Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 21

1 Phir us ne áṉkh uṭhákar un daulatmandoṉ ko dekhá, jo apní nazroṉ ke rupaye haikal ke ḳhazáne meṉ ḍál rahe the;

2 aur ek kaṉgál bewa ko bhí us meṉ do damṛiyáṉ ḍálte dekhá.

3 Is par us ne kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki is kaṉgál bewa ne sab se ziyáda ḍálá;

4 kyúṉki un sab ne to apne mál kí bahutát se nazr ká chandá ḍálá: magar is ne apní nádárí kí hálat meṉ jitní rozí us ke pás thí, sab ḍál dí.

5 Aur jab baʻz log haikal kí bábat kah rahe the, ki wuh nafís pattharoṉ aur nazr kí húí chízoṉ se árásta hai, to us ne kahá;

6 Wuh din áeṉge, ki in chízoṉ meṉ se, jo tum dekhte ho, yaháṉ kisí patthar par patthar báqí na rahegá, jo giráyá na jáe.

7 Unhoṉ ne us se púchhá, ki Ai ustád, phir yih báteṉ kab hoṉgí? aur jab wuh hone ko hoṉ, us waqt ká kyá nishán hai?

8 Us ne kahá; Ḳhabardár, gumráh na honá; kyúṉki bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge, ki Wuh maiṉ hí húṉ; aur yih bhí, ki Waqt nazdík á pahuṉchá hai: tum un ke píchhe na chále jáná.

9 Aur jab laṛáiyoṉ aur fasádoṉ kí afwáheṉ suno, to ghabrá na jáná; kyúṉki un ká pahle wáqiʻ honá zarúr hai; lekin us waqt fauran ḳhátima na hogá.

10 Phir us ne un se kahá, ki Qaum par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛháí karegí.

11 Aur baṛe baṛe bhauṉchál áeṉge, aur já ba já kál aur marí paṛegí; aur ásmán par baṛí baṛí dahshatnák báteṉ aur nisháníáṉ záhir hoṉgí.

12 Lekin in sab bátoṉ se pahle wuh mere nám ke sabab tumheṉ pakṛeṉge, aur satáeṉge, aur ʻibádatḳhánoṉ kí ʻadálat ke hawále kareṉge, aur qaidḳhánoṉ meṉ dalwáeṉge, aur bádsháhoṉ aur hákimoṉ ke sámne házir kareṉge.

13 Aur yih tumháre gawáhí dene ká mauqaʻ hogá.

14 Pas apne dil meṉ ṭhán rakkho, ki ham pahle se fikr na kareṉge, ki kyá jawáb deṉ.

15 Kyúṉki maiṉ tumheṉ aisí zabán aur hikmat dúṉgá, ki tumhárá koí muḳhálif sámná karne yá ḳhiláf kahne ká maqdúr na rakkhegá.

16 Aur tumheṉ máṉ báp, aur bháí, aur rishtadár, aur dost bhí pakaṛwáeṉge; balki wuh tum meṉ se baʻz ko marwá ḍáleṉge.

17 Aur mere nám ke sabab sab log tum se ʻadáwat rakkheṉge.

18 Lekin tumháre sir ká ek bál bhí bíká na hogá.

19 Apne sabr se tum apní jáneṉ bacháe rakkhoge.

20 Phir jab tum Yarúshalem ko faujoṉ se ghirá húá dekho, to ján lená, ki us ká ujaṛ jáná nazdík hai.

21 Us waqt jo Yahúdiya meṉ hoṉ, paháṛoṉ par bhág jáeṉ, aur jo Yarúshalem ke andar hoṉ, báhar nikal jáeṉ; aur jo díhát meṉ hoṉ, shahr meṉ na jáeṉ.

22 Kyúṉki yih intiqám ke din hoṉge, jin meṉ sab báteṉ, jo likhí haiṉ, púrí ho jáeṉgí.

23 Un par afsos hai jo un dinoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pilátí hoṉ! kyúṉki mulk meṉ baṛí musíbat aur is qaum par gazab hogá.

24 Aur wuh talwár ká luqma ho jáeṉge, aur asír hokar sab qaumoṉ meṉ pahuṉcháe jáeṉge, aur jab tak gairqaumoṉ kí míʻád púrí na ho, Yarúshalem gairqaumoṉ se pámál hotí rahegí.

25 Aur súraj aur chánd aur sitároṉ meṉ nishán záhir hoṉge, aur zamín par qaumoṉ ko taklíf hogí; kyúṉki wuh samundar aur us kí lahroṉ ke shor se ghabrá jáeṉgí.

