Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 1

1 Chúṉki bahutoṉ ne is par kamar báṉdhí hai, ki jo báteṉ hamare darmiyán wáqiʻ húiṉ, un ko tartíbwár bayán kareṉ,

2 jaisá ki unhoṉ ne, jo shurúʻ se ḳhud dekhnewále aur kalám ke ḳhádim the, unheṉ ham ko pahuṉcháyá;

3 is liye ai muʻazzaz Thiyufilus, maiṉ ne bhí munásib jáná, ki sab bátoṉ ká silsila shurúʻ se ṭhík ṭhík daryáft karke unheṉ tere liye tartíb se likhúṉ,

4 táki jin bátoṉ kí tú ne taʻlím páí hai, un kí puḳhtagí tujhe maʻlúm ho jáe.

5 Yahúdiya ke bádsháh Herodes ke zamáne meṉ Abiyyáh ke faríq meṉ se Zakaryáh nám ek káhin thá, aur us kí bíwí Hárún kí aulád meṉ se thí, aur us ká nám Ilíshibaʻ thá.

6 Aur wuh donoṉ Ḳhudá ke huzúr rástbáz aur Ḳhudáwand ke sáre hukmoṉ aur qánúnoṉ par beʻaib chalnewále the.

7 Aur un ke aulád na thí, kyúṉki Ilíshibaʻ báṉjh thí, aur donoṉ ʻumr rasída the.

8 Jab wuh Ḳhudá ke huzúr apne faríq kí bárí par kahánat ká kám anjám detá thá, to aisá húá

9 ki kahánat ke dastúr ke muwáfiq us ke nám ká qurʻa niklá, ki Ḳhudáwand ke maqdis meṉ jákar ḳhushbú jaláe:

10 aur logoṉ kí sárí jamáʻat ḳhushbú jaláte waqt báhar duʻá máṉg rahí thí,

11 ki Ḳhudáwand ká fírishta ḳhushbú ke mazbah kí dahiní taraf khaṛá húá us ko dikháí diyá.

12 Aur Zakaryáh dekhkar ghabráyá aur us par dahshat chhá gayí.

13 Magar firishte ne us se kahá: Ai Zakaryáh, ḳhauf na kar; kyúṉki terí duʻá sun lí gayí, aur terí bíwí Ilíshibaʻ tere liye beṭá janegí; tú us ká nám Yúhanná rakhná.

14 Aur tujhe ḳhushí o ḳhurramí hogí, aur bahut se log us kí paidáish ke sabab ḳhush hoṉge.

15 Kyúṉki wuh Ḳhudáwand ke huzúr meṉ buzurg hogá, aur hargiz na mai na koí âur sharáb píegá, aur apní máṉ ke peṭ hí se Rúhuʼl Quds se bhar jáegá,

16 aur bahut se baní Isráíl ko Ḳhudáwand kí taraf, jo un ká Ḳhudá hai, pheregá.

17 Aur wuh Eliyyáh kí rúh aur quwwat meṉ us ke áge áge chalegá, ki wálidoṉ ke dil aulád kí taraf, aur náfarmánoṉ ko rástbázoṉ kí dánáí par chalne kí taraf phere, aur Ḳhudáwand ke liye ek mustaʻidd qaum taiyár kare.

18 Zakaryáh ne firishte se kahá; Maiṉ is bát ko kis tarah jánúṉ, kyúṉki maiṉ búṛhá húṉ, aur merí bíwí ʻumr rasída hai.

19 Firishte ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ Jibraíl húṉ, jo Ḳhudá ke huzúr khaṛá rahtá húṉ, aur is liye bhejá gayá húṉ, ki tujh se kalám karúṉ aur tujhe in bátoṉ kí ḳhushḳhabarí dúṉ;

20 aur dekh, jis din tak yih báteṉ wáqiʻ na ho leṉ, tú chupká rahegá, aur bol na sakegá, is liye ki tú ne merí bátoṉ ká, jo apne waqt par púrí hoṉgí, yaqín na kiyá.

21 Aur log Zakaryáh kí ráh dekhte aur taʻajjub karte the, ki use maqdis meṉ kyúṉ der lagí.

22 Jab wuh báhar áyá, to un se bol na saká. Pas unhoṉ ne maʻlúm kiyá, ki us ne maqdis meṉ royá dekhí hai, aur wuh un se isháre kartá thá, aur gúṉgá hí rahá.

23 Phir aisá húá ki jab us kí ḳhidmat ke din púre húe, wuh apne ghar gayá.

24 In dinoṉ ke baʻd us kí bíwí Ilíshibaʻ hámila húí; aur us ne páṉch mahíne tak apne taíṉ yih kahke chhipáe rakkhá, ki

25 Jab Ḳhudáwand ne merí ruswáí logoṉ meṉ se dúr karne ke liye mujh par nazar kí, un dinoṉ meṉ us ne mere liye aisá kiyá.

26 Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá,

27 jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá.

28 Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai.

29 Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai.

30 Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai;

31 aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná.

32 Wuh buzurg hogá; aur Ḳhudá Taʻálá ká Beṭá kahláegá, aur Ḳhudáwand Ḳhudá us ke báp Dáúd ká taḳht use degá,

33 aur wuh Yaʻqúb ke gharáne par abad tak bádsháhí karegá, aur us kí bádsháhí ká áḳhir na hogá.

34 Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí?

35 Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá.

36 Aur dekh, terí rishtadár Ilíshibaʻ ke bhí buṛhápe meṉ beṭá honewálá hai; aur ab us ko, jo báṉjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai.

37 Kyúṉki jo qaul Ḳhudá kí taraf se hai, wuh hargiz betásír na hogá.

38 Maryam ne kahá; Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho. Phir firishta us ke pás se chalá gayá.

39 Un hí dinoṉ Maryam uṭhí, aur jaldí se paháṛí mulk meṉ Yahúdáh ke ek shahr ko gayí,

40 aur Zakaryáh ke ghar meṉ dáḳhil hokar Ilíshibaʻ ko salám kiyá.

41 Aur joṉhíṉ Ilíshibaʻ ne Maryam ká salám suná, to aisá húá ki bachcha us ke peṭ meṉ uchhal paṛá, aur Ilíshibaʻ Rúhuʼl Quds se bhar gayí,

42 aur baland áwáz se pukárke bolí, ki Tú ʻauratoṉ meṉ mubárak, aur tere peṭ ká phal mubárak hai;

43 aur mujh par yih fazl kaháṉ se húá, ki mere Ḳhudáwand kí máṉ mere pás áí?

44 Kyúṉki dekh, joṉhíṉ tere salám kí áwáz mere kán meṉ pahuṉchí, bachcha máre ḳhushí ke mere peṭ meṉ uchhal paṛá.

45 Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúṉki jo báteṉ Ḳhudáwand kí taraf se us se kahí gayí thíṉ, wuh púrí hoṉgí.

46 Phir Maryam ne kahá, ki

Merí ján Ḳhudáwand kí baṛáí kartí hai,

47 Aur merí rúh mere munjí Ḳhudá se ḳhush húí;

48 Kyúṉki us ne apní bandí kí pasthálí par nazar kí:

Aur dekh, ab se lekar har zamáne ke log mujh ko mubárak kaheṉge.

49 Kyúṉki us Qádir ne mere liye baṛe baṛe kám kiye haiṉ,

Aur us ká nám pák hai.

50 Aur us ká rahm un par jo us se ḍarte haiṉ

Pusht dar pusht rahtá hai.

51 Us ne apne bázú se zor dikháyá;

Aur jo apne taíṉ baṛá samajhte the un ko paráganda kiyá.

52 Us ne iḳhtiyárwáloṉ ko taḳht se girá diyá,

Aur pastháloṉ ko baland kiyá.

53 Us ne bhúkoṉ ko achchhí chízoṉ se ser kar diyá,

Aur daulatmandoṉ ko ḳhálí háth lauṭá diyá.

54 Us ne apne ḳhádim Isráíl ko sambhál liyá,

Táki apní us rahmat ko yád farmáe,

55 Jo Ibráhím aur us kí nasl par abad tak rahegí;

Jaisá us ne hamáre bápdádá se kahá thá.

56 Aur Maryam tín mahíne ke qaríb us ke sáth rahkar apne ghar ko lauṭ gayí.

57 Aur Ilíshibaʻ ke janne ká waqt á pahuṉchá, aur wuh beṭá janí.

58 Aur us ke paṛausiyoṉ aur rishtadároṉ ne yih sunkar, ki Ḳhudáwand ne us par baṛi rahmat kí, us ke sáth ḳhushí manáí.

59 Aur áṭhweṉ din aisá húá ki wuh laṛke ká ḳhatna karne áe, aur us ká nám us ke báp ke nám par Zakaryáh rakhne lage.

60 Magar us kí máṉ ne kahá; Nahíṉ, balki us ká nám Yúhanná rakkhá jáe.

61 Unhoṉ ne us se kahá, ki Tere kunbe meṉ kisí ká yih nám nahíṉ.

62 Aur unhoṉ ne us ke báp ko ishára kiyá, ki Tú us ká nám kyá rakhná cháhtá hai?

63 Us ne taḳhtí maṉgáke yih likhá, ki Us ká nám Yúhanná hai; aur sab ne taʻajjub kiyá.

64 Usí dam us ká muṉh aur zabán khul gayí, aur wuh bolne aur Ḳhudá kí hamd karne lagá.

65 Aur un ke ás pás ke sab rahnewáloṉ par dahshat chhá gayí; aur Yahúdiya ke tamám paháṛí mulk meṉ in sab bátoṉ ká charchá phail gayá.

66 Aur sab sunnewáloṉ ne un ko dil meṉ sochkar kahá; To yih laṛká kaisá honewálá hai? Kyúṉki Ḳhudáwand ká háth us par thá.

67 Aur us ká báp Zakaryáh Rúhuʼl Quds se bhar gayá, aur nubuwwat kí ráh se kahne lagá, ki

68 Ḳhudáwand Isráíl ke Ḳhudá kí hamd ho,

Kyúṉki us ne apní ummat par tawajjuh karke use chhuṭkárá diyá,

69 Aur apne ḳhádim Dáúd ke gharáne meṉ

Hamáre liye naját ká síṉg nikálá;

70 (Jaísá us ne apne pák nabíoṉ kí zabání kahá thá,

Jo ki dunyá ke shurúʻ se hote áe haiṉ,)

71 Yaʻní ham ko hamáre dushmanoṉ se, aur sab kína rakhnewálon ke háth se naját baḳhshí.

72 Táki hamáre bápdádá par rahm kare,

Aur apne pák ʻahd ko yád farmáe;

73 Yaʻní us qasam ko jo us ne hamáre báp Ibráhím se kháí thí,

74 Ki wuh hameṉ yih ʻináyat karegá ki apne dushmanoṉ ke háth se chhúṭkar,

75 Us ke huzúr pákízagí aur rástbází se ʻumr bhar beḳhauf us kí ʻibádat kareṉ.

76 Aur ai laṛke, tú Ḳhudá Taʻálá ká nabí kahláegá;

Kyúṉki tú Ḳhudáwand ki ráheṉ taiyár karne ko us ke áge áge chalegá;

77 Táki us ki ummat ko naját ká ʻilm baḳhshe,

Jo un ko gunáhoṉ kí muʻáfí se hásil ho.

78 Yih hamáre Ḳhudá kí ʻain rahmat se hogá,

Jis ke sabab ʻálam i bálá ká áftáb ham par tulúʻ karegá,

79 Táki un ko jo andhere aur maut ke sáye meṉ baiṭhe haiṉ raushní baḳhshe,

Aur hamáre qadamoṉ ko salámatí kí ráh par dále.

