ nahíṉ, balki jhúṭh bolte haiṉ; dekh, maiṉ aisá karúṉgá, ki wuh ákar tere páṉwoṉ meṉ sijda kareṉge, aur jáneṉge ki mujhe tujh se mahabbat hai.

10 Chúṉki tú ne mere sabr ke kalám par ʻamal kiyá hai, is liye maiṉ bhí ázmáish ke us waqt terí hifázat karúṉgá, jo zamín ke rahnewáloṉ ke ázmáne ke liye tamám dunyá par ánewálá hai.

11 Maiṉ jald ánewálá húṉ; jo kuchh tere pás hai, use tháme rah, táki koí terá táj na chhín le.

12 Jo gálib áe, maiṉ use apne Ḳhudá ke maqdis meṉ ek sutún banáúṉgá; wuh phir kabhí báhar na niklegá; aur maiṉ apne Ḳhudá ká nám, aur apne Ḳhudá ke shahr, yaʻní us naye Yarúshalem ká nám, jo mere Ḳhudá ke pás se ásmán se utarnewálá hai, aur apná nayá nám us par likhúṉgá.

13 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.

14 Aur Laudíkiya kí kalísiyá ke firishte ko yih likh, ki

Jo Ámín aur sachchá aur barhaqq gawáh, aur Ḳhudá kí ḳhilqat ká mabdá hai, wuh yih kahtá hai, ki

15 Maiṉ tere kámoṉ ko jántá húṉ, ki na tú sard hai na garm: kásh ki tú sard yá garm hotá.

16 Pas chúṉki tú na to garm hai, na sard, balki nímgarm hai, is liye maiṉ tujhe apne muṉh se nikál pheṉkne ko húṉ.

17 Aur chúṉki tú kahtá hai, ki Maiṉ daulatmand húṉ, aur máldár ban gayá húṉ, aur kisí chíz ká muhtáj nahíṉ; aur yih nahíṉ jántá, ki tú kambaḳht aur ḳhwár aur garíb aur andhá aur naṉgá hai;

18 is liye maiṉ tujhe saláh detá húṉ, ki mujh se ág meṉ tapáyá húá soná ḳharíd le, táki daulatmand ho jáe; aur safed poshák le, táki tú use pahinkar naṉgápan ke záhir hone kí sharmindagí na uṭháe; aur áṉkhoṉ meṉ lagáne ke liye surma le, táki tú bíná ho jáe.

19 Maiṉ jin jin ko ʻazíz rakhtá húṉ, un sab ko malámat aur tambíh kartá húṉ: pas sargarm ho, aur tauba kar.

20 Dekh, maiṉ darwáze par khaṛá húá khaṭkhaṭátá húṉ; agar koí merí áwáz sunkar darwáza kholegá, to maiṉ us ke pás andar jákar us ke sáth kháná kháúṉgá, aur wuh mere sáth.

21 Jo gálib áe, maiṉ use apne sáth apne taḳht par biṭháúṉgá, jis tarah maiṉ gálib ákar apne Báp ke sáth us ke taḳht par baiṭh gayá.

22 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 4

1 In bátoṉ ke baʻd jo maiṉ ne nigáh kí, to kyá dekhtá húṉ, ki ásmán meṉ ek darwáza khulá húá hai; aur jis ko maiṉ ne peshtar narsinge kí sí áwáz se apne sáth báteṉ karte suná thá, wuhí kahtá hai, ki Yaháṉ úpar á já; maiṉ tujhe wuh báteṉ dikháúṉgá, jin ká in bátoṉ ke baʻd honá zarúr hai.

2 Fauran maiṉ Rúh meṉ á gayá; aur kyá dekhtá húṉ, ki ásmán par ek taḳht rakkhá hai, aur us taḳht par koí baiṭhá hai;

3 aur jo us par baiṭhá hai, wuh saṉg i yashab aur ʻaqíq sá maʻlúm hotá hai, aur us taḳht ke gird zumurrud kí sí ek dhanuk maʻlúm hotí hai.

4 Aur us taḳht ke gird chaubís taḳht haiṉ: aur un taḳhtoṉ par chaubís buzurg safed poshák pahine húe baiṭhe haiṉ, aur un ke siroṉ par sone ke táj haiṉ.

5 Aur us taḳht meṉ se bijliyáṉ aur áwázeṉ aur garajeṉ paidá hotí haiṉ; aur us taḳht ke sámne ág ke sát chirág jal rahe haiṉ; yih Ḳhudá kí sát rúheṉ haiṉ;

6 aur us taḳht ke sámne goyá shíshe ká samundar billaur kí mánind hai; aur taḳht ke bích meṉ aur taḳht ke girdágird chár jándár haiṉ, jin ke áge píchhe áṉkheṉ hí áṉkheṉ haiṉ.