26 Aur ḍar ke máre aur zamín par ánewálí baláoṉ kí ráh dekhte dekhte logoṉ kí ján meṉ ján na rahegí; is liye ki ásmán kí quwwateṉ híláí jáeṉgí.

27 Us waqt log Ibn i Ádam ko qudrat aur baṛe jalál ke sáth bádal meṉ áte dekheṉge.

28 Aur jab yih báteṉ hone lageṉ, to sídhe hokar sir úpar uṭháná; is liye ki tumhárí maḳhlasí nazdík hogí.

29 Aur us ne un se ek tamsíl kahí, ki Anjír ke daraḳht aur sab daraḳhtoṉ ko dekho.

30 Joṉhíṉ un meṉ koṉpaleṉ nikaltí haiṉ, tum dekhkar áp hí ján lete ho, ki ab garmí nazdík hai.

31 Isí tarah jab tum in bátoṉ ko hote dekho, to ján lo, ki Ḳhudá kí bádsháhat nazdík hai.

32 Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jab tak yih sab báteṉ na ho leṉ, yih nasl hargiz tamám na hogí.

33 Ásmán aur zamín ṭal jáeṉge, lekin merí báteṉ hargiz na ṭaleṉgí.

34 Pas ḳhabardár raho; aisá na ho ki tumháre dil ḳhumár, aur nashebází, aur is zindagí kí fikroṉ se sust ho jáeṉ, aur wuh din tum par phande kí tarah nágaháṉ á paṛe.

35 Kyúṉki jitne log tamám rú e zamín par maujúd hoṉge, un sab par wuh isí tarah á paṛegá.

36 Pas har waqt jágte aur duʻá máṉgte raho, táki tum ko in sab honewálí bátoṉ se bachne, aur Ibn i Ádam ke huzúr khaṛe hone ká maqdúrho.

37 Aur wuh har roz haikal meṉ taʻlím detá thá; aur rát ko báhar jáke us paháṛ par rahá kartá thá, jo Zaitún ká kahlátá hai.

38 Aur subh sawere sab log us kí báteṉ sunne ko haikal meṉ us ke pás áyá karte the.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 22

1 Aur ʻIʹd i Fatír, jis ko ʻIʹd i Fasah kahte haiṉ, nazdík thí.

2 Aur sardár káhin aur faqíh mauqaʻ ḍhúṉdh rahe the ki use kis tarah már ḍáleṉ, kyúṉki logoṉ se darte the.

3 Aur Shaitán Yahúdáh meṉ samáyá, jo Iskariyotí kahlátá, aur un bárah meṉ shumár kiyá játá thá.

4 Us ne jákar sardár káhinoṉ aur sipáhíoṉ ke sardároṉ se saláh kí, ki us ko kis tarah un ke hawále kare.

5 Wuh ḳhush húe, aur use rupaye dene ká iqrár kiyá.

6 Us ne mán liyá, aur mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá, ki use bagair hangáme ke un ke hawále kará de.

7 Aur ʻIʹd i Fatír ká din áyá, jis meṉ Fasah zabh karná farz thá.

8 Aur Yisúʻ ne Patras aur Yúhanná ko yih kahkar bhejá, ki Jákar hamáre kháne ke liye fasah taiyár karo.

9 Unhoṉ ne us se kahá; Tú kaháṉ cháhtá hai, ki ham taiyár kareṉ?

10 Us ne un se kahá; Dekho, shahr meṉ dáḳhil hote hí tumheṉ ek ádmí pání ká ghaṛá liye húe milegá; jis ghar meṉ wuh jáe, us ke píchhe chale jáná.

11 Aur ghar ke málik se kahná, ki Ustád tujh se kahtá hai; Wuh mihmánḳhána kaháṉ hai, jis meṉ apne shágirdoṉ ke sáth Fasah kháúṉ?

12 Wuh tumheṉ ek baṛá báláḳhána árásta kiyá húá dikháegá: wahíṉ taiyárí karná.

13 Unhoṉ ne jákar, jaisá us ne un se kahá thá warsá hí páyá, aur Fasah taiyár kiyá.

14 Jab waqt ho gayá, to wuh kháná kháne baiṭhá, aur rasúl us ke sáth baiṭhe.

15 Us ne un se kahá; Mujhe baṛí árzú thí, ki dukh sahne se pahle yih Fasah tumháre sáth kháúṉ;

16 kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Use kabhí na kháúṉgá, jab tak wuh Ḳhudá kí bádsháhat meṉ púrá na ho.