80 Aur wuh laṛká báṛhtá aur rúh meṉ quwwat pátá gayá, aur Isráíl par záhir hone ke din tak jangaloṉ meṉ rahá.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 2

1 Un dinoṉ meṉ aisá húá ki Qaisar Augústus kí taraf se yih hukm járí húá, ki sárí dunyá ke logoṉ ke nám likhe jáeṉ.

2 Yih pahlí ismnawísí Súriya ke hákim Kwiriniyus ke ʻahd meṉ húí;

3 aur sab log nám likhwáne ke liye apne apne shahr ko gaye.

4 Pas Yúsuf bhí Galíl ke shahr Násarat se Dáúd ke shahr Baitlahm ko gayá, jo Yahúdiya meṉ hai, is liye ki wuh Dáúd ke gharáne aur aulád se thá,

5 táki apní maṉgetar Maryam ke sáth, jo hámila thí, nám likhwáe.

6 Jab wuh waháṉ the, to aisá húá ki us ke janne ká waqt á pahuṉchá.

7 Aur wuh pahlauṭhá beṭá janí, aur us ko kapṛe meṉ lapeṭkar charní meṉ rakkhá, kyúṉki un ke wáste saráe meṉ jagah na thí.

8 Usí ʻiláqe meṉ charwáhe the, jo rát ko maidán meṉ rahkar apne galle kí nigahbání kar rahe the.

9 Aur Ḳhudáwand ká firishta un ke pás á khaṛá húá, aur Ḳhudáwand ká jalál un ke chaugird chamká, aur wuh niháyat ḍar gaye.

10 Magar firishte ne un se kahá; Ḍaro nahíṉ; kyúṉki dekho, maiṉ tumheṉ baṛí ḳhushí kí bashárat detá húṉ, jo sárí ummat ke wáste hogí:

11 ki áj Dáúd ke shahr meṉ tumháre liye ek Munjí paidá húá, yaʻní Masíh Ḳhudáwand;

12 aur is ká tumháre liye yih patá hai, kí tum ek bachche ko kapṛe meṉ lipṭá aur charní meṉ paṛá húá páoge.

13 Aur yakáyak us firishte ke sáth ásmání lashkar kí ek guroh, Ḳhudá kí hamd kartí aur yih kahtí záhir húí, ki

14 ʻÁlam i bálá par Ḳhudá kí tamjíd ho,

Aur zamín par un ádmíoṉ meṉ, jin se wuh rází hai, sulh.

15 Jab firishte un ke pás se ásmán par chale gaye, to aisá húá ki charwáhoṉ ne ápas meṉ kahá, ki Áo, Baitlahm tak chaleṉ, aur yih bát jo húí hai, aur jis kí Ḳhudáwand ne ham ko ḳhabar dí hai dekheṉ.

16 Pas unhoṉ ne jaldí se jákar Maryam aur Yúsuf ko dekhá, aur us bachche ko charní meṉ paṛá páyá;

17 aur unheṉ dekhkar wuh bát, jo us laṛke ke haqq meṉ un se kahí gayí thí, mashhúr kí;

18 aur sab sunnewáloṉ ne in bátoṉ par, jo charwáhoṉ ne un se kahíṉ, taʻajjub kiyá.

19 Magar Maryam in sab bátoṉ ko apne dil meṉ rakhkar gaur kartí rahí.

20 Aur charwáhe, jaisá un se kahá gayá thá, waisá hí sab kuchh sunkar aur dekhkar Ḳhudá kí baṛáí aur hamd karte húe lauṭ gaye.

21 Jab áṭh din púre húe, aur us ke ḳhatne ká waqt áyá, to us ká nám Yisúʻ rakkhá gayá, jo firishte ne us ke peṭ meṉ paṛne se pahle rakkhá thá.

22 Phir jab Músá kí sharíʻat ke muwáfiq un ke pák hone ke din púre ho gaye, to wuh us ko Yarúshalem meṉ láe, táki Ḳhudáwand ke áge házir kareṉ,

23 (jaisá ki Ḳhudáwand kí sharíʻat meṉ likhá hai, ki Har ek pahlauthá Ḳhudáwand ke liye muqaddas ṭhahregá,)

24 aur Ḳhudáwand kí sharíʻat ke is qaul ke muwáfiq qurbání kareṉ, ki Qumríoṉ ká ek joṛá, yá kabútar ke do bachche láo.

25 Aur dekho, Yarúshalem meṉ Shamaʻún nám ek ádmí thá, aur wuh ádmí rástbáz aur ḳhudátars aur Isráíl kí tasallí ká muntazir thá, aur Rúhuʼl Quds us par thá.

26 Aur us ko Rúhuʼl Quds se ágáhí húí thí, ki jab tak tú Ḳhudáwand ke Masíh ko dekh na le, maut ko na dekhegá.

27 Wuh Rúh ki hidáyat se haikal meṉ áyá, aur jis waqt máṉ báp us laṛke Yisúʻ ko andar láe, táki us ke liye sharíʻat ke dastúr par ʻamal kareṉ,

28 to us ne use apní god meṉ liyá, aur Ḳhudá kí hamd karke kahá, ki

29 Ai Málik, ab tú apne gulám ko apne qaul ke muwáfiq salámatí se ruḳhsat detá hai;

30 Kyúṉki merí áṉkhoṉ ne terí naját dekh lí hai,

31 Jo tú ne sab ummatoṉ ke rúbarú taiyár kí hai,

32 Táki gairqaumoṉ ko raushní denewálá núr

Aur terí ummat Isráíl ká jalál bane.

33 Aur us ká báp aur us kí máṉ in bátoṉ par, jo us ke haqq meṉ kahí játí thíṉ, taʻajjub karte the.

34 Aur Shamaʻún ne un ke liye barakat cháhí, aur us kí máṉ Maryam se kahá; Dekh, yih Isráíl meṉ bahutoṉ ke girne aur uṭhne ke liye, aur aisá nishán hone ke liye muqarrar húá hai, jis kí muḳhálafat kí jáegí —

35 balki ḳhud terí ján bhí talwár se chhid jáegí — táki bahut logoṉ ke diloṉ ke ḳhayál khul jáeṉ.

36 Aur Ásher ke qabíle meṉ se Hannáh nám Fanúel kí beṭí ek nabiya thí; wuh bahut ʻumr rasída thí, aur apne kuṉwárepan ke baʻd sát baras ek shauhar ke sáth guzáre the;

37 wuh chaurásí baras se bewa thí; aur haikal se judá na hotí thí, balki rát din rozoṉ aur duʻáoṉ ke sáth ʻibádat kiyá kartí thí.

38 Aur wuh usí ghaṛí waháṉ ákar Ḳhudá ká shukr karne lagí, aur un sab se jo Yarúshalem ke chhuṭkáre ke muntazir the us kí bábat báteṉ karne lagí.

39 Aur jab wuh Ḳhudáwand kí sharíʻat ke muwáfiq sab kuchh kar chuke, to Galíl meṉ apne shahr Násarat ko phir gaye.

40 Aur wuh laṛká baṛhtá aur quwwat pátá gayá, aur hikmat se maʻmúr hotá gayá, aur Ḳhudá ká fazl us par thá.

41 Us ke máṉ báp har baras ʻIʹd i Fasah par Yarúshalem ko jáyá karte the.

42 Aur jab wuh bárah baras ká húá, to wuh ʻIʹd ke dastúr ke muwáfiq Yarúshalem ko gaye.

43 Jab wuh un dinoṉ ko púrá karke lauṭe, to wuh laṛká Yisúʻ Yarúshalem meṉ rah gayá, aur us ke máṉ báp ko ḳhabar na húí.

44 Magar yih samajhkar ki wuh qáfile meṉ hai, ek manzil nikal gaye, aur use apne rishtadároṉ aur jánpahchánoṉ meṉ ḍhúṉḍhne lage.

45 Jab na milá, to use ḍhúṉḍhte húe Yarúshalem tak wápas gaye.

46 Aur tín roz píchhe aisá húá ki unhoṉ ne use haikal meṉ ustádoṉ ke bích meṉ baiṭhe, un kí sunte aur un se suwál karte húe páyá.

47 Aur jitne us ki sun rahe the, us ki samajh aur us ke jawáboṉ se dang the.

48 Wuh use dekhkar hairán húe, aur us kí máṉ ne us se kahá; Beṭá, tú ne kyúṉ ham se aisá kiyá? Dekh, terá báp aur maiṉ kuṛhte húe tujhe ḍhúṉdhte the.

49 Us ne un se kahá; Tum mujhe kyúṉ ḍhúṉḍhte the? Kyá tum ko maʻlúm na thá, ki mujhe apne Báp ke háṉ honá zarúr hai?

50 Magar jo bát us ne un se kahí, use wuh na samjhe.

51 Aur wuh un ke sáth rawána hokar Násarat meṉ áyá, aur un ke tábiʻ rahá; aur us kí máṉ ne yih sab báteṉ apne dil meṉ rakkhíṉ.

52 Aur Yisúʻ hikmat aur qadd o qámat meṉ, aur Ḳhudá kí aur insán kí maqbúlíyat men, taraqqí kartá gayá.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 3

1 Tibiriyus Qaisar kí hukúmat ke pandrahweṉ baras, jab Puntiyus Pílátus Yahúdiya ká hákim thá, aur Herodes Galíl ká, aur us ká bháí Filippus Itúraiya aur Traḳhonítis ká, aur Lisániyás Abilene ká hákim thá,

2 aur Hanná aur Káifá sardár káhin the; us waqt Ḳhudá ká kalám biyábán meṉ Zakaryáh ke beṭe Yúhanná par utrá.

3 Aur wuh Yardan ke sáre girdnawáh meṉ jákar gunáhoṉ kí muʻáfí ke liye tauba ke baptisma kí manádí karne lagá,

4 jaisá Yashaʻyáh nabí ke kalám kí kitáb meṉ likhá hai, ki

Biyábán meṉ pukárnewále kí áwáz átí hai, ki

Ḳhudáwand kí ráh taiyár karo,

Us ke ráste sídhe banáo.

5 Har ek gháṭí bhar dí jáegí,

Aur har ek paháṛ aur ṭíla níchá kiyá jáegá;

Aur jo ṭeṛhá hai sídhá,

Aur jo úṉchá níchá hai hamwár rásta banegá;

6 Aur har bashar Ḳhudá kí naját dekhegá.

7 Pas jo log us se baptisma lene ko nikalkar áte the, wuh un se kahtá thá; Ai sáṉp ke bachcho, tumheṉ kis ne jatáyá, ki ánewále gazab se bhágo?

8 Pas tauba ke muwáfiq phal láo, aur apne diloṉ meṉ yih kahná shurúʻ na karo, ki Ibráhím hamárá báp hai; kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Ḳhudá in pattharoṉ se Ibráhím ke liye aulád paidá kar saktá hai.

9 Aur ab to daraḳhtoṉ kí jaṛ par kulháṛá rakkhá húá hai; pas jo daraḳht achchhá phal nahíṉ látá, wuh káṭá aur ág meṉ ḍálá játá hai.

10 Logoṉ ne us se yih púchhá, ki Phir ham kyá kareṉ?

11 Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jis ke pás do kurte hoṉ, wuh us ko jis ke pás na ho báṉṭ de, aur jis ke pás kháná ho, wuh bhí aisá hí kare.

12 Aur mahsúl lenewále bhí baptisma lene ko áe, aur us se púchhá, ki Ai ustád, ham kyá kareṉ?

13 Us ne un se kahá; Jo tumháre liye muqarrar hai, us se ziyáda na lená.

14 Aur sipáhíoṉ ne bhí us se yih púchhá, ki Ham log kyá kareṉ? Us ne un se kahá; Na kisí par zulm karo, aur na kisí se náhaqq kuchh lo, aur apní tanḳhwáh par kifáyat karo.