7 Pahlá jándár babar kí mánind hai, aur dúsrá jándár bachhṛe kí mánind, aur tísre jándár ká chihra insán ká sá hai, aur chauthá jándár uṛte húe ʻuqáb kí mánind hai.

8 Aur in chároṉ jándároṉ ke chha chha par hain, aur chároṉ taraf aur andar áṉkheṉ hí áṉkheṉ haiṉ, aur rát din bagair árám liye yih kahte rahte haiṉ, ki Quddús, quddús, quddús, Ḳhudáwand Ḳhudá, Qádir i mutlaq, jo thá, aur jo hai, aur jo ánewálá hai.

9 Aur jab wuh jándár us kí tamjíd, aur ʻizzat, aur shukrguzárí kareṉge, jo taḳht par baiṭhá hai, aur abaduʼl ábád zinda rahegá,

10 to wuh chaubís buzurg us ke sámne jo taḳht par baiṭhá hai gir paṛeṉge, aur us ko sijda kareṉge, jo abaduʼl ábád zinda rahegá, aur apne táj yih kahte húe us taḳht ke sámne ḍál deṉge, ki

11 Ai hamáre Ḳhudáwand aur Ḳhudá, tú hí tamjíd, aur ʻizzat, aur qudrat ke láiq hai: kyúṉki tú hí ne sárí chízeṉ paidá kíṉ, aur wuh terí hí marzí se thíṉ, aur paidá húíṉ.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 5

1 Aur jo taḳht par baiṭhá thá, maiṉ ne us ke dahine háth meṉ ek kitáb dekhí, jo andar se aur báhar se likhí húí thí, aur use sát muhreṉ lagákar band kiyá gayá thá.

2 Phir maiṉ ne ek zoráwar firishte ko baland áwáz se yih manádí karte dekhá, ki Kaun is kitáb ke kholne aur us kí muhreṉ toṛne ke láiq hai?

3 Aur koí shaḳhs ásmán par, yá zamín par, yá zamín ke níche, us kitáb ke kholne, yá us par nazar karne ke qábil na niklá.

4 Aur maiṉ is bát par zár zár rone lagá, ki koí us kitáb ke kholne, yá us par nazar karne ke láiq na niklá;

5 tab un buzurgoṉ meṉ se ek ne mujh se kahá, ki Ro nahíṉ: dekh, Yahúdáh ke qabíle ká wuh Babar, jo Dáúd kí asl hai, us kitáb aur us kí sátoṉ muhroṉ ke kholne ke liye gálib áyá.

6 Aur maiṉ ne us taḳht aur chároṉ jándároṉ aur un buzurgoṉ ke bích meṉ, goyá zabh kiyá húá ek Barra khaṛá dekhá; us ke sát síṉg aur sát áṉkheṉ thíṉ: yih Ḳhudá kí sátoṉ rúheṉ haiṉ, jo tamám rú e zamín par bhejí gayí haiṉ.

7 Us ne ákar taḳht par baiṭhe húe ke dahine háth se us kitáb ko le liyá.

8 Jab us ne kitáb le lí, to wuh chároṉ jándár aur chaubís buzurg us Barre ke sámne gir paṛe; aur har ek ke háth meṉ barbat, aur ʻúd se bhare húe sone ke piyále the; yih muqaddasoṉ kí duʻáeṉ haiṉ.

9 Aur wuh yih nayá gít gáne lage, ki Tú hí is kitáb ke lene, aur us kí muhreṉ kholne ke láiq hai, kyúṉki tú ne zabh hokar apne ḳhún se har ek qabíle, aur ahl i zabán, aur ummat, aur qaum meṉ se Ḳhudá ke wáste logoṉ ko ḳharíd liyá;

10 aur un ko hamáre Ḳhudá ke liye ek bádsháhat aur káhin baná diyá; aur wuh zamín par bádsháhí karte haiṉ.

11 Aur jab maiṉ ne nigáh kí, to us taḳht aur un jándároṉ aur buzurgoṉ ke girdágird bahut se firishtoṉ kí áwáz suní, jin ká shumár lákhoṉ aur kaṛoṛoṉ thá;

12 aur wuh baland áwáz se kahte the, ki Zabh kiyá húá Barra hí qudrat, aur daulat, aur hikmat, aur táqat, aur ʻizzat, aur tamjíd, aur hamd ke láiq hai.

13 Phir maiṉ ne ásmán, aur zamín, aur zamín ke níche kí, aur samundar kí sab maḳhlúqát ko, yaʻní sárí chízoṉ ko jo un meṉ haiṉ, yih kahte suná, ki Jo taḳht par baiṭhá hai, us kí aur Barre kí hamd, aur ʻizzat, aur tamjíd, aur saltanat abaduʼl ábád rahe.