17 Phir us ne piyála lekar shukr kiyá, aur kahá, ki Is ko lekar ápas meṉ báṉṭ lo:

18 kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Angúr ká shíra ab se kabhí na píúṉgá, jab tak Ḳhudá kí bádsháhat na á le.

19 Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai: merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo.

20 Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.

21 Magar dekho, mere pakaṛwánewále ká háth mere sáth mez par hai.

22 Kyúṉki Ibn i Ádam to, jaisá us ke wáste muqarrar hai, játá hí hai; magar us shaḳhs par afsos hai, jis ke wasíle se wuh pakaṛwáyá játá hai!

23 Is par wuh ápas meṉ púchhne lage, ki Ham meṉ se kaun hai, jo yih kám karegá?

24 Aur un meṉ yih takrár bhí húí, ki Ham meṉ se kaun baṛá samjhá játá hai?

25 Us ne un se kahá, ki G̣airqaumoṉ ke bádsháh un par hukúmat chaláte haiṉ; aur jo un par iḳhtiyár rakhte haiṉ, Ḳhudáwand i niʻmat kahláte haiṉ.

26 Magar tum aise na honá; balki jo tum meṉ baṛá hai, wuh chhoṭe kí mánind, aur jo sardár hai, wuh ḳhidmat karnewále kí mánind bane.

27 Kyúṉki baṛá kaun hai; wuh jo kháná kháne baiṭhá, yá wuh jo ḳhidmat kartá hai? kyá wuh nahíṉ, jo kháná kháne baiṭhá hai? Lekin maiṉ tumháre darmiyán ḳhidmat karnewále kí mánind húṉ.

28 Magar tum wuh ho, jo merí ázmáishoṉ meṉ barábar mere sáth rahe.

29 Aur jaise mere Báp ne mere liye ek bádsháhat muqarrar kí hai, maiṉ bhí tumháre liye muqarrar kartá húṉ,

30 táki merí bádsháhat meṉ merí mez par kháo piyo; balki tum taḳhtoṉ par baiṭhkar Isráíl ke bárah qabíloṉ ká insáf karoge.

31 Shamaʻún, Shamaʻún, dekh, Shaitán ne tum logoṉ ko máṉg liyá, táki gehúoṉ kí tarah phaṭke;

32 lekin maiṉ ne tere liye duʻá máṉgí, ki terá ímán játá na rahe: aur jab tú rujúʻ kare, to apne bháiyoṉ ko mazbút karná.

33 Us ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tere sáth maiṉ qaid hone, balki marne ko bhí taiyár húṉ.

34 Us ne kahá; Ai Patras, maiṉ tujh se kahtá húṉ, ki áj murg báṉg na degá, jab tak tú tín bár merá inkár na kar legá, ki Maiṉ use nahíṉ jántá.

35 Phir us ne un se kahá, ki Jab maiṉ ne tumheṉ baṭúe, aur jholí, aur jútí bagair bhejá thá, kyá tum kisí chíz ke muhtáj rahe the? Unhoṉ ne kahá; Kisí chíz ke nahíṉ.

36 Us ne un se kahá, Magar ab jis ke pás baṭúá ho, wuh use le, aur isí tarah jholí bhí; aur jis ke pás na ho, wuh apní poshák bechkar talwár ḳharíde.

37 Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki yih jo likhá hai, ki Wuh badkároṉ meṉ giná gayá, us ká mere haqq meṉ púrá honá zarúr hai; is liye ki jo kuchh mujh se nisbat rakhtá hai, wuh púrá honá hai.

38 Unhoṉ ne kahá; Ai Ḳhudáwand, dekh, yaháṉ do talwáreṉ haiṉ. Us ne un se kahá; Bahut haiṉ.

39 Phir wuh nikalkar apne dastúr ke muwáfiq Zaitún ke paháṛ ko gayá, aur shágird us ke píchhe ho liye.

40 Aur us jagah pahuṉchkar us ne un se kahá; Duʻá máṉgo, ki ázmáish meṉ na paṛo.

41 Aur wuh un se bamushkil alag hokar koí patthar ke ṭappe áge baṛhá, aur ghuṭne ṭekkar yúṉ duʻá máṉgne lagá, ki

42 Ai Báp, agar tú cháhe, to yih piyála mujh se haṭá le; táham merí marzí nahíṉ, balki terí hí marzí púrí ho.

43 Aur ásmán se ek firishta us ko dikháí diyá; wuh use taqwíyat detá thá.

44 Phir wuh saḳht pareshání meṉ mubtalá hokar âur bhí dilsozí se duʻá máṉgne lagá; aur us ká pasína goyá ḳhún kí baṛí baṛí búṉdeṉ hokar zamín par ṭápaktá thá.