15 Jab log muntazir the, aur sab apne apne dil meṉ Yúhanná kí bábat sochte the, ki áyá wuh Masíh hai, yá nahíṉ;

16 to Yúhanná ne un sab se jawáb meṉ kahá; Maiṉ to tumheṉ pání se baptisma detá húṉ, magar jo mujh se zoráwar hai, wuh ánewálá hai; maiṉ us kí jútí ká tasma kholne ke láiq nahíṉ; wuh tumheṉ Rúhuʼl Quds aur ág se baptisma degá.

17 Us ká chháj us ke háth meṉ hai, táki wuh apne khaliyán ko ḳhúb sáf kare, aur gehúoṉ ko apne khatte meṉ jamaʻ kare; magar bhúsí ko us ág meṉ jaláegá jo bujhne kí nahíṉ.

18 Pas wuh âur bahut sí nasíhateṉ de deke logoṉ ko ḳhushḳhabarí sunátá rahá.

19 Lekin chautháí mulk ke hákim Herodes ne, apne bháí Filippus kí bíwí Herodiyás ke sabab, aur un sárí buráiyoṉ ke báʻis jo Herodes ne kí thíṉ, Yúhanná se malámat uṭhákar,

20 in sab se baṛhkar yih bhí kiyá, ki us ko qaid meṉ ḍálá.

21 Jab sab logoṉ ne baptisma liyá, aur Yisúʻ bhí baptisma pákar duʻá máṉg rahá thá, to aisá húá ki ásmán khul gayá,

22 aur Rúhuʼl Quds jismání súrat meṉ kabútar kí mánind us par utrá, aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai; tujh se maiṉ ḳhush húṉ.

23 Jab Yisúʻ ḳhud taʻlím dene lagá, to baras tís ek ká thá, aur (jaisá ki samjhá játá thá), Yúsuf ká beṭá thá, aur wuh ʻElí ká,

24 aur wuh Mattát ká, aur wuh Lewí ká, aur wuh Malkí ká, aur wuh Yanná ká, aur wuh Yúsuf ká,

25 aur wuh Mattityáh ká, aur wuh Ámos ká, aur wuh Nahúm ká, aur wuh Asalyáh ká, aur wuh Nogah ká,

26 aur wuh Máʻat ká, aur wuh Mattityáh ká, aur wuh Shimʻí ká, aur wuh Yoseḳh ká, aur wuh Yodáh ká,

27 aur wuh Yúhanná ká, aur wuh Resá ká, aur wuh Zarubbábil ká, aur wuh Shaʼaltiyel ká, aur wuh Nerí ká,

28 aur wuh Malkí ká, aur wuh Addí ká, aur wuh Qosám ká, aur wuh Ilmodám ká, aur wuh ʻEr ká,

29 aur wuh Yeshúʻ ká, aur wuh Ilʻázár ká, aur wuh Yorím ká, aur wuh Mattát ká, aur wuh Lewí ká,

30 aur wuh Shamaʻún ká, aur wuh Yahúdáh ká, aur wuh Yúsuf ká, aur wuh Yonán ká, aur wuh Ilyáqím ká,

31 aur wuh Maleáh ká, aur wuh Minnáh ká, aur wuh Mattatá ká, aur wuh Nátán ká, aur wuh Dáúd ká,

32 aur wuh Yishai ká, aur wuh ʻObed ká, aur wuh Boʻaz ká, aur wuh Salmon ká, aur wuh Nahshon ká,

33 aur wuh ʻAmmínádáb ká, aur wuh Arní ká, aur wuh Hisron ká, aur wuh Firis ká, aur wuh Yahúdáh ká,

34 aur wuh Yaʻqúb ká, aur wuh Izháq ká, aur wuh Ibráhím ká, aur wuh Tirah ká, aur wuh Náhor ká,

35 aur wuh Sarúg ká, aur wuh Raʻú ká, aur wuh Filig ká, aur wuh ʻEbir ká, aur wuh Shilah ká,

36 aur wuh Qenán ká, aur wuh Arfakshad ká, aur wuh Shem ká, aur wuh Núh ká, aur wuh Limik ká,

37 aur wuh Mathúshilah ká, aur wuh Hanok ká, aur wuh Yirid ká, aur wuh Mahalalel ká, aur wuh Qenán ká,

38 aur wuh Inosh ká, aur wuh Shet ká, aur wuh Ádam ká, aur wuh Ḳhudá ká thá.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 4

1 Phir Yisúʻ Rúhuʼl Quds se bhará húá Yardan se lauṭá, aur chálís din tak Rúh kí hidáyat se biyábán meṉ phírtá rahá,

2 aur Iblís use ázmátá rahá. Un dinoṉ meṉ us ne kuchh na kháyá; aur jab wuh din púre ho gaye, to use bhúk lagí.

3 Aur Iblís ne us se kahá; Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to is patthar se kah, ki roṭí ban jáe.

4 Yisúʻ ne us ko jawáb diyá; Likhá hai, ki Ádmí sirf roṭí hí se jítá na rahegá.

5 Aur Iblís ne use úṉche par le jákar dunyá kí sárí bádsháhateṉ pal bhar meṉ dikháíṉ,

6 aur us se kahá, ki Yih sárá iḳhtiyár aur in kí shán o shaukat maiṉ tujhe de dúṉgá, kyúṉki yih mere supurd hai, aur jis ko cháhtá húṉ detá húṉ.

7 Pas agar tú mere áge sijda kare, to yih sab terá hogá.

8 Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usí kí ʻibádat kar.

9 Aur wuh use Yarúshalem meṉ le gayá, aur haikal ke kangure par khaṛá karke us se kahá; Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to apne taíṉ yaháṉ se níche girá de:

10 kyúṉki likhá hai, ki

Wuh terí bábat apne firishtoṉ ko hukm degá, ki terí hifázat kareṉ:

11 Aur yih bhí, ki

Wuh tujhe háthoṉ par uṭhá leṉge,

Aisá na ho ki tere páṉw ko patthar kí ṭhes lage.

12 Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Farmáyá gayá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí ázmáish na kar.

13 Jab Iblís tamám ázmáisheṉ kar chuká, to kuchh ʻarse ke liye us se judá húá.

14 Phir Yisúʻ Rúh kí quwwat se bhará húá Galíl ko lauṭá, aur sáre girdnawáh meṉ us kí shuhrat phail gayí.

15 Aur wuh un ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ taʻlím detá rahá, aur sab us kí baṛáí karte rahe.

16 Aur wuh Násarat meṉ áyá, jaháṉ us ne parwarish páí thí, aur apne dastúr ke muwáfiq Sabt ke din ʻibádatḳháne meṉ gayá, aur paṛhne ko khaṛá húá.

17 Aur Yashaʻyáh nabí kí kitáb us ko dí gayí, aur kítáb kholkar us ne wuh maqám nikálá, jaháṉ yih likhá thá, ki

18 Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,

Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19 Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

20 Phir wuh kitáb band karke aur ḳhádim ko wápas dekar baiṭh gayá; aur jitne ʻibádatḳháne meṉ the, sab kí áṉkheṉ us par lagí thíṉ.

21 Wuh un se kahne lagá, ki Áj yih nawishta tumháre sámne púrá húá hai.

22 Aur sab ne us par gawáhí dí, aur un purfazl bátoṉ par, jo us ke muṉh se nikaltí thíṉ, taʻajjub karke kahne lage; Kyá yih Yúsuf ká beṭá nahíṉ?

23 Us ne un se kahá; Tum albatta yih masal mujh par kahoge, ki Ai hakím, apne áp ko to achchhá kar: jo kuchh ham ne suná hai, ki Kafarnahúm meṉ kiyá gayá, yaháṉ apne watan meṉ bhí kar.

24 Aur us ne kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki koí nabí apne watan meṉ maqbúl nahíṉ hotá.

25 Aur maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Eliyyáh ke dinoṉ meṉ, jab sáṛhe tín baras ásmán band rahá, yaháṉ tak ki sáre mulk meṉ saḳht kál paṛá, bahut sí bewa ʻaurateṉ Isráíl meṉ thíṉ;

26 lekin Eliyyáh un meṉ se kisí ke pás na bhejá gayá, magar mulk i Saidá ke shahr i Sárafat meṉ ek bewa ʻaurat ke pás.

27 Aur Ilíshaʻ nabí ke waqt meṉ Isráíl ke darmiyán bahut se koṛhí the, lekin un meṉ se koí pák sáf na kiyá gayá, magar Naʻmán Súriyání.

28 Jitne ʻibádatḳháne meṉ the, in bátoṉ ko sunte hí gusse se bhar gaye;

29 aur uṭhkar us ko shahr se báhar nikálá, aur us paháṛ kí choṭí par le gaye, jis par un ká shahr ábád thá, táki use sir ke bal girá deṉ.

30 Magar wuh un ke bích meṉ se nikalkar chalá gayá.

31 Phir wuh Galíl ke shahr Kafarnahúm ko gayá. Aur wuh Sabt ke din unheṉ taʻlím de rahá thá;

32 aur log us kí taʻlím se hairán the; kyúṉki us ká kalám iḳhtiyár ke sáth thá.

33 Aur ʻibádatḳháne meṉ ek ádmí thá, jis meṉ nápák deo kí rúh thí; wuh baṛí áwáz se chillá uṭhá, ki

34 Ai Yisúʻ Násarí, hameṉ tujh se kyá kám? kyá tú hameṉ halák karne áyá hai? Maiṉ tujhe jántá húṉ, ki tú kaun hai; Ḳhudá ká Quddús hai.

35 Yisúʻ ne use jhiṛakkar kahá; Chup rah, aur us meṉ se nikal já. Is par badrúh use bích meṉ paṭakkar bagair zarar pahuṉcháe us meṉ se nikal gayí.

36 Aur sab hairán hokar ápas meṉ kahne lage, ki Yih kaisá kalám hai? kyúṉki wuh iḳhtiyár aur qudrat se nápák rúhoṉ ko hukm detá hai, aur wuh nikal játí haiṉ.

37 Aur girdnawáh meṉ har jagah us kí dhúm mach gayí.

38 Phir wuh ʻibádatḳháne se uṭhkar Shamaʻún ke ghar meṉ dáḳhil húá, aur Shamaʻún kí sás ko baṛí tap chaṛhí húí thí; aur unhoṉ ne us ke liye us se ʻarz kí.

39 Wuh khaṛá hokar us kí taraf jhuká, aur tap ko jhiṛká, to utar gayí: aur wuh usí dam uṭhkar un kí ḳhidmat karne lagí.

40 Aur súraj ke ḍúbte waqt wuh sab log jin ke háṉ tarah tarah kí bímáríoṉ ke maríz the, unheṉ us ke pás láe; aur us ne un meṉ se har ek par háth rakhkar unheṉ achchhá kiyá.

41 Aur badrúheṉ bhí chillákar aur yih kahkar, ki Tú Ḳhudá ká Beṭa hai, bahutoṉ meṉ se nikal gayíṉ; aur wuh unheṉ jhiṛaktá aur bolne na detá thá, kyúṉki wuh jántí thíṉ ki yih Masíh hai.

42 Jab din húá to wuh nikalkar ek wírán jagah meṉ gayá, aur bhíṛ kí bhiṛ us ko ḍhúṉḍhtí húí us ke pás áí, aur us ko rokne lagí, ki Hamáre pás se na já.

43 Us ne un se kahá; Mujhe âur shahroṉ meṉ bhí Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí sunání zarúr hai, kyúṉki maiṉ isí liye bhejá gayá húṉ.