14 Aur chároṉ jándároṉ ne Ámín kahí, aur buzurgoṉ ne girkar sijda kiyá.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 6

1 Phir maiṉ ne dekhá, ki Barre ne un sát muhroṉ meṉ se ek ko kholá, aur un chároṉ jándároṉ meṉ se ek kí garaj kí sí yih áwáz suní, ki Á.

2 Aur maiṉ ne nigáh kí, to kyá dekhtá húṉ, ki ek safed ghoṛá hai, aur us ká sawár kamán liye húe hai: use ek táj diyá gayá, aur wuh fath kartá húá niklá, táki âur bhí fath kare.

3 Aur jab us ne dúsrí muhr kholí, to maiṉ ne dúsre jándár ko yih kahte suná, ki Á.

4 Phir ek âur ghoṛá niklá, jis ká rang lál thá; us ke sawár ko yih iḳhtiyár diyá gayá, ki zamín par se sulh uṭhá le, táki log ek dúsre ko qatl kareṉ: aur use ek baṛí talwár dí gayí.

5 Aur jab us ne tísrí muhr kholí, to maiṉ ne tísre jándár ko yih kahte suná, ki Á. Aur maiṉ ne nigáh kí, to kyá dekhtá húṉ, ki ek kálá ghoṛá hai; aur us ke sawár ke háth meṉ ek tarázú hai.

6 Aur maiṉ ne goyá un chároṉ jándároṉ ke bích meṉ se yih áwáz átí suní, ki Gehúṉ dínár ke ser bhar, aur jâu dínár ke tín ser, aur tel aur mai ká nuqsán na kar.

7 Aur jab us ne chauthí muhr kholí, to maiṉ ne chauthe jándár ko yih kahte suná, ki Á.

8 Aur main ne nigáh kí, to kyá dekhtá húṉ, ki ek zard sá ghoṛá hai, aur us ke sawár ká nám Maut hai, aur ʻÁlam i Arwáh us ke píchhe píchhe hai. Aur in ko chautháí zamín par yih iḳhtiyár diyá gayá, ki talwár, aur kál, aur wabá, aur zamín ke darandoṉ se logoṉ ko halák kareṉ.

9 Aur jab us ne páṉchwíṉ muhr kholí, to maiṉ ne qurbángáh ke níche un kí rúheṉ dekhíṉ, jo Ḳhudá ke kalám ke sabab, aur gawáhí par qáim rahne ke báʻis máre gaye the;

10 aur wuh baṛí áwáz se chillákar bolíṉ, ki Ai Málik, ai quddús o barhaqq, tú kab tak insáf na karegá, aur zamín ke rahnewáloṉ se hamáre ḳhún ká badla na legá?

11 Aur un meṉ se har ek ko safed jáma diyá gayá, aur un se kahá gayá, ki âur thoṛí muddat árám karo, jab tak ki tumháre hamḳhidmat aur bháiyoṉ ká bhí shumár púrá na ho le, jo tumhárí tarah qatl honewále haiṉ.

12 Aur jab us ne chhaṭí muhr kholí, to maiṉ ne dekhá ki ek baṛá bhauṉchál áyá, aur súraj kammalkí mánind kálá, aur sárá chánd ḳhún sá ho gayá;

13 aur ásmán ke sitáre is tarah zamín par gir paṛe, jis tarah zor kí áṉdhí se hilkar anjír ke daraḳht meṉ se kachche phal gir paṛte haiṉ.

14 Aur ásmán is tarah sarak gayá, jis tarah maktúb lapeṭne se sarak játá hai, aur har ek paháṛ aur ṭápúapní apní jagah se ṭal gayá.

15 Aur zamín ke bádsháh, aur amír, aur faují sardár, aur máldár, aur zoráwar, aur tamám gulám aur ázád, paháṛoṉ ke gároṉ aur chaṭánoṉ meṉ já chhipe;

16 aur paháṛoṉ aur chaṭánoṉ se kahne lage, ki Ham par gir paṛo, aur hameṉ us kí nazar se jo taḳht par baiṭhá húá hai, aur Barre ke gazab se chhipálo:

17 kyúṉki un ke gazab ká roz i ʻazím á pahuṉchá; ab kaun ṭhahr saktá hai?

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 7

1 Is ke baʻd maiṉ ne zamín ke chároṉ konoṉ par chár firishte khaṛe dekhe; wuh zamín kí chároṉ hawáoṉ ko tháme húe the, táki zamín, yá samundar, yá kisí daraḳht par hawá na chale.