45 Jab duʻá se uṭhkar shágirdoṉ ke pás áyá, to unheṉ gam ke máre sote páyá;

46 aur un se kahá; Tum sote kyúṉ ho? uṭhkar duʻá máṉgo, táki ázmáish meṉ na paṛo.

47 Wuh yih kah hí rahá thá, ki dekho ek bhíṛ áí, aur un bárah meṉ se wuh jis ká nám Yahúdáh thá un ke áge áge thá. Wuh Yisúʻ ke pás áyá, ki us ká bosa le.

48 Yisúʻ ne us se kahá, ki Ai Yahúdáh, kyá tú bosa lekar Ibn i Ádam ko pakaṛwátá hai?

49 Jab us ke sáthiyoṉ ne maʻlúm kiyá, ki kyá honewálá hai, to kahá; Ai Ḳhudáwand, kyá ham talwár chaláeṉ?

50 Aur un meṉ se ek ne sardár káhin ke naukar par chalákar us ká dahiná kán uṛá diyá.

51 Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá; Itne par kifáyat karo: aur us ke kán ko chhúkar us ko achchhá kiyá.

52 Phir Yisúʻ ne sardár káhinoṉ, aur haikal ke sardároṉ, aur buzurgoṉ se, jo us par chaṛh áe the, kahá; Kyá tum mujhe ḍákú jánkar talwáreṉ aur láṭhiyáṉ lekar nikle ho?

53 Jab maiṉ har roz haikal meṉ tumháre sáth thá, to tum ne mujh par háth na ḍálá; lekin yih tumhárí ghaṛí, aur táríkí ká iḳhtiyár hai.

54 Phir wuh use pakaṛke le chale, aur sardár káhin ke ghar meṉ le gaye. Aur Patras fásile par us ke píchhe píchhe játá thá.

55 Aur jab unhoṉ ne sahn ke bích meṉ ág jaláí, aur milkar baiṭhe, to Patras un ke bích meṉ baiṭh gayá.

56 Ek lauṉdí ne use ág kí raushní meṉ baiṭhá húá dekhkar us par ḳhúb nigah kí aur kahá; Yih bhí us ke sáth thá.

57 Magar us ne yih kahke inkár kiyá, ki Ai ʻaurat, maiṉ use nahíṉ jántá.

58 Thoṛí der ke baʻd koí âur use dekhkar bolá, ki Tú bhí unhíṉ meṉ se hai. Patras ne kahá; Miyáṉ, maiṉ nahíṉ húṉ.

59 Koí ghanṭe bhar ke baʻd ek âur shaḳhs yaqíní taur se kahne lagá, ki Yih ádmí beshakk us ke sáth thá; kyúṉki Galílí hai.

60 Patras ne kahá, Miyáṉ, maiṉ nahíṉ jántá tú kyá kahtá hai. Wuh kah hí rahá thá, ki usí dam murg ne báṉg dí.

61 Aur Ḳhudáwand ne phirkar Patras kí taraf dekhá. Aur Patras ko Ḳhudáwand kí wuh bát yád áí, jo us se kahi thí, ki Áj murg ke báṉg dene se pahle tú tín bár merá inkár karegá.

62 Aur wuh báhar jáke zár zár royá.

63 Aur jo ádmí Yisúʻ ko pakṛe húe the, us ko ṭhaṭṭhe meṉ uṛáte aur márte the.

64 Aur us kí áṉkheṉ band karke us se yih kahkar púchhte the; Nubuwwat se batá, kis ne tujh ko márá?

65 Aur unhoṉ ne taʻne se âur bhí bahut sí báteṉ us ke ḳhiláf kahíṉ.

66 Jab din húá, to sardár káhin aur faqíh, yaʻní qaum ke buzurgoṉ kí majlis jamaʻ húí: aur unhoṉ ne use apní sadr ʻadálat meṉ le jákar kahá;

67 Agar tú Masíh hai, to ham se kah de. Us ne un se kahá; Agar maiṉ tum se kahúṉ, to yaqín na karoge;

68 aur agar púchhúṉ, to jawáb na doge.