44 Aur wuh Galíl ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ manádí kartá rahá.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 5

1 Jab bhíṛ us par girí paṛtí thí, aur Ḳhudá ká kalám suntí thí, aur wuh Gannesarat kí jhíl ke kanáre khaṛá thá, to aisá húá ki

2 us ne jhíl ke kanáre do kishtíáṉ lagí dekhíṉ, lekin machhlí pakaṛnewále un par se utarkar jál dho rahe the.

3 Aur us ne un kishtíoṉ meṉ se ek par chaṛhkar, jo Shamaʻún kí thí, us se darḳhwást kí, ki Kanáre se zará haṭá le chal. Aur wuh baiṭhkar logoṉ ko kishtí par se taʻlím dene lagá.

4 Jab kalám kar chuká, to Shamaʻún se kahá; Gahre meṉ le chal, aur tum shikár ke liye apne jál ḍálo.

5 Shamaʻún ne jawáb meṉ kahá; Ai sáhib, ham ne rát bhar mihnat kí, aur kuchh háth na áyá; magar tere kahne se jál dáltá húṉ.

6 Yih kiyá aur wuh machhliyoṉ ká baṛá gol gher láe, aur un ke jál phaṭne lage.

7 Aur unhoṉ ne apne sharíkoṉ ko, jo dúsrí kishtí par the, ishára kiyá, ki Áo, hamárí madad karo. Pas unhoṉ ne ákar donoṉ kishtíáṉ yaháṉ tak bhar díṉ ki dúbne lagíṉ.

8 Shamaʻún Patras yih dekhkar Yisúʻ ke páṉwoṉ meṉ girá, aur kahá; Ai Ḳhudáwand, mere pás se já, is liye ki maiṉ gunahgár ádmí húṉ.

9 Kyúṉki machhliyoṉ ke is shikár se, jo unhoṉ ne kiyá, wuh aur us ke sab sáthí bahut hairán húe.

10 Aur waise hí Zabdí ke beṭe Yaʻqúb aur Yúhanná bhí, jo Shámaʻún ke sharík the, hairán húe. Yisúʻ ne Shamaʻún se kahá; Ḳhauf na kar; ab se tú ádmíoṉ ká shikár kiyá karegá.

11 Wuh kishtíoṉ ko kanáre par le áe, aur sab kuchh chhoṛkar us ke píchhe ho liye.

12 Jab wuh ek shahr meṉ thá, to dekho, koṛh se bhará húá ek ádmí thá. Wuh Yisúʻ ko dekhkar muṉh ke bal girá, aur us kí minnat karke kahá; Ai Ḳhudáwand, agar tú cháhe, to mujhe pák sáf kar saktá hai.

13 Us ne háth baṛhákar use chhúá aur kahá; Maiṉ cháhtá húṉ; tú pák sáf ho já; aur fauran uská koṛh játá rahá.

14 Aur us ne use tákíd kí, ki Kisí se na kahná, balki jákar apne taíṉ káhin ko dikhá, aur jaisá Músá ne muqarrar kiyá hai, apne pák sáf ho jáne kí bábat nazr guzrán, táki un ke liye gawáhí ho.

15 Lekin us ká charchá ziyáda phailá, aur bahut se log jamaʻ húe, ki us kí suneṉ, aur apní bímáríoṉ se shifá páeṉ.

16 Magar wuh jangaloṉ meṉ alag jákar duʻá máṉgá kartá thá.

17 Aur ek din aisá húá ki wuh taʻlím de rahá thá, aur Farísí aur sharaʻ ke muʻallim waháṉ baiṭhe húe the, jo Galíl ke har gáṉw aur Yahúdiya aur Yarúshalem se áe the; aur Ḳhudáwand kí qudrat shifá baḳhshne ko us ke sáth thí.

18 Aur dekho, kaí mard ek ádmí ko jo maflúj thá chárpáí par láe, aur koshish kí, ki use andar lákar us ke áge rakkheṉ;

19 aur jab bhíṛ ke sabab us ko andar le jáne kí ráh na páí, to koṭhe par chaṛhke khaprail meṉ se us ko khaṭole samet bích meṉ Yisúʻ ke sámne utár diyá.

20 Us ne un ká ímán dekhkar kahá, ki Ai ádmí, tere gunáh muʻáf húe.

21 Is par faqíh aur Farísí sochne lage, ki Yih kaun hai jo kufr baktá hai? Siwá Ḳhudá ke âur kaun gunáhoṉ ko muʻáf kar saktá hai?

22 Yisúʻ ne un ke ḳhayáloṉ ko maʻlúm karke jawáb meṉ un se kahá; Tum apne diloṉ meṉ kyá sochte ho?

23 Ásán kyá hai? yih kahná, ki Tere gunáh muʻáf húe, yá yih kahná, ki Uṭh aur chal phir?

24 Lekin is liye ki tum jáno, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáhoṉ ke muʻáf karne ká iḳhtiyár hai (us ne maflúj se kahá;) Maiṉ tujh se kahtá húṉ, Uṭh, aur apná khaṭolá uṭhákar apne ghar já.

25 Aur wuh usí dam un ke sámne uṭhá, aur jis par paṛá thá use uṭhákar, Ḳhudá kí baṛáí kartá húá apne ghar chalá gayá.

26 Wuh sab ke sab baṛe hairán húe, aur Ḳhudá kí baṛáí karne lage, aur bahut ḍar gaye, aur kahne lage, ki Áj ham ne ʻajíb báteṉ dekhíṉ.

27 In bátoṉ ke baʻd wuh báhar gayá, aur Lewí nám ek mahsúl lenewále ko mahsúl kí chaukí par baiṭhe dekhá, aur us se kahá; Mere píchhe ho le

28 Wuh sab kuchh chhoṛkar uṭhá, aur us ke píchhe ho liyá.

29 Phir Lewí ne apne ghar meṉ us kí baṛí ziyáfat kí; aur mahsúl lenewáloṉ aur auroṉ ká, jo un ke sáth kháná kháne baiṭhe the, baṛá majmaʻ thá.

30 Aur Farísí aur un ke faqíh us ke shágirdoṉ se yih kahkar buṛbuṛáne lage, ki Tum kyúṉ mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ke sáth kháte píte ho?

31 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko.

32 Maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko táuba ke liye buláne áyá húṉ.

33 Aur unhoṉ ne us se kahá, ki Yúhanná ke shágird aksar roza rakhte aur duʻáeṉ máṉgá karte haiṉ, aur isí tarah Farísíoṉ ke bhí; magar tere shágird kháte píte haiṉ.

34 Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tum barátiyoṉ se, jab tak dulhá un ke sáth rahe, roza rakhwá sakte ho?

35 Magar wuh din áeṉge: aur jab dulhá un se judá kiyá jáegá, tab un dinoṉ meṉ wuh roza rakkheṉge.

36 Aur us ne un se ek tamsíl bhí kahí, ki Koí ádmí nayí poshák meṉ se pháṛkar purání poshák meṉ paiwand nahíṉ lagátá; warna nayí bhí phaṭegi, aur us ká paiwand purání meṉ mel bhí na kháegá.

37 Aur koí shaḳhs nayí mai purání mashkoṉ meṉ nahíṉ bharta; nahíṉ to nayí mai mashkoṉ ko pháṛkar ḳhud bhí bah jáegí, aur mashkeṉ bhí barbád ho jáeṉgí.

38 Balki nayí mai nayí mashkoṉ meṉ bharní cháhiye.

39 Aur koí ádmí purání mai píkar nayí kí ḳhwáhish nahíṉ kartá, kyúṉki kahtá hai, ki Purání hí achchhí hai.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 6

1 Phir Sabt ke din yúṉ húá, ki wuh khetoṉ meṉ hokar já rahá thá; aur us ke shágird báleṉ toṛ toṛkar aur háthoṉ se mal malkar kháte játe the.

2 Aur Farísíoṉ meṉ se baʻz kahne lage; Tum wuh kám kyúṉ karte ho, jo Sabt ke din karná rawá nahíṉ?

3 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Kyá tum ne yih bhí nahíṉ paṛhá, ki jab Dáúd aur us ke sáthí bhúke the to us ne kyá kiyá:

4 wuh kyúṉkar Ḳhudá ke ghar meṉ gayá, aur nazr kí roṭiyáṉ lekar kháíṉ, jin ká kháná káhinoṉ ke siwá âur kisí ko rawá nahíṉ, aur apne sáthiyoṉ ko bhí díṉ?

5 Phir us ne un se kahá, ki Ibn i Ádam Sabt ká málik hai.

6 Aur yúṉ húá ki kisí âur Sabt ko wuh ʻibádatḳháne meṉ dáḳhil hokar taʻlím dene lagá; aur waháṉ ek ádmí thá, jis ká dahiná háth súkh gayá thá.

7 Aur faqíh aur Farisi us kí ták meṉ the, ki áyá Sabt ke din achchhá kartá hai yá nahíṉ, táki us par ilzám lagáne ká mauqaʻ páeṉ.

8 Magar us ko un ke ḳhayál maʻlúm the; pas us ádmí se jis ká háth súkhá thá kahá; Uṭh aur bích meṉ khaṛá ho. Wuh uṭh khaṛá húá.

9 Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se yih púchhtá húṉ, ki Áyá Sabt ke din neki karní rawá hai, yá badí karní? ján ko bacháná, yá halák karná?

10 Aur un sab par nazar karke us se kahá; Apná háth baṛhá. Us ne aisá kiyá, aur us ká háth durust ho gayá.

11 Wuh ápe se báhar hokar ek dúsre se kahne lage, ki Ham Yisúʻ ke sáth kyá kareṉ?

12 Aur un dinoṉ meṉ aisá húá, ki wuh paháṛ par duʻá máṉgne ko niklá, aur Ḳhudá se duʻá máṉgne meṉ sárí rát guzárí.

13 Jab din húá, to us ne apne shágirdoṉ ko pás bulákar un meṉ se bárah chun liye, aur un ko rasúl ká laqab diyá;

14 yaʻní Shamaʻún, jis ká nám us ne Patras bhí rakkhá, aur us ká bháí Andriyás, aur Yaʻqúb aur Yúhanná, aur Filippus aur Bar Tulmáí,

15 aur Matí aur Tomá, aur Halfaí ká beṭá Yaʻqúb aur Shamaʻún jo Zelotes kahlátá thá,

16 aur Yaʻqúb ká beṭá Yahúdáh, aur Yahúdáh Iskariyotí jo us ká pakaṛwánewálá húá;

17 aur wuh un ke sáth utarkar hamwár jagah par khaṛá húá; aur us ke shágirdoṉ kí baṛí jamáʻat aur logoṉ kí baṛí bhíṛ waháṉ thí, jo sáre Yahúdiya aur Yarúshálem aur Súr aur Saidá ke bahrí kanáre se, us kí sunne aur apní bímáríoṉ se shifá páne ke liye us ke pás ái thí.

18 Aur jo nápák rúhoṉ se dukh páte the, wuh achchhe kiye gaye.

19 Aur sab log use chhúne kí koshish karte the, kyúṉki quwwat us se nikaltí aur sab ko shifá baḳhshtí thí.

20 Phir us ne apne shágirdoṉ kí taraf nazar karke kahá; Mubárak ho tum jo garíb ho, kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat tumhárí hai.

21 Mubárak ho tum jo ab bhúke ho, kyúṉki ásúda hoge. Mubárak ho tum jo ab rote ho, kyúṉki haṉsoge.

22 Jab Ibn i Ádam ke sabab log tum se ʻadáwat rakkheṉge, aur tumheṉ ḳhárij kar deṉge, aur laʻn taʻn kareṉge, aur tumhárá nám burá jánkar káṭ deṉge, to tum mubárak hoge.