2 Phir maiṉ ne ek âur firishte ko, zinda Ḳhudá kí muhr liye húe, mashriq se úpar kí taraf áte dekhá; us ne un chároṉ firishtoṉ se, jinheṉ zamín aur samundar ke zarar pahuṉcháne ká iḳhtiyár diyá gayá thá, baland áwáz se pukárkar kaha,

3 ki Jab tak ham apne Ḳhudá ke bandoṉ ke máthe par muhr na kar leṉ, zamín aur samundar aur daraḳhtoṉ ko zarar na pahuṉcháná.

4 Aur jin par muhr kí gayí, maiṉ ne un ká shumár suná, ki baní Isráíl ke sab qabiloṉ meṉ se ek lákh chauálís hazár par muhr kí gayí.

5 Yahúdáh ke qabíle men se bárah hazár par muhr kí gayí:

Raʼúben ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Gád ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

6 Ásher ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Naftálí ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Manashshih ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

7 Shamaʻún ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Lewí ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Yissákár ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

8 Zabúlún ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Yúsuf ke qabíle meṉ se bárah hazár par:

Binyámín ke qabíle meṉ se bárah hazár par muhr kí gayí.

9 In bátoṉ ke baʻd jo maiṉ ne nigáh kí, to kyá dekhtá húṉ, ki har ek qaum, aur qabíle, aur ummat, aur ahl i zabán kí ek aisí baṛí bhíṛ, jise koí shumár nahíṉ kar saktá, safed jáme pahine aur khajúr kí ḍáliyáṉ apne háthoṉ meṉ liye húe, taḳht aur Barre ke áge khaṛí hai;

10 aur baṛí áwáz se chillá chillákar kahtí haí, ki Naját hamáre Ḳhudá kí taraf se hai, jo taḳht par baiṭhá hai, aur Barre kí taraf se.

11 Aur sáre firishte us taḳht, aur buzurgoṉ aur chároṉ jándároṉ ke girdágird khaṛe haiṉ; phir wuh taḳht ke áge muṉh ke bal gir paṛe, aur Ḳhudá ko sijda karke

12 kahá, Ámín: Hamd, aur tamjíd, aur hikmat, aur shukr, aur ʻizzat, aur qudrat, aur táqat, abaduʼl ábád hamáre Ḳhudá kí ho. Ámín.

13 Aur buzurgoṉ meṉ se ek ne mujh se kahá, ki Yih safed jáme pahine húe kaun haiṉ, aur kaháṉ se áe haiṉ?

14 Maiṉ ne us se kahá, ki Ai mere ḳhudáwand, tú hí jántá hai. Us ne mujh se kahá, ki Yih wuhí haiṉ, jo us baṛí musíbat meṉ se nikalkar áe haiṉ; inhoṉ ne apne jáme Barre ke ḳhún se dhokar safed kiye haiṉ.

15 Isí sabab se yih Ḳhudá ke taḳht ke sámne haiṉ, aur us ke maqdis meṉ rát din us kí ʻíbádat karte haiṉ; aur jo taḳht par baiṭhá hai, wuh apná ḳhaima un ke úpar tánegá.

16 Is ke baʻd na kabhí un ko bhúk lagegí, na piyás; aur na kabhí un ko dhúp satáegí, na garmí;

17 kyúṉki jo Barra taḳht ke bích meṉ hai, wuh un kí gallabání karegá, aur unheṉ áb i hayát ke chashmoṉ ke pás le jáegá; aur Ḳhudá un kí áṉkhoṉ ke sab áṉsú poṉchh degá.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 8

1 Jab us ne sátwíṉ muhr kholí, to ádh ghanṭe ke qaríb ásmán meṉ ḳhámoshí rahí.

2 Aur maiṉ ne un sátoṉ firishtoṉ ko dekhá, jo Ḳhudá ke sámne khaṛe rahte haiṉ; aur unheṉ sát narsinge diye gaye.

3 Phir ek âur firishta sone ká ʻúdsoz liye húe áyá, aur qurbángáh ke úpar khaṛá húá; aur us ko bahut sá ʻúd diyá gayá, táki sab muqaddasoṉ kí duʻáoṉ ke sáth us sunahrí qurbángáh par chaṛháe, jo taḳht ke sámne hai.

4 Aur us ʻúd ká dhuwáṉ firishte ke háth se muqaddasoṉ kí duʻáoṉ ke sáth Ḳhudá ke sámne pahuṉch gayá.

5 Aur firishte ne ʻúdsoz ko lekar, us meṉ qurbángáh kí ág bharí, aur zamín par ḍál dí; aur garajeṉ, aur áwázeṉ, aur bijliyáṉ paidá húíṉ, aur bhauṉchál áyá.