69 Lekin ab se Ibn i Ádam qádir i mutlaq Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá rahegá.

70 Is par un sab ne kahá; Pas kyá tú Ḳhudá ká Beṭá hai? Us ne un se kahá; Tum ḳhud kahte ho, kyúṉki maiṉ húṉ.

71 Unhoṉ ne kahá; Ab hameṉ gawáhí kí kyá hájat rahí? kyúṉki ham ne ḳhud usí ke muṉh se sun liyá hai.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 23

1 Phir un kí sárí jamáʻat uṭhkar use Pílátus ke pás le gayí.

2 Aur unhoṉ ne us par ilzám lagáná shurúʻ kiyá, ki Ise ham ne apní qaum ko bahkáte, aur Qaisar ko ḳhiráj dene se manaʻ karte, aur apne áp ko Masíh bádsháh kahte páyá.

3 Pílátus ne us se púchhá; Kyá tu Yahúdíoṉ ká Bádsháh hai? Us ne us ke jawáb meṉ kahá; Tú ḳhud kahtá hai.

4 Pílátus ne sardár káhinoṉ aur ʻámm logoṉ se kahá, ki Maiṉ is shaḳhs meṉ kuchh qusúr nahíṉ pátá.

5 Magar wuh âur bhí zor dekar kahne lage, ki Yih tamám Yahúdiyá meṉ, balki Galíl se lekar yaháṉ tak, logoṉ ko sikhá sikhákar ubhártá hai.

6 Yih sunkar Pílátus ne púchhá; Kyá yih ádmí Galílí hai?

7 Aur yih maʻlúm karke ki Herodes kí ʻamaldárí ká hai, use Herodes ke pás bhejá, ki wuh bhí un dinoṉ Yarúshalem meṉ thá.

8 Herodes Yisúʻ ko dekhkar bahut ḳhush húá; kyúṉki muddat se us ke dekhne ká mushtáq thá, is liye ki us ká hál suná thá, aur us ká koí muʻjiza dekhne ká ummedwár thá.

9 Aur wuh us se bahuterí báteṉ púchhtá rahá, magar us ne use kuchh jawáb na diyá.

10 Aur sardár káhin aur faqíh khaṛe húe zor shor se us par ilzám lagáte rahe.

11 Phir Herodes ne apne sipáhíoṉ samet use zalíl kiyá, aur ṭhaṭṭhe meṉ uṛáyá, aur chamakdár poshák pahinákar us ko Pílátus ke pás wápas bhejá.

12 Aur usí din Herodes aur Pílátus ápas meṉ dost ho gaye, kyúṉki pahle un meṉ dushmaní thí.

13 Phir Pílátus ne sardár káhinoṉ, aur sardároṉ, aur ʻámm logoṉ ko jamaʻ karke

14 un se kahá, ki Tum is shaḳhs ko logoṉ ká bahkánewálá ṭhahráke mere pás láe ho; aur dekho, maiṉ ne tumháre sámne hí us kí tahqíqát kí, magar jin bátoṉ ká ilzám tum us par lagáte ho, un kí nisbat na maiṉ ne us meṉ kuchh qusúr páyá,

15 na Herodes ne, kyúṉki us ne use hamáre pás wápas bhejá hai; aur, dekho, us se koí aisá fiʻl nahíṉ húá, ki wuh qatl ke láiq ṭhahrtá.

16 Pas maiṉ us ko piṭwákar chhoṛe detá húṉ. [

17 Use har ʻíd meṉ zarúr thá ki kisí ko un ke wáste chhoṛ de.]

18 Sab milkar chillá uṭhe, ki Ise le já, aur hamárí ḳhátir Bar Abbá ko chhoṛ de.

19 (Yih kisí bagáwat ke báʻis, jo shahr meṉ húí thí, aur ḳhún karne ke sabab qaid meṉ ḍálá gayá thá.)

20 Magar Pílátus ne Yisúʻ ke chhoṛne ke iráde se phir un se kahá.

21 Lekin wuh chillákar bole, ki Is ko salíb de, salíb.

22 Us ne tísrí bár un se kahá; Kyúṉ? is ne kyá buráí kí hai? maiṉ ne is meṉ qatl kí koí wajh nahíṉ páí: pas maiṉ ise piṭwákar chhoṛe detá húṉ.

