1 Paulus, aur Silwánus, aur Tímuthiyus kí taraf se Thissaluníkíoṉ kí kalísiyá ke nám, jo hamáre Báp Ḳhudá aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh meṉ hai.
2 Fazl aur itmínán Ḳhudá Báp aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí taraf se tumheṉ hásil hotá rahe.
3 Ai bháiyo, tumháre báre meṉ har waqt Ḳhudá ká shukr karná ham par farz hai, aur yih is liye munásib hai, ki tumhárá ímán bahut baṛhtá játá hai, aur tum sab kí mahabbat ápas meṉ ziyáda hotí játí hai;
4 yaháṉ tak ki ham áp Ḳhudá kí kalísiyáoṉ meṉ tum par faḳhr karte haiṉ, ki jitne zulm aur musíbateṉ tum uṭháte ho, un sab meṉ tumhárá sabr aur ímán záhir hotá hai;
5 yih Ḳhudá kí sachchí ʻadálat ká sáf nishán hai; táki tum Ḳhudá kí bádsháhat ke láiq ṭhahro, jis ke liye tum dukh bhí uṭháte ho:
6 kyúṉki Ḳhudá ke nazdík yih insáf hai, ki badle meṉ tumháre musíbat denewáloṉ ko musíbat,
7 aur tum musíbat uṭhánewáloṉ ko hamáre sáth árám de; us waqt, jab ki Ḳhudáwand Yisúʻ apne qawí firishtoṉ ke sáth, bhaṛaktí húí ág meṉ ásmán se záhir hogá;
8 aur jo Ḳhudá ko nahíṉ pahchánte, aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ kí ḳhushḳhabarí ko nahíṉ mánte, un se badla legá:
9 wuh Ḳhudáwand ke chihre aur us kí qudrat ke jalál se dúr hokar, abadí halákat kí sazá páeṉge;
10 yih us din hogá, jab ki wuh apne muqaddasoṉ meṉ jalál páne, aur sab ímán lánewáloṉ ke sabab se taʻajjub ká báʻis hone ke liye áegá, kyúṉki tum hamárí gawáhí par ímán láe.
11 Isí wáste ham tumháre liye har waqt duʻá bhí máṉgte rahte haiṉ, ki hamárá Ḳhudá tumheṉ is buláwe ke láiq jáne, aur nekí kí har ek ḳhwáhish aur ímán ke har ek kám ko qudrat se púrá kare;
12 táki hamáre Ḳhudá aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke fazl ke muwáfiq, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ ká nám tum meṉ jalál páe, aur tum us meṉ.