6 Aur wuh sátoṉ firishte, jin ke pás wuh sát narsinge the, phúṉkne ko taiyár húe.

7 Aur jab pahle ne narsingá phúṉká, to ḳhún mile húe ole aur ág paidá húí, aur zamín par ḍálí gayí; aur tiháí zamín jal gayí, aur tiháí daraḳht jal gaye, aur tamám harí ghás jal gayí.

8 Aur jab dúsre firishte ne narsingá phúṉká, to goyá ág se jaltá húá ek baṛá paháṛ samundar meṉ ḍálá gayá, aur tiháí samundar ḳhún ho gayá;

9 aur samundar kí tiháí jándár maḳhlúqát mar gayí; aur tiháí jaház tabáh ho gaye.

10 Aur jab tísre firishte ne narsingá phúṉká, to ek baṛá sitára mashʻal kí tarah jaltá húá ásmán se ṭúṭá, aur tiháí daryáoṉ aur pání ke chashmoṉ par á paṛá;

11 us sitáre ká nám Nágdaunákahlátá hai, aur tiháí pání nágdaune kí tarah kaṛwá ho gayá; aur pání ke kaṛwe ho jáne se, bahut se ádmí mar gaye.

12 Aur jab chauthe firishte ne narsingá phúṉká, to tiháí súraj, aur tiháí chánd, aur tiháí sitároṉ par sadma pahuṉchá, yaháṉ tak ki un ká tiháí hissa tárík ho gayá, aur tiháí dín meṉ raushní na rahí, aur isí tarah tiháí rát meṉ bhí.

13 Aur jab maiṉ ne phir nigáh kí, to ásmán ke bích meṉ ek ʻuqáb ko uṛte, aur baṛí áwáz se yih kahte suná, ki Un tín firishtoṉ ke narsingoṉ kí áwázoṉ ke sabab, jin ká phúṉkná abhí báqí hai, zamín ke rahnewáloṉ par afsos, afsos, afsos!

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 9

1 Aur jab páṉchweṉ firishte ne narsingá phúṉká, to maiṉ ne ásmán se zamín par ek sitára girá húá dekhá; aur use atháh gaṛhe kí kunjí dí gayí.

2 Aur jab us ne atháh gaṛhe ko kholá, to gaṛhe meṉ se ek baṛí bhaṭṭí ká sá dhuwáṉ uṭhá; aur gaṛhe ke dhuweṉ ke báʻis se súraj aur hawá tárík ho gayí.

3 Aur us dhuweṉ meṉ se zamín par ṭiḍḍiyáṉ nikal paṛíṉ, aur unheṉ zamín ke bichchhúoṉ kí sí táqat dí gayí.

4 Aur un se kahá gayá, ki un ádmíoṉ ke siwá jin ke máthe par Ḳhudá kí muhr nahíṉ, zamín kí ghás, yá kisí hariyáwal, yá kisí daraḳht ko zarar na pahuṉcháná.

5 Aur unheṉ ján se márne ká nahíṉ, balki páṉch mahíne tak logoṉ ko azíyat dene ká iḳhtiyár diyá gayá; aur un kí azíyat aisí thí, jaise bichchhú ke ḍank márne se ádmí ko hotí hai.

6 Un dinoṉ meṉ ádmí maut ḍhúṉḍheṉge, magar hargiz na páeṉge; aur marne kí árzú kareṉge, aur maut un se bhágegí.

7 Aur un ṭiḍḍiyoṉ kí súrateṉ un ghoṛoṉ kí sí thíṉ, jo laṛáí ke liye taiyár kiye gaye hoṉ; aur un ke siroṉ par goyá sone ke táj the, aur un ke chihre ádmíoṉ ke se the;

8 aur bál ʻauratoṉ ke se the, aur dáṉt babar ke se.

9 Aur un ke pás lohe ke se baktar the; aur un ke paroṉ kí áwáz aísí thí, jaise rathoṉ aur bahut se ghoṛoṉ kí, jo laṛáí meṉ dauṛte hoṉ.

10 Aur un kí dumeṉ bichchhúoṉ kí sí thíṉ, aur un meṉ ḍank bhí the; aur un kí dumoṉ meṉ páṉch mahíne tak ádmíoṉ ko zarar pahuṉcháne kí táqat thí.

11 Atháh gaṛhe ká firishta un par bádsháh thá: us ká nám ʻIbrání meṉ Abaddon, aur Yúnání meṉ Apullyonhai.

12 Pahlá Afsos to ho chuká; dekho, is ke baʻd do Afsos âur honewále haiṉ.

13 Aur jab chhaṭe firishte ne narsingá phúṉká, to maiṉ ne us sunahrí qurbángáh ke síṉgoṉ meṉ se, jo Ḳhudá ke sámne hai, aisí áwáz suní,

14 ki us chhaṭe firishte se, jís ke pás narsíngá thá, koí kah rahá hai, ki Baṛe daryá e Furát ke pás jo chár firishte bandhe húe haiṉ, unheṉ khol de.