23 Magar wuh chillá chillákar sir hote rahe, ki use salíb dí jáe. Aur un ká chilláná kárgar húá.

24 Pas Pílátus ne hukm diyá, ki un kí darḳhwást ke muwáfiq ho.

25 Aur jo shaḳhs bagáwat aur ḳhún karne ke sabab qaid meṉ paṛá thá, aur jise unhoṉ ne máṉgá thá, use chhoṛ diyá; magar Yisúʻ ko un kí marzí ke muwáfiq sipáhíoṉ ke hawále kiyá.

26 Aur jab us ko liye játe the, to unhoṉ ne Shamaʻún nám ek Kurení ko, jo dihát se átá thá, pakaṛke salíb us par rakh dí, ki Yisúʻ ke píchhe píchhe le chale.

27 Aur logoṉ kí ek baṛí bhíṛ, aur bahut sí ʻaurateṉ, jo us ke wáste rotí píṭtí thíṉ, us ke píchhe píchhe chalíṉ.

28 Yisúʻ ne un kí taraf phirke kahá, kí Ai Yarúshalem kí beṭíyo, mere liye na roo, balki apne aur apne bachchoṉ ke liye roo.

29 Kyúṉki dekho, wuh din áte haiṉ, jin meṉ kaheṉge; Mubárak haiṉ báṉjheṉ, aur wuh peṭ jo na jane, aur wuh chhátiyáṉ jinhoṉ ne dúdh na piláyá.

30 Us waqt paháṛoṉ se kahná shurúʻ kareṉge, ki Ham par gir paṛo; aur ṭíloṉ se, ki Hameṉ chhipá lo.

31 Kyúṉki jab hare daraḳht ke sáth aisá karte haiṉ, to súkhe ke sáth kyá kuchh na kiyá jáegá?

32 Aur wuh do âur ádmíoṉ ko bhí, jo badkár the, liye játe the, ki us ke sáth qatl kiye jáeṉ.

33 Jab wuh us jagah par pahuṉche, jise Khopṛí kahte haiṉ, to waháṉ use salíb dí, aur badkároṉ ko bhí, ek ko dahiní aur dúsre ko báíṉ taraf.

34 Yisúʻ ne kahá; Ai Báp, in ko muʻáf kar; kyúṉki yih jánte nahíṉ, ki kyá karte haiṉ. Aur unhoṉ ne us ke kapṛoṉ ke hisse kiye, aur un par qurʻa ḍálá.

35 Aur log khaṛe dekh rahe the. Aur sardár bhí ṭhaṭṭhe már márkar kahte the, ki Is ne auroṉ ko bacháyá; agar yih Ḳhudá ká Masíh aur us ká Barguzída hai, to apne áp ko bacháe.

36 Sipáhíoṉ ne bhí pás ákar aur sirka pesh karke us par ṭhaṭṭhá márá aur kahá, ki

37 Agar tú Yahúdíoṉ ká bádsháh hai, ṭo apne áp ko bachá.

38 Aur ek nawishta bhí us ke úpar lagáyá gayá thá, kiYih Yahúdíoṉ ká bádsháh hai.

39 Phir jo badkár salíb par laṭkáe gaye the, un meṉ se ek use yúṉ taʻna dene lagá, ki Kyá tú Masíh nahíṉ? to apne áp ko aur ham ko bachá.

40 Magar dúsre ne use jhiṛakkar jawáb diyá; Kyá tú Ḳhudá se bhí nahíṉ ḍartá, háláṉki usí sazá meṉ giriftár hai?

41 Aur hamárí sazá to wájibí hai; kyúṉki apne kámoṉ ká badla pá rahe haiṉ, lekin is ne koí bejá kám nahíṉ kiyá.

42 Phir us ne kahá; Ai Yisúʻ, jab tú apní bádsháhat meṉ áe, to mujhe yád karná.

43 Us ne us se kahá; Maiṉ tujh se sach kahtá húṉ, ki áj hí tú mere sáth Firdaus meṉ hogá.

44 Phir do pahar ke qaríb se tísre pahar tak tamám mulk meṉ andherá chháyá rahá,

45 aur súraj kí raushní játí rahí; aur maqdis ká parda bích meṉ se phaṭ gayá.

46 Phir Yisúʻ ne baṛí áwáz se pukárke kahá, ki Ai Báp, maiṉ apní rúh tere háthoṉ meṉ sauṉptá húṉ: aur yih kahkar dam de diyá.