23 Us din ḳhush honá aur ḳhushí ke máre uchhalná; is liye ki, dekho, ásmán par tumhárá ajr baṛá hai; kyúṉki un ke bápdádá nabíoṉ ke sáth bhí aisá hí kiyá karte the.

24 Magar afsos tum par jo daulatmand ho, kyúṉki tum apní tasallí pá chuke.

25 Afsos tum par jo ab ser ho, kyúṉki bhúke hoge. Afsos tum par jo ab haṉste ho, kyúṉki mátam karoge aur rooge.

26 Afsos tum par jab sab log tumheṉ bhalá kaheṉ, kyúṉki un ke bápdádá jhúṭhe nabíoṉ ke sáth bhí aisá hí kiyá karte the.

27 Lekin maiṉ tum sunnewáloṉ se kahtá húṉ, ki Apne dushmanoṉ se mahabbat rakkho; jo tum se ʻadáwat rakkheṉ un ká bhalá karo;

28 jo tum par laʻnat kareṉ, un ke liye barakat cháho; jo tumhárí beʻizzatí kareṉ, un ke liye duʻá máṉgo.

29 Jo tere ek gál par tamáṉcha máre, dúsrá bhí us kí taraf pher de; aur jo terá choga le, us ko kurtá lene se bhí manaʻ na kar.

30 Jo koí tujh se máṉge use de, aur jo terá mál le le us se talab na kar.

31 Aur jaisá tum cháhte ho ki log tumháre sáth kareṉ, tum bhí un ke sáth waisá hí karo.

32 Agar tum apne mahabbat rakhnewáloṉ hí se mahabbat rakkho, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúṉki gunahgár bhí apne mahabbat rakhnewáloṉ se mahabbat rakhte haiṉ.

33 Aur agar tum unhíṉ ká bhalá karo jo tumhárá bhalá kareṉ, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúṉki gunahgár bhí aisá hí karte haiṉ.

34 Aur agar tum unhíṉ ko qarz do, jin se wusúl hone kí ummed rakhte ho, to tumhárá kyá ihsán hai? gunahgár bhí gunahgároṉ ko qarz dete haiṉ, táki púrá wusúl kar leṉ.

35 Magar tum apne dushmanoṉ se mahabbat rakkho, aur bhalá karo, aur bagair náummed húe qarz do; to tumhárá ajr baṛá hogá, aur tum Ḳhudá Taʻálá ke beṭe ṭhahroge; kyúṉki wuh náshukroṉ aur badoṉ par bhí mihrbán hai.

36 Jaisá tumhárá Báp rahím hai, tum bhí rahmdil ho.

37 ʻAibjoí na karo, tumhárí bhí ʻaibjoí na kí jáegí; mujrim na ṭhahráo, tum bhí mujrim na ṭhahráe jáoge; ḳhalásí do, tum bhí ḳhalásí páoge.

38 Diyá karo, tumheṉ bhí diyá jáegá, achchhá paimána dáb dábkar aur hilá hilákar aur labréz karke tumháre palle meṉ ḍáleṉge; kyúṉki jis paimáne se tum nápte ho, usí se tumháre liye nápá jáegá.

39 Aur us ne un se ek tamsíl bhí kahí, ki Kyá andhe ko andhá ráh dikhá saktá hai? kyá donoṉ gaṛhe meṉ na gireṉge?

40 Shágird apne ustád se baṛá nahíṉ; balki har ek, jab kámil húá, to apne ustád jaisá hogá.

41 Tú kyúṉ apne bháí kí áṉkh ke tinke ko dekhtá hai, aur apní áṉkh ke shahtír par gaur nahíṉ kartá?

42 Aur jab tú apní áṉkh ke shahtír ko nahíṉ dekhtá, to apne bháí se kyúṉkar kah saktá hai, ki Bháí, lá, us tinke ko jo terí áṉkh meṉ hai, nikál dúṉ? Ai riyákár, pahle apní áṉkh meṉ se to shahtír nikál, phir us tinke ko jo tere bháí kí áṉkh meṉ hai achchhí tarah dekhkar nikál sakegá.

43 Kyúṉki koí achchhá daraḳht nahíṉ, jo burá phal láe, aur na koí burá daraḳht hai, jo achchhá phal láe.

44 Har daraḳht apne phal se pahcháná játá hai; kyúṉki jháṛiyoṉ se anjír nahíṉ toṛte, aur na jhaṛberí se angúr.

45 Achchhá ádmí apne dil ke achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai, aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai; kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí us ke muṉh par átá hai.

46 Jab tum mere kahne par ʻamal nahíṉ karte, to kyúṉ mujhe Ḳhudáwand, Ḳhudáwand kahteho?

47 Jo koí mere pás átá, aur merí báteṉ sunkar un par ʻamal kartá hai, maiṉ tumheṉ batátá húṉ ki wuh kis kí mánind hai.

48 Wuh us ádmí kí mánind hai, jis ne ghar banáte waqt zamín gahrí khodkar chaṭán par neo ḍálí; jab rau áí to dhár us ghar par zor se girí, magar use hilá na sakí, kyúṉki wuh mazbút baná húá thá.

49 Lekin jo sunkar ʻamal meṉ nahíṉ látá, wuh us ádmí kí mánind hai, jis ne zamín par ghar ko bebunyád banáyá: jab dhár us par zor se girí, to wuh fiʼlfaur gir paṛá aur wuh ghar biʼlkull barbád húá.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 7

1 Jab wuh logoṉ ko apní sárí báteṉ suná chuká to Kafarnahúm meṉ áyá.

2 Aur kisí súbadár ká naukar, jo us ko ʻazíz thá, bímárí se marne ko thá.

3 Us ne Yisúʻ kí ḳhabar sunkar Yahúdíoṉ ke kaí buzurgoṉ ko us ke pás bhejá, aur us se darḳhwást kí, ki Ákar mere naukar ko achchhá kar.

4 Wuh Yisúʻ ke pás áe, aur us kí baṛí minnat karke kahne lage, ki Wuh is láiq hai ki tú us kí ḳhátir yih kare;

5 kyúṉki wuh hamárí qaum se mahabbat rakhtá hai, aur hamáre ʻibádatḳháne ko usí ne banwáyá.

6 Yisúʻ un ke sáth chalá. Magar jab wuh ghar ke qaríb pahuṉchá, to súbadár ne baʻz dostoṉ kí maʻrifat use yih kahlá bhejá, ki Ai Ḳhudáwand, taklíf na kar, kyúṉki maiṉ is láiq nahíṉ, ki tú merí chhat ke níche áe;

7 isí sabab maiṉ ne apne áp ko bhí tere pás áne ke láiq na samjhá; balki zabán se kah de, to merá ḳhádim shifá páegá.

8 Kyúṉki maiṉ bhí dúsre ke iḳhtiyár meṉ húṉ, aur sipáhí mere mátaht haiṉ, aur jab ek se kahtá húṉ, ki Já, to wuh játá hai, aur dúsre se, ki Á, to wuh átá hai, aur apne naukar se, ki Yih kar, to wuh kartá hai.

9 Yisúʻ ne yih sunkar us par taʻajjub kiyá, aur phirkar us bhíṛ se jo us ke píchhe átí thí kahá; Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Maiṉ ne aisá ímán Isráíl meṉ bhí nahíṉ páyá.

10 Aur bheje húe logoṉ ne ghar meṉ wápas ákar us naukar ko tandurust páyá.

11 Thoṛe ʻarse ke baʻd aisá húá, ki wuh Náín nám ek shahr ko gayá, aur us ke shágird aur bahut se log us ke hamráh the.

12 Jab wuh shahr ke pháṭak ke nazdík pahuṉchá, to dekho, ek murde ko báhar liye játe the; wuh apní máṉ ká iklautá beṭá thá, aur wuh bewa thí: aur shahr ke bahutere log us ke sáth the.

13 Use dekhkar Ḳhudáwand ko tars áyá aur us se kahá; Ro nahíṉ.

14 Phir us ne pás ákar janáze ko chhúá, aur uṭhánewále khaṛe ho gaye, aur us ne kahá; Ai jawán, maiṉ tujh se kahtá húṉ; Uṭh.

15 Wuh murda uṭh baiṭhá, aur bolne lagá. Aur us ne use us kí máṉ ko sauṉp diyá.

16 Aur sab par dahshat chhá gayí, aur wuh Ḳhudá kí baṛáí karke kahne lage, ki Ek baṛá nabí ham meṉ uṭhá hai, aur yih, ki Ḳhudá ne apní ummat par tawajjuh kí hai.

17 Aur us kí nisbat yih ḳhabar sáre Yahúdiya aur tamám girdnawáh meṉ phail gayí.

18 Aur Yúhanná ko us ke shágirdoṉ ne in sab bátoṉ kí ḳhabar dí.

19 Is par Yúhanná ne apne shágirdoṉ meṉ se do ko bulákar Ḳhudáwand ke pás yih púchhne ko bhejá, ki Ánewálá tú hí hai, yá ham dúsre kí ráh dekheṉ?

20 Unhoṉ ne us ke pás ákar kahá; Yúhanná baptisma denewále ne hameṉ tere pás yih púchhne ko bhejá hai, ki Ánewálá tú hí hai, yá ham dúsre kí ráh dekheṉ?

21 Usí ghaṛí us ne bahutoṉ ko bímáríoṉ aur áfatoṉ aur burí rúhoṉ se naját baḳhshí, aur bahut se andhoṉ ko bínáí ʻatá kí.

22 Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jo kuchh tum ne dekhá aur suná hai jákar Yúhanná se bayán kar do; ki andhe dekhte haiṉ, laṉgṛe chalte phirte haiṉ, koṛhí pák sáf kiye játe haiṉ, bahre sunte haiṉ, murde zinda kiye játe haiṉ, garíboṉ ko ḳhushḳhabarí sunái játí hai.

23 Aur mubárak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar na kháe.

24 Jab Yúhanná ke qásid chale gaye, to Yisúʻ Yúhanná ke haqq meṉ logoṉ se kahne lagá, ki Tum biyábán meṉ kyá dekhne gaye the? Kyá hawá se hilte húe sarkanḍe ko?

25 To phir kyá dekhne gaye the? Kyá mihín kapṛe pahine húe shaḳhs ko? Dekho, jo chamakdár poshák pahinte aur ʻaish o ʻishrat meṉ rahte haiṉ, wuh bádsháhí mahalloṉ meṉ hote haiṉ.

26 To phir tum kyá dekhne gaye the? Kyá ek nabí? Háṉ, maiṉ tum se kahtá húṉ, balki nabí se baṛe ko.

27 Yih wuhí hai, jis kí bábat likhá hai, ki

Dekh, maiṉ apná paigambar tere áge bhejtá húṉ,

Jo terí ráh tere áge taiyár karegá.

28 Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Jo ʻauratoṉ se paídá húe haiṉ, un meṉ Yúhanná baptisma denewále se koí baṛá nahíṉ: lekin jo Ḳhudá kí bádsháhat meṉ chhoṭá hai, wuh us se baṛá hai.

29 Aur sab ʻámm logoṉ ne jab suná, to unhoṉ ne aur mahsúl lenewáloṉ ne bhí Yúhanná ká baptisma lekar Ḳhudá ko rástbáz mán líyá.

30 Magar Farísíoṉ aur sharaʻ ke ʻálímoṉ ne us se baptisma na lekar, Ḳhudá ke iráde ko apní nisbat bátil kar diyá.

31 Pas is zamáne ke ádmíoṉ ko maiṉ kis se tashbíh dúṉ, aur wuh kis kí mánind haiṉ?

32 Un laṛkoṉ kí mánind haiṉ, jo bázár meṉ baiṭhe húe ek dúsre ko pukárkar kahte haiṉ, ki Ham ne tumháre liye báṉslí bajáí, aur tum na náche; ham ne mátam kiyá, aur tum na roe.

33 Kyúṉki Yúhanná baptisma denewálá na to roṭí khátá húá áyá, na mai pítá húá; aur tum kahte ho ki Us meṉ badrúh hai.

34 Ibn i Ádam khátá pítá áyá, aur tum kahte ho, ki Dekho, kháú aur sharábí ádmí, mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ká yár.

35 Lekín hikmat apne sab laṛkoṉ kí taraf se rást sábit húí.

36 Phir kisí Farísí ne us se darḳhwást kí, ki Mere sáth kháná khá. Pas wuh us Farísí ke ghar jákar kháná kháne baiṭhá;

37 to dekho, ek badchalan ʻaurat, jo us shahr kí thí, yih jánkar ki wuh us Farísí ke ghar meṉ kháná kháne baiṭhá hai, saṉg i marmar kí ʻítrdání meṉ ʻitr láí,

38 aur us ke páṉwoṉ ke pás rotí húí píchhe khaṛí hokar us ke páṉw áṉsúoṉ se bhígone lagí, aur apne sir ke báloṉ se poṉchhe, aur us ke páṉw bahut chúme aur un par ʻitr ḍálá.

39 Us kí daʻwat karnewálá Farísí yih dekhkar apne jí meṉ kahne lagá, ki Agar yih shaḳhs nabí hotá, to jántá, ki jo use chhútí hai, wuh kaun aur kaisí ʻaurat hai, kyúṉki badchalan hai.

40 Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Ai Shamaʻún, mujhe tujh se kuchh kahná hai. Wuh bolá, Ai ustád, kah.

41 Kisí sáhúkár ke do qarzdár the; ek páṉch sau dínár ká, dúsrá pachás ká.

42 Jab un ke pás adá karne ko kuchh na rahá, to us ne donoṉ ko baḳhsh diyá. Pas un meṉ se kaun us se ziyáda mahabbat rakkhegá?

43 Shamaʻún ne jawáb meṉ kahá; Merí dánist meṉ wuh, jise us ne ziyáda baḳhshá. Us ne us se kahá; Tú ne ṭhík faisala kiyá.

44 Aur us ʻaurat kí taraf phirkar us ne Shamaʻún se kahá; Kyá tú is ʻaurat ko dekhtá hai? Maiṉ tere ghar meṉ áyá; tú ne mere páṉw dhone ko pání na diyá; magar is ne mere páṉw áṉsúoṉ se bhigo diye, aur apne báloṉ se poṉchhe.

45 Tú ne mujh ko bosa na diyá; magar is ne, jab se maiṉ áyá húṉ, mere páṉwoṉ ká chúmná na chhoṛá.

46 Tú ne mere sir meṉ tel na ḍálá; magar is ne mere páṉwoṉ par ʻitr ḍálá hai.

47 Isí liye maiṉ tujh se kahtá húṉ, ki is ke gunáh, jo bahut the, muʻáf húe, kyúṉki is ne bahut mahabbat kí; magar jis ke thoṛe gunáh muʻáf húe, wuh thoṛí mahabbat kartá hai.

48 Aur us ʻaurat se kahá; Tere gunáh muʻáf húe.

49 Is par wuh jo us ke sáth kháná kháne baiṭhe the apne jí meṉ kahne lage, ki Yih kaun hai, jo gunáhoṉ ko bhí muʻáf kartá hai?

50 Magar us ne ʻaurat se kahá; Tere ímán ne tujhe bachá liyá hai; salámat chalí já.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 8

1 Thoṛe ʻarse ke baʻd yúṉ húá, ki wuh manádí kartá aur Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí sunátá húá shahr shahr aur gáṉw gáṉw phirne lagá; aur wuh bárah us ke sáth the;

2 aur baʻz ʻaurateṉ jinhoṉ ne burí rúhoṉ aur bímáríoṉ se shifá páí thí, yaʻní Maryam jo Magdalíní kahlátí thí, jis meṉ se sát badrúheṉ niklí thíṉ,

3 aur Yoanna Herodes ke díwán Ḳhúza kí bíwí, aur Súsannáh, aur bahuterí âur ʻaurateṉ bhí thíṉ, jo apne mál se un kí ḳhidmat kartí thíṉ.

4 Phir jab baṛí bhíṛ jamaʻ húí, aur har shahr ke log us ke pás chale áte the, us ne tamsíl meṉ kahá, ki

5 Ek bonewálá apná bíj bone niklá. Aur bote waqt kuchh ráh ke kanáre girá aur rauṉdá gayá, aur hawá ke parandoṉ ne use chug liyá.

6 Aur kuchh chaṭán par girá, aur ugke súkh gayá, is liye ki us ko tarí na pahuṉchí.

7 Aur kuchh jháṛiyoṉ meṉ girá, aur jháṛiyoṉ ne sáth sáth baṛhkar use dabá liyá.

8 Aur kuchh achchhí zamín meṉ girá, aur ugkar sau guná phal láyá. Yih kahkar us ne pukárá; Jis ke sunne ke kán hoṉ, wuh sun le.

9 Us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki yih tamsíl kyá hai?

10 Us ne kahá; Tum ko Ḳhudá kí bádsháhat ke bhedoṉ kí samajh dí gayí hai, magar auroṉ ko tamsíloṉ meṉ sunáyá játá hai, táki dekhte húe na dekheṉ, aur sunte húe na samjheṉ.

11 Wuh tamsíl yih hai, ki Bíj Ḳhudá ká kalám hai.

12 Ráh ke kanáre ke wuh haiṉ jinhoṉ ne suná; baʻd us ke Iblís ákar kalám ko un ke dil se chhín le játá hai, aisá na ho ki ímán lákar naját páeṉ.

13 Aur chaṭán par ke wuh haiṉ, jo sunkar kalám ko ḳhushí se qubúl kar lete haiṉ; lekin jaṛ nahíṉ rakhte, magar kuchh ʻarse tak ímán rakhkar ázmáish ke waqt phir játe haiṉ.

14 Aur jo jháṛiyoṉ meṉ paṛá, us se wuh log murád haiṉ jinhoṉ ne suná, lekin hote hote is zindagí kí fikroṉ aur daulat aur ʻaish o ʻishrat meṉ phaṉs játe haiṉ, aur un ká phal paktá nahíṉ.

15 Magar achchhí zamín ke wuh haiṉ, jo kalám ko sunkar ʻumda aur nek dil meṉ sambhále rahte, aur sabr se phal láte haiṉ.

16 Koí shaḳhs chirág jalákar bartan se nahíṉ chhipátá, na palang ke níche rakhtá hai, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko raushní dikháí de.

17 Kyúṉki koí chíz chhipí nahíṉ, jo záhir na ho jáegí; aur na koí aisí poshída bát hai, jo maʻlúm na hogí aur zuhúr meṉ na áegí.

18 Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho: kyúṉki jis ke pás hai, use diyá jáegá; aur jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí le liyá jáegá jo apná samajhtá hai.

19 Phir us kí máṉ aur us ke bháí us ke pás áe, magar bhíṛ ke sabab us tak pahuṉch na sake.

20 Aur use ḳhabar dí gayi, ki Terí máṉ aur tere bhái báhar khaṛe haiṉ aur tujh se milná cháhte haiṉ.

21 Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Merí máṉ aur mere bháí to yih haiṉ, jo Ḳhudá ká kalám sunte aur us par ʻamal karte haiṉ.

22 Phir ek dín aisá húá, ki wuh aur us ke shágird kishtí par chaṛhe; aur us ne un se kahá, ki Áo, jhíl ke pár chaleṉ: pas wuh rawána húe.

23 Magar jab kishtí chalí játí thí to wuh so gayá; aur jhíl par baṛí áṉdhí áí, aur kishtí pání se bharí játí thí, aur wuh ḳhatre meṉ the.

24 Unhoṉ ne pás ákar use jagáyá aur kahá; ki Sáhib, sáhib, ham halák húe játe haiṉ. Us ne uṭhkar hawá ko aur pání ke zor shor ko jhiṛká, aur donoṉ tham gaye, aur amn ho gayá.

25 Us ne un se kahá; Tumhárá ímán kaháṉ gayá? Wuh ḍar gaye, aur taʻajjub karke ápas meṉ kahne lage, ki Yih kaun hai? yih to hawá aur pání ko hukm detá hai, aur wuh us kí mánte haiṉ.

26 Phir wuh Giráseníoṉ ke ʻiláqe meṉ já pahuṉche, jo us pár Galíl ke sámne hai.

27 Jab wuh kanáre par utrá, to us shahr ká ek mard use milá, jis meṉ badrúheṉ thíṉ; aur us ne baṛí muddat se kapṛe na pahine the, aur wuh ghar meṉ nahíṉ, balki qabroṉ meṉ rahá kartá thá.

28 Wuh Yisúʻ ko dekhkar chilláyá, aur us ke áge girkar baṛí áwáz se kahá, ki Ai Yisúʻ, Ḳhudá Taʻálá ke Beṭe, mujhe tujh se kyá kám? terí minnat kartá húṉ, ki Mujhe ʻazáb meṉ na ḍál.

29 Kyúṉki wuh us nápák rúh ko hukm detá thá, ki Is ádmí meṉ se nikal já. Is liye ki us ne us ko aksar pakṛá thá, aur harchand log use zanjíroṉ aur beṛiyoṉ se jakaṛke qábú meṉ rakhte the, táham wuh zanjíroṉ ko toṛ daltá thá, aur badrúh us ko biyábánoṉ meṉ bhagáe phirtí thí.

30 Yísúʻ ne us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Wuh bolá; Lashkar; kyúṉki us meṉ bahut sí badrúheṉ thíṉ.

31 Aur wuh us kí minnat karne lagíṉ, ki Hameṉ atháh gaṛhe meṉ jáne ká hukm na de.

32 Waháṉ paháṛ par súaroṉ ká ek baṛá gol char rahá thá: unhoṉ ne us kí minnat kí, ki Hameṉ un ke andar jáne de. Us ne unheṉ jáne diyá.

33 Aur badrúheṉ us ádmí meṉ se nikalkar súaroṉ ke andar gayíṉ, aur gol kaṛáṛe par se jhapaṭkar jhíl meṉ já paṛá aur dúb mará.

34 Yih májará dekhkar charánewále bháge, aur jákar shahr aur díhát meṉ ḳhabar dí.

35 Log us májare ke dekhne ko nikle; aur Yisúʻ ke pás ákar us ádmí ko, jis meṉ se badrúheṉ niklí thíṉ, kapṛe pahine aur hosh meṉ Yisúʻ ke páṉwoṉ ke pás baiṭhe páyá, aur ḍar gaye.

36 Aur dekhnewáloṉ ne un ko ḳhabar dí, ki jis meṉ badrúheṉ thíṉ, wuh kis tarah achchhá húá.

37 Aur Giráseníoṉ ke girdnawáh ke sab logoṉ ne us se darḳhwást kí, ki Hamáre pás se chalá já; kyúṉki un par baṛí dahshat chhá gayi thi; pas wuh kishtí meṉ baiṭhkar wápas gayá.

38 Lekin jis shaḳhs meṉ se badrúheṉ nikal gayí thíṉ, wuh us kí minnat karke kahne lagá, ki Mujhe apne sáth rahne de: magar Yisúʻ ne use ruḳhsat karke kahá;

39 Apne ghar ko lauṭkar logoṉ se bayán kar, ki Ḳhudá ne tere liye kaise baṛe kám kiyé. Wuh rawána hokar tamám shahr meṉ charchá karne lagá, ki Yisúʻ ne mere liye kaise baṛe kám kiye.

40 Jab Yisúʻ wápas á rahá thá, to log us se ḳhushí ke sáth mile, kyúṉki sab us kí ráh takte the.

41 Aur dekho, Yáír nám ek shaḳhs, jo ʻibádatḳháne ká sardár thá, áyá, aur Yisúʻ ke qadamoṉ par girke us se minnat kí, ki Mere ghar chal:

42 kyúṉki us kí iklautí beṭi, jo baras bárah ek kí thí, marne ko thí. Aur jab wuh já rahá thá to log us par gire paṛte the.

43 Aur ek ʻaurat ne, jis ke bárah baras se ḳhún járí thá, aur apná sárá mál hakímoṉ par ḳharch kar chuki thí, aur kisí ke háth se achchhí na ho sakí thí,

44 us ke píchhe ákar us kí poshák ká kanára chhúá; aur usí dam us ká ḳhún bahná band ho gayá.

45 Is par Yisúʻ ne kahá; Wuh kaun hai jis ne mujhe chhúá? Jab sab inkár karne lage, to Patras aur us ke sáthiyoṉ ne kahá, ki Ai sáhib, log tujhe dabáte aur tujh par gire paṛte haiṉ.

46 Magar Yisúʻ ne kahá, ki Kisí ne mujhe chhúá to hai; kyúṉki maiṉ ne maʻlúm kiyá, ki quwwat mujh meṉ se niklí hai.

47 Jab us ʻaurat ne dekhá ki maiṉ chhip nahíṉ saktí, to káṉptí húí áí, aur us ke áge girke sab logoṉ ke sámne bayán kiyá, ki maiṉ ne kis sabab se tujhe chhúá, aur kis tarah usí dam shifá pá gayí.

48 Us ne us se kahá; Beṭí, tere ímán ne tujhe achchhá kiyá hai; salámat chalí já.

49 Wuh yih kah hí rahá thá, ki ʻibádatḳháne ke sardár ke háṉ se kisí ne ákar kahá, ki Terí beṭí mar gayí; Ustád ko taklíf na de.

50 Yisúʻ ne sunkar use jawáb diyá, ki Ḳhauf na kar: faqat iʻtiqád rakh; wuh bach jáegí.

51 Aur ghar meṉ pahuṉchkar, Patras aur Yúhanná aur Yaʻqúb aur laṛkí ke máṉ báp ke siwá, kisí ko apne sáth andar na jáne diyá.

52 Aur sab us ke liye ro píṭ rahe the, magar us ne kahá; Roo nahíṉ; wuh mar nahíṉ gayí, balki sotí hai.

53 Wuh us par haṉsne lage, kyúṉki jánte the, ki mar gayí hai.

54 Magar us ne us ká háth pakṛá, aur pukárke kahá; Ai laṛkí, uṭh.

55 Us kí rúh phir áí, aur wuh usí dam uṭhí. Phir Yisúʻ ne hukm diyá, ki use kuchh kháne ko diyá jáe.

56 Us ke máṉ báp hairán húe: aur us ne unheṉ tákíd kí, ki Yih májará kisí se na kahná.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 9

1 Phir us ne un bárah ko bulákar unheṉ sab badrúhoṉ par, aur bímáríoṉ ko dúr karne ke liye qudrat aur iḳhtiyár baḳhshá,

2 aur unheṉ Ḳhudá kí bádsháhat kí manádí karne, aur bímároṉ ko achchhá karne ke liye bhejá.

3 Aur un se kahá, ki Rah ke liye kuchh na lená, na láṭhí, na jholí, na roṭí, na rupaya; na do do kurte rakhná.

4 Aur jis kisi ghar meṉ dáḳhil ho, wahíṉ rahná aur wahíṉ se rawána honá.

5 Aur jis kisí shahr ke log tumheṉ qubúl na kareṉ, us shahr se nikalte waqt apne páṉwoṉ kí gard jháṛ do, táki un par gawáhí ho.

6 Pas wuh rawána hokar gáṉw gáṉw ḳhushḳhabarí sunáte, aur har jagah shifá dete phire.

7 Aur chautháí mulk ká hákim Herodes sab ahwál sunkar ghabrá gayá, is liye ki baʻz kahte the, ki Yúhanná murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai;

8 aur baʻz yih, ki Eliyyáh záhir húá hai; aur baʻz yih, ki qadím nabíoṉ meṉ se koí jí uṭhá hai.

9 Magar Herodes ne kahá, ki Yúhanná ká to maiṉ ne sir kaṭwá diyá; ab yih kaun hai, jis kí bábat aisí báteṉ suntá húṉ? Pas us ke dekhne kí koshish meṉ rahá.

10 Phir rasúloṉ ne jo kuchh kiyá thá lauṭkar us se bayán kiyá. Aur wuh un ko alag lekar Baitsaidá nám ek shahr ko chalá gayá.

11 Yih jánkar bhíṛ us ke píchhe gayí; aur wuh ḳhushí ke sáth un se milá, aur un se Ḳhudá kí bádsháhat kí báteṉ karne lagá, aur jo shifá páne ke muhtáj the unheṉ shifá baḳhshí.

12 Jab din ḍhalne lagá, to un bárah ne ákar us se kahá, ki Bhíṛ ko ruḳhsat kar, ki chároṉ taraf ke gáṉwoṉ aur bastiyoṉ meṉ já ṭikeṉ, aur kháne kí tadbír kareṉ; kyúṉki ham yaháṉ wírán jagah meṉ haiṉ.

13 Us ne un se kahá, Tum hí unheṉ kháne ko do. Unhoṉ ne kahá, ki Hamáre pás páṉch roṭiyoṉ aur do machhliyoṉ se ziyáda maujúd nahíṉ; magar háṉ, ham jákar in sab logoṉ ke liye kháná mol le áeṉ?

14 Kyúṉki wuh páṉch hazár mard ke qaríb the. Us ne apne shágirdoṉ se kahá, ki Un ko taḳhmínan pachás pachás kí qatáreṉ karke biṭháo.

15 Unhoṉ ne usí tarah kiyá aur sab ko biṭháyá.

16 Phir us ne wuh páṉch roṭiyáṉ aur do machhliyáṉ líṉ aur ásmán kí taraf dekhkar un par barakat cháhí, aur toṛkar apne shágirdoṉ ko detá gayá, ki logoṉ ke áge rakkheṉ.

17 Unhoṉ ne kháyá, aur sab ser ho gaye; aur un ke bache húe ṭukṛoṉ kí bárah ṭokriyáṉ uṭháí gayíṉ.

18 Jab wuh tanháí meṉ duʻá máṉg rahá thá, aur shágird us ke pás the, to aisá húá ki us ne un se púchhá, ki Log mujhe kyá kahte haiṉ?

19 Unhoṉ ne jawáb meṉ kahá, Yúhanná baptisma denewálá; aur baʻz Eliyyáh kahte haiṉ; aur baʻz yih, ki qadím nabíoṉ meṉ se koí jí uṭhá hai.

20 Us ne un se kahá; Lekin tum mujhe kyá kahte ho? Patras ne jawáb meṉ kahá, ki Ḳhudá ká Masíh.

21 Us ne un ko tákíd karke hukm diyá, ki Yih kisí se na kahná;

22 aur kahá; Zarúr hai, ki Ibn i Ádam bahut dukh uṭháe, aur buzurg aur sardár káhin aur faqíh use radd kareṉ, aur wuh qatl kiyá jáe, aur tísre din jí uṭhe.

23 Aur us ne sab se kahá, ki Agar koí mere píchhe áná cháhe, to apní ḳhudí se inkár kare, aur har roz apní salíb uṭháe, aur mere píchhe ho le.

24 Kyúṉki jo koí apní ján bachání cháhe, wuh use khoegá; aur jo koí mere wáste apní ján khoe, wuhí use bacháegá.

25 Aur ádmí agar sárí dunyá ko hásil kare aur apní ján ko kho de, yá us ká nuqsán uṭháe, to use kyá fáida hogá?

26 Kyúṉki jo koí mujh se aur merí bátoṉ se sharmáegá, Ibn i Ádam bhí, jab apne aur apne Báp aur pák firishtoṉ ke jalál meṉ áegá, to us se sharmáegá.

27 Lekin maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki un meṉ se jo yaháṉ khaṛe haiṉ baʻz aise haiṉ, ki jab tak Ḳhudá kí bádsháhat ko dekh na leṉ, maut ká maza hargiz na chakkheṉge.

28 Phir in bátoṉ ke koí áṭh roz baʻd aisá húá, ki wuh Patras aur Yúhanná aur Yaʻqúb ko hamráh lekar paháṛ par duʻá máṉgne gayá.

29 Jab wuh duʻá máṉg rahá thá, to aisa húá ki us ke chihre kí súrat badal gayí, aur us kí poshák safed barráq ho gayí.

30 Aur dekho, do shaḳhs, yaʻní Músá aur Eliyyáh, us se báteṉ kar rahe the;

31 yih jalál meṉ dikháí diye, aur us ke intiqál ká zikr karte the, jo Yarúshalem meṉ wáqiʻ hone ko thá.

32 Magar Patras aur us ke sáthí níṉd meṉ bhare the: aur jab achchhí tarah bedár húe, to us ke jalál ko aur un do shaḳhsoṉ ko dekhá, jo us ke sáth khaṛe the.

33 Jab wuh us se judá hone lage, to aisá húá ki Patras ne Yisúʻ se kahá; Ai Sáhib, hamárá yaháṉ rahná achchhá hai: pas ham tín ḍere banáeṉ; ek tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye: lekin wuh jántá na thá, ki kyá kahtá hai.

34 Wuh yih kahtá hí thá, ki bádal ne ákar un par sáya kar liyá; aur jab wuh bádal meṉ ghirne lage, to dar gaye.

35 Aur bádal meṉ se ek áwáz áí, ki Yih merá barguzída Beṭá hai; is kí suno.

36 Yih áwáz áte hí Yisúʻ akelá páyá gayá. Aur wuh chup rahe, aur jo báteṉ dekhí thíṉ, un dinoṉ meṉ kisí ko un kí kuchh ḳhabar na dí.

37 Dúsre din, jab wuh paháṛ se utre the, to aisá húá ki ek baṛí bhíṛ us se á milí.

38 Aur dekho, ek ádmí ne bhíṛ meṉ se chillákar kahá; Ai ustád, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki mere beṭe par nazar kar; kyúṉki wuh merá iklautá hai:

39 aur dekho, ek rúh use pakaṛ letí hai, aur wuh yakáyak chiḳh uṭhtá hai; aur us ko aisá maroṛtí hai, ki kaf bhar látá hai, aur us ko kuchalkar mushkil se chhoṛtí hai.

40 Aur maiṉ ne tere shágirdoṉ kí minnat kí, ki use nikál deṉ; lekin wuh na níkál sake.

41 Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá; Ai beiʻtiqád aur kajrau qaum, maiṉ kab tak tumháre sáth rahúṉgá, aur tumhárí bardásht karúṉgá? Apne beṭe ko yaháṉ le á.

42 Wuh átá hí thá, ki badrúh ne use paṭakkar maroṛá. Aur Yisúʻ ne us nápák rúh ko jhiṛká, aur laṛke ko achchhá karke us ke báp ko de diyá.

43 Aur sab log Ḳhudá kí shán ko dekhkar hairán húe.

Lekin jis waqt sab log un sáre kámoṉ par jo wuh kartá thá, taʻajjub kar rahe the, us ne apne shágirdoṉ se kahá;

44 Tumháre kánoṉ meṉ yih báteṉ paṛí raheṉ: kyúṉki Ibn i Ádam ádmíoṉ ke hawále kiye jáne ko hai.

45 Lekin wuh is bát ko samajhte na the, balki yih un se chhipáí gayí, táki use maʻlúm na kareṉ: aur is bát kí bábat us se púchhte húe ḍarte the.

46 Phir un meṉ yih bahs shurúʻ húí, ki ham meṉ se baṛá kaun hai?

47 Lekin Yisúʻ ne un ke diloṉ ká ḳhayál maʻlúm karke ek bachche ko líyá, aur apne pás khaṛá karke un se kahá;

48 Jo koí is bachche ko mere nám par qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai; aur jo mujhe qubúl kartá hai, wuh mere bhejnewále ko qubúl kartá hai; kyúṉki jo tum meṉ sab se chhoṭá hai, wuhí baṛá hai.

49 Yúhanná ne jawáb meṉ kahá; Ai Sáhib, ham ne ek shaḳhs ko tere nám se badrúheṉ nikálte dekhá, aur us ko manaʻ karne lage, kyúṉki wuh hamáre sáth terí pairawí nahíṉ kartá.

50 Lekin Yisúʻ ne us se kahá, ki Use manaʻ na karná, kyúṉki jo tumháre ḳhiláf nahíṉ, wuh tumhárí taraf hai.

51 Jab wuh din nazdík áe ki wuh úpar uṭháyá jáe, to aisá húá ki us ne Yarúshalem ke jáne ko kamar báṉdhí,

52 aur apne áge qásíd bheje; wuh jákar Sámaríoṉ ke ek gáṉw meṉ dáḳhil húe, táki us ke liye taiyárí kareṉ.

53 Lekin unhoṉ ne us ko ṭikne na diyá, kyúṉki us ká ruḳh Yarúshalem kí taraf thá.

54 Yih dekhkar us ke shágird Yaʻqúb aur Yúhanná ne kahá; Ai Ḳhudáwand, kyá tú cháhtá hai ki ham hukm deṉ, ki ásmán se ág názil hokar unheṉ bhasam kar de [jaisá Eliyyáh ne kiyá]?

55 Magar us ne phirkar unheṉ jhiṛká, [aur kahá, Tum nahíṉ jánte ki tum kaisí rúh ke ho. Kyúṉki Ibn i Ádam logoṉ kí ján barbád karne nahíṉ, balki bacháne áyá].

56 Phir wuh kisí âur gáṉw meṉ chale gaye.

57 Jab wuh ráh meṉ chale játe the, to kisí ne us se kahá; Jaháṉ kahíṉ tú jáe, maiṉ tere píchhe chalúṉgá.

58 Yisúʻ ne us se kahá, ki Lomṛiyoṉ ke bhaṭ hote haiṉ, aur hawá ke parandoṉ ke ghoṉsle; magar Ibn i Ádam ke liye sir dharne kí bhí jagah nahíṉ.

59 Phir us ne dúsre se kahá; Mere píchhe chal. Us ne kahá; Ai Ḳhudáwand, mujhe ijázat de, ki pahle jákar apne báp ko dafn karúṉ.

60 Us ne us se kahá, ki Murdoṉ ko apne murde dafn karne de; lekin tú jákar Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhabar phailá.

61 Ek âur ne bhí kahá, ki Ai Ḳhudáwand, maiṉ tere pichhe chalúṉgá; lekin pahle mujhe ijázat de, ki apne ghar ke logoṉ se ruḳhsat ho áúṉ.

62 Yisúʻ ne us se kahá, ki Jo koí apná háth hal par rakhkar píchhe dekhtá hai, wuh Ḳhudá kí bádsháhat ke láiq nahíṉ.

Categories
Lúqá kí Injíl

Lúqá kí Injíl 10

1 In bátoṉ ke baʻd Ḳhudáwand ne sattar ádmí âur muqarrar kiye, aur jis jis shahr aur jagah ko ḳhud jánewálá thá, waháṉ unheṉ do do karke apne áge bhejá.

2 Aur wuh un se kahne lagá, ki Fasl to bahut hai, lekin mazdúr thoṛe haiṉ; is liye fasl ke málik kí minnat karo, ki apní fasl káṭne ke liye mazdúr bheje.

3 Jáo; dekho, maiṉ tumheṉ goyá barroṉ ko bheṛiyoṉ ke bích meṉ bhejtá húṉ.

4 Na baṭúá le jáo, na jholí, na jútiyáṉ; aur na ráh meṉ kisí ko salám karo.

5 Aur jis kisí ghar meṉ dáḳhil ho, pahle kaho, ki Is ghar kí salámatí ho.

6 Agar waháṉ koí salámatí ká farzand hogá, to tumhárá salám us par ṭhahregá; nahíṉ to, tum par lauṭ áegá.

7 Usí ghar meṉ raho, aur jo kuchh un se mile kháo piyo; kyúṉki mazdúr apní mazdúrí ká haqqdár hai. Ghar ghar na phiro.

8 Aur jis shahr meṉ dáḳhil ho, aur waháṉ ke log tumheṉ qubúl kareṉ, to jo kuchh tumháre sámne rakkhá jáe, kháo:

9 aur waháṉ ke bímároṉ ko achchhá karo, aur un se kaho, ki Ḳhudá kí bádsháhat tumháre nazdík á pahuṉchí hai.

10 Lekin jis shahr meṉ dáḳhil ho, aur waháṉ ke log tumheṉ qubúl na kareṉ, to us ke bázároṉ meṉ jákar kaho, ki

11 Ham is gard ko bhí, jo tumháre shahr se hamáre páṉwoṉ meṉ lagí hai, tumháre sámne jháṛe dete haiṉ; magar yih ján lo, ki Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á pahuṉchí hai.

12 Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Us din Sadom ká hál us shahr ke hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá.

13 Ai Ḳhurázín, tujh par afsos! ai Baitsaidá, tujh par afsos! kyúṉki jo muʻjize tum meṉ záhir húe, agar wuh Súr aur Saidá meṉ záhir hote, to ṭáṭ oṛhkar aur ḳhák meṉ baiṭhkar kab ke tauba kar lete.

14 Magar ʻadálat meṉ Súr aur Saidá ká hál tumháre hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá.

15 Aur ai Kafarnahúm, kyá tú ásmán tak baland kiyá jáegá? Nahíṉ, balki tú ʻÁlam i arwáh meṉ utárá jáegá.

16 Jo tumhárí suntá hai wuh merí suntá hai; aur jo tumheṉ nahíṉ mántá, wuh mujhe nahíṉ mántá; aur jo mujhe nahíṉ mántá, wuh mere bhejnewále ko nahíṉ mántá.

17 Wuh sattar ḳhush hokar phir áe, aur kahne lage; Ai Ḳhudáwand, tere nám se badrúheṉ bhí hamáre tábiʻ haiṉ.

18 Us ne un se kahá; Maiṉ Shaitán ko bijlí kí tarah ásmán se girá húá dekh rahá thá.

19 Dekho, maiṉ ne tum ko iḳhtiyár diyá, ki sáṉpoṉ aur bichchhúoṉ ko kuchlo, aur dushman kí sárí qudrat par gálib áo; aur tum ko hargiz kisí chíz se zarar na pahuṉchegá.

20 Taubhí is se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is se ḳhush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe haiṉ.

21 Usí ghaṛí wuh Rúhuʼl Quds se ḳhushí meṉ bhar gayá aur kahá; Ai Báp, ásmán aur zamín ke Ḳhudáwand, maiṉ terí hamd kartá húṉ, ki tú ne yih báteṉ dánáoṉ aur ʻaqlmandoṉ se chhipáíṉ, aur bachchoṉ par záhir kíṉ: háṉ, ai Báp, kyúṉki aisá hí tujhe pasand áyá.

22 Mere Báp kí taraf se sab kuchh mujhe sauṉpá gayá; aur koí nahíṉ jántá, ki Beṭá kaun hai, siwá Báp ke; aur koí nahíṉ jántá, ki Báp kaun hai, siwá Beṭe ke, aur us shaḳhs ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe.

23 Aur shágirdoṉ kí taraf mutawajjih hokar ḳháss unhíṉ se kahá; Mubárak haiṉ wuh áṉkheṉ jo yih báteṉ dekhtí haiṉ, jinheṉ tum dekhte ho.

24 Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Bahut se nabíoṉ aur bádsháhoṉ ne cháhá, ki jo báteṉ tum dekhte ho dekheṉ, magar na dekhíṉ; aur jo báteṉ tum sunte ho suneṉ, magar na suníṉ.

25 Aur dekho, ek ʻálim i sharaʻ uṭhá, aur yih kahkar us kí ázmáish karne lagá, ki Ai ustád, maiṉ kyá karúṉ, ki hamesha kí zindagí ká wáris banúṉ?

26 Us ne us se kahá, ki Tauret meṉ kyá likhá hai? Tú kis tarah paṛhtá hai?

27 Us ne jawáb meṉ kahá, ki Ḳhudáwand apne Ḳhudá se, apne sáre dil aur apní sárí ján aur apní sárí táqat aur apní sárí ʻaql se mahabbat rakh; aur Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh.

28 Us ne us se kahá; Tú ne ṭhík jawáb diyá: yihí kar, to tú jíegá.

29 Magar us ne apne taíṉ rástbáz ṭhahráne kí garaz se Yisúʻ se púchhá, Phir merá paṛausí kaun hai?

30 Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá, ki Ek ádmí Yarúshalem se Yarího kí taraf já rahá thá, ki ḍákúoṉ meṉ ghir gayá; unhoṉ ne us ke kapṛe utár liye, aur márá bhí, aur adhmúá chhoṛkar chale gaye.

31 Ittifáqan ek káhin usí ráh se já rahá thá; aur use dekhke katrákar chalá gayá.

32 Isí tarah ek Lewí us jagah áyá; wuh bhí use dekhke katrákar chalá gayá.

33 Lekin ek Sámarí safar karte karte waháṉ á niklá, aur dekhkar tars kháyá,

34 aur us ke pás áyá, aur us ke zaḳhmoṉ ko tel aur mai lagákar báṉdhá, aur apne jánwar par sawár karke saráe meṉ le gayá, aur us kí ḳhabargírí kí.

35 Dúsre din do dínár nikálkar bhaṭiyáre ko diye aur kahá; Is kí ḳhabargírí karná; aur jo kuchh is se ziyáda ḳharch hogá, maiṉ phir ákar tujhe adá kar dúṉgá.

36 In tínoṉ meṉ se us shaḳhs ká, jo ḍákúoṉ meṉ ghir gayá thá, terí dánist meṉ kaun paṛausi ṭhahrá?

37 Us ne kahá; Wuh jis ne us par rahm kiyá. Yisúʻ ne us se kahá; Já, tú bhí aisá hí kar.

38 Phir jab já rahe the, to wuh ek gáṉw meṉ dáḳhil húá: aur Marthá nám ek ʻaurat ne use apne ghar meṉ utárá.

39 Aur Maryam nám us kí ek bahin thí; wuh Yisúʻ ke páṉwoṉ ke pás baiṭhkar us ká kalám sun rahí thí.

40 Lekin Marthá ḳhidmat karte karte ghabrá gayí; pas us ke pás ákar kahne lagí; Ai Ḳhudáwand, kyá tujhe ḳhayál nahíṉ, ki merí bahin ne ḳhidmat karne ko mujhe akelá chhoṛ diyá hai? Pas use farmá, ki merí madad kare.

41 Ḳhudáwand ne jawáb meṉ us se kahá; Marthá, Marthá, tú to bahut chízoṉ kí fikr o taraddud meṉ hai:

42 lekin ek chíz zarúr hai; aur Maryam ne wuh achchhá hissa chun liyá hai, jo us se chhíná na jáegá.