15 Pas wuh chároṉ firishte khol diye gaye, jo ḳháss ghaṛí, aur din, aur mahíne, aur baras ke liye, tiháí ádmíoṉ ke már ḍálne ko taiyár kiye gaye the.

16 Aur faujoṉ ke sawár shumár meṉ bís kaṛoṛ the: maiṉ ne un ká shumár suná.

17 Aur mujhe is royá meṉ ghoṛe aur un ke aise sawár dikháí diye, jin ke baktar ág aur sumbulaur gandhak ke se the; aur un ghoṛoṉ ke sir babar ke se sir the; aur un ke muṉh se ág, aur dhuwáṉ, aur gandhak nikaltí thí.

18 In tínoṉ áfatoṉ, yaʻní us ág, aur dhuweṉ, aur gandhak se, jo un ke muṉh se nikaltí thí, tiháí ádmí máre gaye.

19 Kyúṉki un ghoṛoṉ kí táqat un ke muṉh aur un kí dumoṉ meṉ thí; is liye ki un kí dumeṉ sáṉpoṉ kí mánind thíṉ, aur dumoṉ meṉ sir bhí the; unhíṉ se wuh zarar pahúṉcháte the.

20 Aur báqí ádmíoṉ ne, jo in áfatoṉ se na mare the, apne háthoṉ ke kámoṉ se tauba na kí, ki shayátín kí, aur sone, aur chándí, aur pítal, aur patthar, aur lakṛí kí múratoṉ kí parastish karne se báz áte, jo na dekh saktí haiṉ, na sun saktí haiṉ, na chal saktí haiṉ:

21 aur jo ḳhún, aur jádúgaríáṉ, aur harámkárí, aur choriyáṉ unhoṉ ne kí thíṉ, un se tauba na kí.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 10

1 Phir maiṉ ne ek âur zoráwar firishte ko bádal oṛhe húe ásmán se utarte dekhá; us ke sir par dhanuk thí, aur us ká chihra áftáb kí mánind thá, aur us ke páṉw ág ke sutúnoṉ kí mánind;

2 aur us ke háth meṉ ek chhoṭí sí khulí húí kitáb thí: us ne apná dahiná páṉw to samundar par rakkhá, aur báyáṉ ḳhushkí par;

3 aur aisí baṛí áwáz se chilláyá, jaise babar daháṛtá hai: aur jab wuh chilláyá, to garaj kí sát áwázeṉ sunáí díṉ.

4 Aur jab garaj kí sátoṉ áwázeṉ sunáí de chukíṉ, to maiṉ ne likhne ká iráda kiyá; aur ásmán par se yih áwáz átí suní, ki Jo báteṉ garaj kí in sát áwázoṉ se suní haiṉ, un ko poshída rakh; aur tahrír na kar.

5 Aur jis firishte ko maiṉ ne samundar aur ḳhushkí par khaṛe dekhá thá, us ne apná dahiná háth ásmán kí taraf uṭháyá,

6 aur jo abaduʼl ábád zinda rahegá, aur jis ne ásmán aur us ke andar kí chízeṉ, aur zamín aur us ke úpar kí chízeṉ, aur samundar aur us ke andar kí chízeṉ paidá kí haiṉ, us kí qasam khákar kahá, ki Ab âur der na hogí;

7 balki sátweṉ firishte kí áwáz dene ke zamáne meṉ, jab wuh narsingá phúṉkne ko hogá, to Ḳhudá ká poshída matlab, us ḳhushḳhabarí ke muwáfiq, jo us ne apne bande nabíoṉ ko dí thí, púrá hogá.

8 Aur jis áwáz denewále ko maiṉ ne ásmán par bolte suná thá, us ne phir mujh se muḳhátib hokar kahá, ki Já, us firishte ke háth meṉ se, jo samundar aur ḳhushkí par khaṛá hai, wuh khulí húí kitáb le le.

9 Tab maiṉ ne us firishte ke pás jákar kahá, ki Yih chhoṭí kitáb mujhe de de. Us ne mujh se kahá, ki Le, ise khá le; yih terá peṭ to kaṛwá kar degí; magar tere muṉh meṉ shahd kí tarah míṭhí lagegí.

10 Pas maiṉ wuh chhoṭí kitáb us firishte ke háth se lekar khá gayá; wuh mere muṉh meṉ to shahd kí tarah míṭhí lagí; magar jab maiṉ use khá gayá, to merá peṭ kaṛwá ho gayá.