47 Yih májará dekhkar súbadár ne Ḳhudá kí baṛáí kí, aur kahá; Beshakk yih ádmí rástbáz thá.

48 Aur jitne log is nazzáre ko áe the, yih májará dekhkar chhátí piṭte húe lauṭ gaye.

49 Aur us ke sab jánpahchán, aur wuh ʻaurateṉ jo Galíl se us ke sáth áí thíṉ, dúr khaṛí yih báteṉ dekh rahí thíṉ.

50 Aur dekho, Yúsuf nám ek shaḳhs mushír thá, jo nek aur rástbáz ádmí thá,

51 aur un kí saláh aur kám se razámand na thá; yih Yahúdíoṉ ke shahr Arimatíya ká báshinda, aur Ḳhudá kí bádsháhat ká muntazir thá.

52 Us ne Pílátus ke pás jákar Yisúʻ kí lásh máṉgí;

53 aur us ko utárkar mihín chádar meṉ lapeṭá; phir ek qabr ke andar rakh diyá, jo chaṭán meṉ khudí húí thí, aur us meṉ koí kabhí rakkhá na gayá thá.

54 Wuh Taiyárí ká din thá, aur Sabt ká din shurúʻ hone ko thá.

55 Aur un ʻauratoṉ ne jo us ke sáth Galíl se ái thíṉ, píchhe píchhe jákar us qabr ko dekhá, aur yih bhí ki us kí lásh kis tarah rakkhí gayí.

56 Aur lauṭkar ḳhushbúdár chízeṉ aur ʻitr taiyár kiyá.

Sabt ke din to unhoṉ ne hukm ke a mutábiq árám kiyá;

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 24

1 lekin hafte ke pahle din wuh subh sawere hí un ḳhushbúdár chízoṉ ko, jo taiyár kí thíṉ, lekar qabr par áíṉ;

2 aur patthar ko qabr par se luṛhká húá páyá;

3 magar andar jáke Ḳhudáwand Yisúʻ kí lásh na páí.

4 Aur aisá húá ki jab wuh is bát se hairán thíṉ, to dehko, do shaḳhs barráq poshák pahine un ke pás á khaṛe húe.

5 Jab wuh ḍar gayíṉ, aur apne sir zamín par jhukáe, to unhoṉ ne un se kahá, ki Zinde ko murdoṉ meṉ kyúṉ ḍhúṉḍhtí ho?

6 Wuh yaháṉ nahíṉ, balki jí uṭhá hai; yád karo, ki jab wuh Galíl meṉ thá, to us ne tum se kahá thá;

7 Zarúr hai, ki Ibn i Ádam gunahgároṉ ke háth meṉ hawále kiyá jáe, aur salíb diyá jáe, aur tísre din jí uṭhe.

8 Us kí báteṉ unheṉ yád áíṉ;

9 aur qabr se lauṭkar unhoṉ ne un gyárah aur báqí sab logoṉ ko in sab bátoṉ kí ḳhabar dí.

10 Jinhoṉ ne rasúloṉ se yih báteṉ kahíṉ, wuh Maryam Magdalíní aur Yoanna, aur Yaʻqúb kí máṉ Maryam, aur un ke sáth kí báqí ʻaurateṉ thíṉ.

11 Magar yih báteṉ unheṉ kahání sí maʻlúm húiṉ, aur unhoṉ ne un ká yaqín na kiyá.

12 Is par Patras uṭhkar qabr tak dauṛá gayá; aur jhukkar nazar kí aur dekhá, ki sirf kafn hí kafn hai; aur is májare se taʻajjub kartá húá apne ghar chalá gayá.

13 Aur dekho, usí din un meṉ se do ádmí us gaṉw kí taraf já rahe the, jis ká nám Immáús hai; wuh Yarúshalem se koí sát míl ke fásile par hai.

14 Aur wuh in sab bátoṉ kí bábat, jo wáqiʻ húí thíṉ, ápas meṉ bátchít karte játe the.

15 Jab wuh bátchít aur púchhpáchh kar rahe the, to aisá húá ki Yisúʻ áp nazdík ákar un ke sáth ho liyá.

16 Lekin un kí áṉkheṉ band kí gayí thíṉ, ki us ko na pahcháneṉ.

17 Us ne un se kahá; Yih kyá báteṉ haiṉ, jo tum chalte chalte ápas meṉ karte ho? Wuh gamgín se khaṛe ho gaye.

18 Phir ek ne jis ká nám Kliyupás thá, jawáb meṉ us se kahá; Kyá tú Yarúshalem meṉ akelá musáfir hai jo nahíṉ jántá, ki in dinoṉ us meṉ kyá kyá húá hai?

19 Usne un se kahá; Kyá húá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Yisúʻ Násarí ká májará, jo Ḳhudá aur sárí ummat ke nazdík kám aur kalám meṉ qudratwálá nabí thá;

20 aur sardár káhinoṉ aur hamáre hákimoṉ ne us ko pakaṛwá diyá, táki us par qatl ká hukm diyá jae; aur use salíb diláí;

21 lekin ham ko ummed thí, ki Isráíl ko maḳhlasí yihí degá. Aur ʻaláwa in sab bátoṉ ke, is májare ko áj tísrá din ho gayá;

22 aur ham meṉ se chand ʻauratoṉ ne bhí ham ko hairán kar diyá hai, jo sawere hí qabr par gayí thíṉ:

23 aur jab us kí lásh na páí, to yih kahtí húí áíṉ, ki Ham ne royá meṉ firishtoṉ ko bhí dekhá: unhoṉ ne kahá, ki wuh zinda hai.

24 Aur baʻz hamáre sáthiyoṉ meṉ se qabr par gaye, aur jaisá ʻauratoṉ ne kahá thá, waisá hí páyá, magar us ko na dekhá.

25 Us ne un se kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo!

26 Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá?

27 Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

28 Itne meṉ wuh us gáṉw ke nazdík pahuṉch gaye, jaháṉ játe the: aur us ke ḍhang se aisá maʻlúm húá, ki wuh áge baṛhná cháhtá hai.

29 Unhoṉ ne use yih kahkar majbúr kiyá, ki Hamáre sáth rah, kyúṉki shám húá cháhtí hai, aur din ab bahut ḍhal gayá. Pas wuh andar gayá, táki un ke sáth rahe.

30 Jab wuh un ke sáth kháná kháne baiṭhá, to aisá húá ki us ne roṭí lekar barakat cháhí, aur toṛkar un ko dene lagá.

31 Is par un kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur unhoṉ ne us ko pahchán liyá; aur wuh un kí nazar se gáib ho gayá.

32 Unhoṉ ne ápas meṉ kahá, ki Jab wuh ráh meṉ ham se báteṉ kartá, aur ham par nawishtoṉ ká bhed kholtá thá, to kyá hamáre dil josh meṉ na bhar gaye the?

33 Pas wuh usí ghaṛí uṭhkar Yarúshalem ko lauṭ gaye; aur un gyárah aur un ke sáthiyoṉ ko ikaṭṭhá páyá.

34 Wuh kah rahe the, ki Ḳhudáwand beshakk jí uṭhá, aur Shamaʻún ko dikháí diyá hai.

35 Aur unhoṉ ne ráh ká hál bayán kiyá, aur yih bhí, ki use roṭí toṛte waqt kis tarah pahcháná.

36 Wuh yih báteṉ kar hí rahe the, ki Yisúʻ áp un ke bích meṉ á khaṛá húá, aur un se kahá; Tumhárí salámatí ho.

37 Magar unhoṉ ne ghabrákar aur ḳhauf khákar yih samjhá, ki kisí rúh ko dekhte haiṉ.

38 Us ne un se kahá; ki Tum kyúṉ ghabráte ho? aur kis wáste tumháre dil meṉ shakk paidá hote haiṉ?

39 Mere háth aur mere páṉw dekho, ki maiṉ hí húṉ; mujhe chhúkar dekho; kyúṉki rúh ke gosht aur haḍḍí nahíṉ hotí, jaisá mujh meṉ dekhte ho.

40 Aur yih kahkar us ne unheṉ apne háth aur páṉw dikháe.

41 Jab máre ḳhushí ke un ko yaqín na áyá, aur taʻajjub karte the, to us ne un se kahá; Kyá yaháṉ tumháre pás kuchh kháne ko hai?

42 Unhoṉ ne use bhuní húi machhlí ká qatla diyá.

43 Us ne lekar un ke rúbarú kháyá.

44 Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ.

45 Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ,

46 aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá;

47 aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí.

48 Tum in bátoṉ ke gawáh ho.

49 Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

50 Phir wuh unheṉ Baitʻaniyyáh ke sámne tak báhar le gayá; aur apne háth uṭhákar unheṉ barakat dí.

51 Jab wuh unheṉ barakat de rahá thá, to aisá húá ki un se judá ho gayá, aur ásmán par uṭháyá gayá.

52 Aur wuh us ko sijda karke baṛí ḳhushí se Yarúshalem ko lauṭ gaye:

53 aur har waqt haikal meṉ házir hokar Ḳhudá kí hamd kiyá karte the.