11 Aur mujh se kahá gayá, ki Tujhe bahut sí ummatoṉ aur qaumoṉ, aur ahl i zabán aur bádsháhoṉ par phir nubuwwat karní zarúr hai.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 11

1 Aur mujhe ʻasá kí mánind ek nápne kí lakṛí dí gayí; aur kisí ne kahá, ki Uṭhkar Ḳhudá ke maqdis aur qurbángáh, aur us meṉ ke ʻibádat karnewáloṉ ko náp.

2 Aur us sahn ko jo maqdis ke báhar hai, ḳhárij kar de, aur use na náp; kyúṉki wuh gairqaumoṉ ko de diyá gayá hai; wuh muqaddas shahr ko bayálís mahíne tak pámál kareṉgí.

3 Aur maiṉ apne do gawáhoṉ ko iḳhtiyár dúṉgá, aur wuh ṭáṭ oṛhe húe ek hazár do sau sáṭh din nubuwwat kareṉge.

4 Yih wuhí zaitún ke do daraḳht, aur do chirágdán haiṉ, jo zamín ke Ḳhudáwand ke sámne khaṛe haiṉ.

5 Aur agar koí unheṉ zarar pahuṉcháná cháhtá hai, to un ke muṉh se ág nikalkar un ke dushmanoṉ ko khá játí hai. Aur agar koí unheṉ zarar pahuṉcháná cháhegá, wuh zarúr isí tarah márá jáegá.

6 Un ko iḳhtiyár hai ki ásmán ko band kar deṉ, táki un kí nubuwwat ke zamáne meṉ pání na barse; aur pániyoṉ par iḳhtiyár hai, ki unheṉ ḳhún bana ḍáleṉ, aur jitní dafʻa cháheṉ zamín par har tarah kí áfat láeṉ.

7 Jab wuh apní gawáhí de chukeṉge, to wuh haiwán jo atháh gaṛhe se niklegá, un se laṛkar un par gálib áegá, aur un ko már ḍálegá.

8 Aur un ki lásheṉ us baṛe shahr ke bázár meṉ paṛí raheṉgí, jo rúhání iʻtibár se Sadom aur Misr kahlátá hai, jaháṉ un ká Ḳhudáwand bhí maslúb húá thá.

9 Aur ummatoṉ, aur qabíloṉ, aur ahl i zabán, aur qaumoṉ meṉ se log un kí láshoṉ ko sáṛhe tín din tak dekhte raheṉge, aur un kí láshoṉ ko qabr meṉ na rakhne deṉge.

10 Aur zamín ke rahnewále un ke marne se ḳhushí manáeṉge, aur shádiyáne bajáeṉge, aur ápas meṉ tuhfe bhejeṉge; kyúṉki in donoṉ nabíoṉ ne zamín ke rahnewáloṉ ko satáyá thá.

11 Aur sáṛhe tín din ke baʻd, Ḳhudá kí taraf se un meṉ zindagí kí rúh dáḳhil húí; aur wuh apne páṉwoṉ ke bal khaṛe ho gaye, aur un ke dekhnewáloṉ par baṛá ḳhauf chháyá.

12 Aur unheṉ ásmán par se ek baland áwáz sunáí dí, ki Yaháṉ úpar á jáo. Pas wuh bádal par sawár hokar ásmán par chaṛh gaye; aur un ke dushman unheṉ dekh rahe the.

13 Phir usí waqt ek baṛá bhauṉchál á gayá, aur shahr ká daswáṉ hissa gir gayá; aur us bhauṉchál se sát hazár ádmí mare: aur báqí dar gaye, aur ásmán ke Ḳhudá kí tamjíd kí.

14 Dúsrá Afsos ho chuká; dekho, tísrá Afsos jald honewálá hai.

15 Aur jab sátweṉ firishte ne narsingá phúṉká, to ásmán par baṛí áwázeṉ is mazmún kí paidá húíṉ, ki Dunyá kí bádsháhat hamáre Ḳhudáwand aur us ke Masíh kí ho gayí: aur wuh abaduʼl ábád bádsháhí karegá.

16 Aur chaubísoṉ buzurgoṉ ne, jo Ḳhudá ke sámne apne apne taḳht par baiṭhe the, muṉh ke bal girkar Ḳhudá ko sijda kiyá,

17 aur yih kahá, ki Ai Ḳhudáwand Ḳhudá, Qádir i mutlaq, jo hai aur jo thá, ham terá shukr karte haiṉ; kyúṉki tú ne apní baṛí qudrat ko háth meṉ lekar bádsháhí kí.

18 Aur qaumoṉ ko gussa áyá, aur terá gazab názil húá, aur wuh waqt á pahuṉchá hai ki murdoṉ ká insaf kiyá jáe, aur tere bande nabíoṉ aur muqaddasoṉ aur un chhoṭe baṛoṉ ko, jo tere nám se ḍarte haiṉ, ajr diyá jáe, aur zamín ke tabáh karnewáloṉ ko tabáh kiyá jáe.

19 Aur Ḳhudá ká jo maqdis ásmán par hai, wuh kholá gayá; aur us ke maqdis meṉ us ke ʻahd ká sandúq dikháí diyá; aur bijliyáṉ, aur áwázeṉ, aur garajeṉ paidá húíṉ, aur bhauṉchál áyá, aur baṛe ole paṛe.

Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 12

1 Phir ásmán par ek baṛá nishán dikháí diyá, yaʻní ek ʻaurat nazar áí, jo áftáb ko oṛhe húe thí, aur chánd us ke páṉwoṉ ke níche thá, aur bárah sitároṉ ká táj us ke sir par;

2 wuh hámila thí, aur dard i zih meṉ chillátí thí, aur bachcha janne kí taklíf meṉ thí.

3 Phir ek âur nishán ásmán par dikháí diyá, yaʻní ek baṛá lál azhdahá; us ke sát sir aur das síṉg the, aur us ke siroṉ par sát táj.

4 Aur us kí dum ne ásmán ke tiháí sítáre kheṉchkar zamín par ḍál diye: aur wuh azhdahá us ʻaurat ke áge já khaṛá húá, jo janne ko thí, táki jab wuh jane, to us ke bachche ko nigal jáe.

5 Aur wuh beṭá janí, yaʻní wuh laṛká jo lohe ke ʻasá se sab qaumoṉ par hukúmat karegá; aur us ká bachcha yakáyak Ḳhudá aur us ke taḳht ke pás tak pahuṉchá diyá gayá.

6 Aur wuh ʻaurat us biyábán ko bhág gayí, jaháṉ Ḳhudá kí taraf se us ke liye ek jagah taiyár kí gayí thí, táki waháṉ ek hazár do sau sáṭh din tak us kí parwarish kí jáe.

7 Phir ásmán par laṛáí húí: Míkáíl aur us ke firishte azhdahe se laṛne ko nikle; aur azhdahá aur us ke firishte un se laṛe;

8 lekin gálib na áe, aur is ke baʻd ásmán par un ke liye jagah na rahí.

9 Aur wuh baṛá azhdahá, yaʻní wuhí puráná sáṉp jo Iblís aur Shaitán kahlátá hai, aur sáre jahán ko gumráh kar detá hai, zamín par girá diyá gayá, aur us ke, firishte bhí us ke sáth girá diye gaye.

10 Phir maiṉ ne ásmán par se yih baṛí áwáz átí suní, ki Ab hamáre Ḳhudá kí naját, aur qudrat, aur bádsháhat, aur us ke Masíh ká iḳhtiyár záhir húá; kyúṉki hamáre bháiyoṉ par ilzám lagánewálá, jo rát din hamáre Ḳhudá ke áge un par ilzám lagáyá kartá hai, girá diyá gayá.

11 Aur wuh Barre ke ḳhún, aur apní gawáhí ke kalám ke báʻis us par gálib áe; aur unhoṉ ne apní ján ko ʻazíz na samjhá, yaháṉ tak ki maut bhí gawárá kí.

12 Pas, ai ásmáno, aur un ke rahnewálo, ḳhushí manáo. Ai ḳhushkí aur tarí, tum par afsos hai; kyúṉki Iblís baṛe gusse meṉ tumháre pás utarkar áyá hai, is liye ki jántá hai, ki merá thoṛá hí sá waqt báqí hai.

13 Aur jab azhdahe ne dekhá, ki maiṉ zamín par girá diyá gayá húṉ, to us ʻaurat ko satáyá, jo beṭá janí thí.

14 Aur us ʻaurat ko baṛe ʻuqáb ke do par diye gaye, táki sáṉp ke sámne se uṛkar biyábán meṉ apní us jagah pahuṉch jáe, jaháṉ ek zamáne, aur zamánoṉ, aur ádhe zamáne tak us kí parwarish kí jáegí.

15 Aur sáṉp ne us ʻaurat ke píchhe apne muṉh se nadí kí tarah pání baháyá, táki us ko is nadí se bahá de.

16 Magar zamín ne us ʻaurat kí madad kí, aur apná muṉh kholkar us nadí ko pí liyá, jo azhdahe ne apne muṉh se baháí thí.

17 Aur azhdahe ko ʻaurat par gussa áyá, aur us kí báqí aulad se, jo Ḳhudá ke hukmoṉ par ʻamal kartí hai, aur Yisúʻ kí gawáhí dene par qáim hai, laṛne ko gayá: