Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 21

1 Aur jab wuh Yarúshalem ke nazdík pahuṉche, aur Zaitún ke paháṛ par Baitfage ke pás áe, to Yisúʻ ne do shágirdoṉ ko yih kahkar bhejá, ki

2 Apne sámne ke gáṉw meṉ jáo; waháṉ pahuṉchte hí ek gadhí bandhí húí, aur us ke sáth bachcha tumheṉ milegá; unheṉ kholkar mere pás le áo.

3 Aur agar koí tum se kuchh kahe, to kahná, ki Yih Ḳhudáwand ko darkár haiṉ; wuh fiʼlfaur unheṉ bhej degá.

4 Yih is liye húá, ki jo nabí kí maʻrifat kahá gayá thá, wuh púrá ho, ki

5 Siyyon kí betí se kaho, ki

Dekh, terá Bádsháh tere pás átá hai;

Wuh halím hai, aur gadhe par sawár hai;

Balki ládú ke bachche par.

6 Pas shágirdoṉ ne jákar, jaisá Yisúʻ ne unheṉ hukm diyá thá, waisá hí kiyá;

7 aur gadhí aur bachche ko lákar apne kapṛe un par dále; aur wuh un par baiṭh gayá.

8 Aur bhíṛ meṉ ke aksar logoṉ ne apne kapṛe ráste meṉ bichháe, aur âuroṉ ne daraḳhtoṉ se dáliyáṉ káṭkar ráh meṉ phailáín.

9 Aur bhíṛ jó us ke áge áge játí aur píchhe píichhe chalí áti thí, pukár pukár kar kahtí thí, ki Ibn i Daúd ko Hoshaʻná, mubárak hai wuh jo Ḳhudáwand ke nám par átá hai, ʻálam i bálá par Hoshaʻná.

10 Aur jab wuh Yarúshalem meṉ dáḳhil húá, to sáre shahr meṉ halchal paṛ gayí, aur log kahne lage; Yih kaun hai?

11 Bhíṛ ke logoṉ ne kahá; Yih Galíl ke Násarat ká nabí Yisúʻ hai.

12 Aur Yisúʻ ne Ḳhudá kí haikal meṉ dáḳhil hokar, un sab ko nikál diyá, jo haikal meṉ ḳharíd o faroḳht kar rahe the, aur sarráfoṉ ke taḳhte aur kabútarfaroshoṉ kí chaukiyáṉ ulaṭ díṉ,

13 aur un se kahá; Likhá hai, ki Merá ghar duʻá ká ghar kahláegá; magar tum use ḍákúoṉ kí khoh banáte ho.

14 Aur andhe aur laṉgṛe haikal meṉ us ke pás áe; aur us ne unheṉ achchhá kiyá.

15 Lekin jab sardár káhinoṉ aur faqíhoṉ ne un ʻajíb kámoṉ ko, jo us ne kiye, aur laṛkoṉ ko haikal meṉ Ibn i Dáúd ko Hoshaʻná pukárte dekhá, to ḳhafá hokar us se kahne lage;

16 Tú suntá hai, ki yih kyá kahte haiṉ? Yisúʻ ne un se kahá; Háṉ; kyá tum ne yih kabhí nahíṉ paṛhá, ki Bachchoṉ aur shírḳhwároṉ ke muṉh se tú ne hamd ko kámil karáyá?

17 Aur wuh unheṉ chhoṛkar shahr ke báhar Baitʻaniyyáh meṉ gayá, aur rát ko wahíṉ rahá.

18 Aur jab subh ko phir shahr meṉ játá thá, to use bhúk lagí.

19 Aur anjir ká ek daraḳht ráh ke kanáre dekhkar us ke pás gayá, aur pattoṉ ke siwá us meṉ kuchh na pákar us se kahá, ki Áyanda tujh meṉ kabhí phal na lage. Aur anjír ká daraḳht usí dam súkh gayá.

20 Shágirdoṉ ne yih dekhkar taʻajjub kiyá, aur kahá; Yih anjír ká daraḳht kyúṉkar ek dam meṉ súkh gayá?

21 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Agar ímán rakkho aur shakk na karo, to na sirf wuh karoge, jo anjír ke daraḳht ke sáth húá, balki agar is paháṛ se bhí kahoge, ki Tú ukhaṛ já, aur samundar meṉ já paṛ, to yih ho jáegá.

22 Aur jo kuchh duʻá meṉ ímán ke sáth máṉgoge, wuh sab tumheṉ milegá.

23 Aur jab wuh haikal meṉ ákar taʻlím de rahá thá, to sardár káhinoṉ, aur qaum ke buzurgoṉ ne us ke pás ákar kahá; Tú in kámoṉ ko kis iḳhtiyár se kartá hai? aur kis ne tujhe yih iḳhtiyár diyá hai?

24 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Maiṉ bhí tum se ek bát púchhtá húṉ; agar wuh mujhe batáoge, to maiṉ bhí tum ko batáúṉgá, ki in kámoṉ ko kis iḳhtiyár se kartá húṉ.

25 Yúhanná ká baptisma kaháṉ se thá? ásmán kí taraf se, yá insán kí taraf se? Wuh ápas meṉ saláh karne lage, ki Agar ham kaheṉ, Ásmán kí taraf se, to wuh ham se kahegá, phir tum ne kyúṉ us ká yaqín na kiyá?

26 Aur agar kaheṉ, Insán kí taraf se, to ham ʻawámm se darte haiṉ, kyúṉki sab Yúhanná ko nabí jánte haiṉ.

27 Pas unhoṉ ne jawáb meṉ Yisúʻ se kahá, ki Ham nahíṉ jánte. Us ne bhí un se kahá; Maiṉ bhí tumheṉ nahíṉ batátá, ki in kámoṉ ko kis iḳhtiyár se kartá húṉ.

28 Tum kyá samajhte ho? Ek ádmí ke do beṭe the; us ne pahle ke pás jákar kahá; Beṭá, já; áj angúrí bág meṉ kám kar.

29 Us ne jawáb meṉ kahá; Maiṉ nahíṉ jáúṉgá; magar píchhe pachhtákar gayá.

30 Phir dúsre ke pás jákar us ne isí tarah kahá. Us ne jawáb diyá; Achchhá janáb: magar gayá nahíṉ.

31 In donoṉ meṉ se kaun apne báp kí marzí bajá láyá? Wuh bole; Pahlá. Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Mahsúl lenewále aur kasbíáṉ tum se pahle Ḳhudá ki bádsháhat meṉ dáḳhil hotí haiṉ.

32 Kyúṉki Yúhanná rástbází ki taríq par tumháre pás áyá, aur tum ne us ká yaqín na kiyá, magar mahsúl lenewáloṉ aur kasbíoṉ ne us ká yaqín kiyá; aur tum yih dekhkar píchhe bhí na pachhtáe, ki us ká yaqín kar lete.

33 Ek âur tamsíl suno. Ek ghar ká málik thá, jis ne angúrí bág lagáyá, aur us ke chároṉ taraf iháta gherá aur us meṉ hauz khodá, aur burj banáyá, aur use bágbánoṉ ko ṭheke par dekar pardes chalá gayá.

34 Aur jab phal ká mausim qaríb áyá, to us ne apne naukaroṉ ko bágbánoṉ ke pás apná phal lene ko bhejá.

35 Aur bágbánoṉ ne us ke naukaroṉ ko pakaṛkar kisí ko píṭá, aur kisí ko qatl kiyá, aur kisí ko saṉgsár kiyá.

36 Phir us ne âur naukaroṉ ko bhejá, jo pahloṉ se ziyáda the, aur unhoṉ ne in ke sáth bhí usí tarah kiyá.

37 Áḳhir us ne apne beṭe ko un ke pás yih kahkar bhejá, ki Wuh mere beṭe ká to liház kareṉge.

38 Jab bágbánoṉ ne beṭe ko dekhá, to ápas meṉ kahá, ki Yihí wáris hai; áo, ise qatl karke is kí mírás par qabza kar leṉ.

39 Aur use pakaṛkar bág se báhar nikálá, aur qatl kar diyá.

40 Pas jab bág ká málik áegá, to un bágbánoṉ ke sáth kyá karegá?

41 Unhoṉ ne us se kahá; Un bure ádmíoṉ ko burí tarah halák karegá, aur bág ká ṭheká âur bágbánoṉ ko degá, jo mausam par us ko phal deṉ.

42 Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tum ne kitáb i muqaddas meṉ kabhí nahíṉ paṛhá, ki

Jis patthar ko miʻmároṉ ne radd kiyá,

Wuhí kone ke sire ká patthar ho gayá;

Yih Ḳhudáwand kí taraf se húá,

Aur hamárí nazar meṉ ʻajib hai?

43 Is liye maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Ḳhudá ki bádsháhat tum se le li jáegí, aur us qaum ko, jo us ke phal láe, de dí jáegí.

44 Aur jo is patthar par giregá, us ke ṭukṛe ṭukṛe ho jáeṉge, magar jis par wuh giregá, use pís dálegá.

45 Aur jab sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ ne us kí tamsíleṉ suníṉ, to samajh gaye, ki hamáre haqq meṉ kahtá hai.

46 Aur wuh us ke pakaṛne kí koshish meṉ the, lekin logoṉ se darte the, kyúṉki wuh use nabí jánte the.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 22

1 Aur Yisúʻ phir un se tamsíloṉ meṉ kahne lagá, ki

2 Ásmán kí bádsháhat us bádsháh kí mánind hai, jis ne apne beṭe kí shádi kí;

3 aur apne naukaroṉ ko bhejá ki buláe húoṉ ko shádí meṉ buláeṉ; magar unhoṉ ne áná na cháhá.

4 Phir us ne âur naukaroṉ ko yih kahkar bhejá, ki Buláe húoṉ se kaho, ki Dekho, maiṉ ne ziyáfat taiyár kar lí hai; mere bail aur moṭe moṭe jánwar zabh ho chuke haiṉ, aur sab kuchh taiyár hai; shádí meṉ áo.

5 Magar wuh beparwáí karke chal diye, koí apne khet ko, koí apní saudágarí ko,

6 aur báqíoṉ ne us ke naukaroṉ ko pakaṛkar beʻizzat kiyá, aur már ḍálá.

7 Bádsháh ko gussa áyá, aur ápná lashkar bhejkar, un ḳhúníoṉ ko halák kar diyá, aur un ká shahr phúṉk diyá.

8 Tab us ne apne naukaroṉ se kahá, ki Shádi kí ziyáfat to taiyár hai, magar buláe húe láiq na the.

9 Pas rástoṉ ke nákoṉ par jáo, aur jitne tumheṉ mileṉ, shádi meṉ bulá láo.

10 Aur wuh naukar báhar rástoṉ par jákar, jo unheṉ mile, kyá bure kyá bhale, sab ko jamaʻ kar láe, aur shádí kí mahfil mihmánoṉ se bhar gayí.

11 Aur jab bádsháh mihmánoṉ ke dekhne ko andar áyá, to us ne waháṉ ek ádmí ko dekhá, jo shádi ki poshák pahine húe na thá;

12 aur us se kahá; Miyáṉ, tú shádí kí poshák pahine bagair yaháṉ kyúṉkar á gayá? Lekin us ká muṉh band ho gayá.

13 Is par bádsháh ne ḳhádimoṉ se kahá; Us ke háth páṉw báṉdhkar us ko báhar andhere meṉ ḍál do; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá.

14 Kyúṉki buláe húe bahut haiṉ, magar barguzída thoṛe.

15 Us waqt Farísíoṉ ne jákar mashwara kiyá, ki use kyúṉkar bátoṉ meṉ phaṉsáeṉ.

16 Pas unhoṉ ne apne shágirdoṉ ko Herodíoṉ ke sáth us ke pás bhejá, aur unhoṉ ne kahá; Ai ustád, ham jánte haiṉ ki tú sachchá hai, aur sachchái se Ḳhudá kí ráh kí taʻlím detá hai, aur kisí kí parwá nahíṉ kartá; kyúṉki tú kisí ádmí ká tarafdár nahíṉ.

17 Pas hameṉ batá, tú kyá samajhtá hai? Qaisar ko jizya dená rawá hai, yá nahíṉ?

18 Yisúʻ ne un kí sharárat jánkar kahá; Ai riyákáro, mujhe kyúṉ ázmáte ho?

19 Jizye ká sikka mujhe dikháo. Wuh ek dínár us ke pás le áe.

20 Us ne un se kahá; Yih súrat aur nám kis ká hai?

21 Unhoṉ ne us se kahá; Qaisar ká. Is par us ne un se kahá; Pas jo Qaisar ká hai, Qaisar ko, aur jo Ḳhudá ká hai, Ḳhudá ko adá karo.

22 Unhoṉ ne yih sunkar taʻajjub kiyá, aur use chhoṛkar chale gaye.

23 Usí din Sadúqí, jo kahte haiṉ, ki qiyámat hai hí nahíṉ, us ke pás áe, aur us se yih suwál kiyá, ki

24 Ai ustád, Músá ne kahá thá ki Agar koí beaulád mar jáe, to us ká bháí us kí bíwí se biyáh kar le, aur apne bháí ke liye nasl paidá kare.

25 Ab hamáre darmiyán sát bháí the; aur pahlá biyáh karke mar gayá, aur is sabab se, ki us ke aulád na thí, apní bíwí apne bhái ke liye chhoṛ gayá;

26 isí tarah dúsrá aur tísrá bhí, sátweṉ tak.

27 Sab ke píchhe wuh ʻaurat bhí mar gayí.

28 Pas wuh qiyámat meṉ un sátoṉ meṉ se kis kí bíwí hogí? kyúṉki sab ne us se biyáh kiyá thá.

29 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tum gumráh ho, is liye ki na kitáb i muqaddas ko jánte ho, na Ḳhudá ki qudrat ko;

30 kyúṉki qiyámat meṉ biyáh shádí na hogí, balki log ásmán par firishtoṉ kí mánind hoṉge.

31 Magar murdoṉ ke jí uṭhne kí bábat, jo Ḳhudá ne tumheṉ farmáyá thá, kyá tum ne wuh nahíṉ paṛhá, ki

32 Maiṉ Ibráhím ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá, aur Yaʻqúb ká Ḳhudá húṉ? Wuh to murdoṉ ká Ḳhudá nahíṉ, balki zindoṉ ká hai.

33 Log yih sunke us kí taʻlím se hairán húe.

34 Aur jab Farísíoṉ ne suná, ki us ne Sadúqíoṉ ká muṉh band kar diyá, to wuh jamaʻ ho gaye;

35 aur un meṉ se ek ʻálim i sharaʻ ne ázmáne ke liye us se púchhá;

36 Ai ustád, Tauret meṉ kaun sá hukm baṛá hai?

37 Us ne us se kahá, ki Ḳhudáwand apne Ḳhudá se apne sáre dil, aur apní sárí ján, aur apní sárí ʻaql se mahabbat rakh.

38 Baṛá aur pahlá hukm yihí hai.

39 Aur dúsrá us kí mánind yih hai, ki Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh.

40 In hí do hukmoṉ par tamám Tauret aur ambiyá ke sahífoṉ ká madár hai.

41 Aur jab Farísí jamaʻ húe, to Yisúʻ ne un se yih púchhá,

42 ki Tum Masíh ke haqq meṉ kyá samajhte ho? Wuh kis ká beṭá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Dáúd ká.

43 Us ne un se kahá; Pas Dáúd Rúh kí hidáyat se kyúṉkar use Ḳhudáwand kahtá hai, ki

44 Ḳhudáwand ne mere Ḳhudáwand se kahá;

Merí dahiní taraf baiṭh,

Jab tak maiṉ tere dushmanoṉ ko tere páṉwoṉ ke níche na kar dúṉ?

45 Pas jab Dáúd us ko Ḳhudáwand kahtá hai, to wuh us ká beṭá kyúṉkar ṭhahrá?

46 Aur koí us ke jawáb meṉ ek bát na bol saká, aur na us din se phir kisí ne us se suwál karne kí jurʼat kí.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 23

1 Us waqt Yisúʻ ne bhíṛ se aur apne shágirdoṉ se yih báteṉ kahíṉ, ki

2 Faqíh aur Farísí Músá kí gaddí par baiṭhe haiṉ;

3 pas jo kuchh wuh tumheṉ batáeṉ, wuh sab karo aur máno, lekin un ke se kám na karo, kyúṉki wuh kahte haiṉ, aur karte nahíṉ.

4 Wuh aise bhári bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, báṉdhkar logoṉ ke kandhoṉ par rakhte haiṉ, magar áp unheṉ apní unglí se bhí hiláná nahíṉ cháhte.

5 Wuh apne sab kám logoṉ ke dikháne ko karte haiṉ, kyúṉki apne taʻwíz baṛe banáte, aur apní poshák ke kanáre chauṛe rakhte haiṉ;

6 aur ziyáfatoṉ meṉ sadrnishíní, aur ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje ki kursíáṉ,

7 aur bázároṉ meṉ salám, aur ádmíoṉ se Rabbí kahláná pasand karte haiṉ.

8 Magar tum Rabbí na kahláo; kyúṉki tumhárá ustád ek hí hai, aur tum sab bháí ho.

9 Aur zamín par kisí ko apná báp na kaho; kyúṉki tumhárá Báp ek hí hai, jo ásmání hai.

10 Aur na tum hádi kahláo; kyúṉki tumhárá hádí ek hí hai, yaʻní Masíh.

11 Lekin jo tum meṉ baṛá hai, wuh tumhárá ḳhádim bane.

12 Aur jo koí apne áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá; aur jo apne áp ko chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.

13 Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki ásmán kí bádsháhat logoṉ par band karte ho; kyúṉki na to áp dáḳhil hote ho, aur na dáḳhil honewáloṉ ko dáḳhil hone dete ho.

[

14 Ai riyákár faqího aur Farisio, tum par afsos hai! ki tum bewa ʻauratoṉ ke gharoṉ ko dabá baiṭhte ho, aur dikháwe ke liye namáz ko túl dete ho: tumheṉ ziyáda sazá hogí.]

15 Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki ek muríd karne ke liye tarí aur ḳhushkí ká daura karte ho, aur jab wuh muríd ho chuktá hai, to use apne se dúná jahannam ká farzand baná dete ho.

16 Ai andhe ráh batánewálo, tum; par afsos hai! jo kahte ho, ki Agar koí maqdis kí qasam kháe, to kuchh bát nahíṉ; lekin agar maqdis ke sone kí qasam kháe, to us ká páband hogá.

17 Ai ahmaqo aur andho, kaun sá baṛá hai? soná, yá maqdis jis ne sone ko muqaddas kiyá?

18 Aur phir kahte ho, ki Agar koí qurbángáh kí qasam kháe, to kuchh bát nahíṉ, lekín jo nazr us par chaṛhí ho, agar us kí qasam kháe, to us ká páband hogá.

19 Ai andho, kaun sí baṛí hai? nazr, yá qurbángáh jo nazr ko muqaddas kartí hai?

20 Pas jo qurbángáh kí qasam khátá hai, wuh us kí, aur sab chízoṉ kí jo us par haiṉ, qasam khátá hai.

21 Aur jo maqdis ki qasam khátá hai, wuh us kí aur us ke rahnewále kí qasam khátá hai.

22 Aur jo ásmán kí qasam khátá hai, wuh Ḳhudá ke taḳht kí, aur us par baiṭhnewále kí qasam khátá hai.

23 Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki podíne aur sauṉf aur zíre par dahyakí dete ho, aur tum ne shariʻat kí ziyáda bhárí bátoṉ, yaʻní insáf aur rahm aur ímán ko chhoṛ diyá hai. Lázim thá, ki yih bhí karte, aur wuh bhí na chhoṛte.

24 Ai andhe ráh batánewálo, jo machchhar ko to chhánte ho, aur úṉṭ ko nigal játe ho.

25 Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki piyále aur rikábi ko úpar se sáf karte ho, magar wuh andar lúṭ aur náparhezgárí se bhare haiṉ.

26 Ai andhe Farísí, pahle piyále aur rikábí ko andar se sáf kar, táki úpar se bhí sáf ho jáeṉ.

27 Ai riyákár faqího aur Farísio, tum par afsos hai! ki tum safedí phirí húi qabroṉ ki mánind ho, jo úpar se to ḳhúbsúrat dikháí detí haiṉ, magar andar murdoṉ kí haddiyoṉ, aur har tarah kí najásat se bharí húí haiṉ.

28 Isí tarah tum bhí záhir meṉ to logoṉ ko rástbáz dikhái dete ho, magar bátin meṉ riyákárí aur bedíní se bhare húe ho.

29 Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki nabíoṉ kí qabreṉ banáte, aur rástbázoṉ ke maqbare árásta karte ho,

30 aur kahte ho, ki Agar ham apne bápdádá ke zamáne meṉ hote, to nabíoṉ ke ḳhún meṉ un ke sharík na hote.

31 Is tarah tum apní nisbat gawáhí dete ho, ki ham nabíoṉ ke qátiloṉ ke farzand haiṉ.

32 G̣araz apne bápdádá ká paimána bhar do.

33 Ai sáṉpo, ai afaʻí ke bachcho, tum jahannam kí sazá se kyúṉkar bachoge?

34 Is liye dekho maiṉ nabíoṉ aur dánáoṉ aur faqíhoṉ kó tumháre pás bhetjá húṉ; un meṉ se baʻz ko qatl karoge, aur salíb par chaṛháoge, aur baʻz ko apne ʻibádatḳhánoṉ meṉ koṛe mároge, aur shahr ba shahr satáte phiroge;

35 táki sab rástbázoṉ ká ḳhún, jo zamín par baháyá gayá, tum par áe; rástbáz Hábíl ke ḳhún se lekar Birikyáh ke beṭe Zakaryáh ke ḳhún tak, jise tum ne maqdis aur qurbángáh ke darmiyán qatl kiyá.

36 Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Yih sab kuchh is zamáne ke logoṉ par áegá.

37 Ai Yarúshalem, ai Yarúshalem, tú jo nabíoṉ ko qatl kartí hai, aur jo tere pás bheje gaye, unheṉ saṉgsár kartí hai! kitní hí bár maiṉ ne cháha, ki jis tarah murgí apne bachchoṉ ko paroṉ tale jamaʻ kar letí hai, usí tarah maiṉ bhí tere laṛkoṉ ko jamaʻ kar lúṉ, magar tum ne na cháhá!

38 Dekho, tumhárá ghar tumháre liye wírán chhoṛá játá hai.

39 Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Ab se mujhe phir hargiz na dekhoge, jab tak na kahoge, ki Mubárak hai wuh jo Ḳhudáwand ke nám par átá hai.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 24

1 Aur Yisúʻ haikal se nikalkar já rahá thá, kí us ke shágird us ke pás áe, táki use haikal ki ʻimárateṉ dikháeṉ.

2 Us ne jawáb meṉ un se kahá; Kyá tum in sab chízoṉ ko nahíṉ dekhte? Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Yaháṉ kisí patthar par patthar báqí na rahegá, jo giráyá na jaegá.

3 Aur jab wuh Zaitún ke paháṛ par baiṭhá thá, to us ke shágird alag us ke pás ákar bole; Hameṉ batá ki yih báteṉ kab hoṉgi? aur tere áne aur dunyá ke áḳhir hone ká nishán kyá hogá?

4 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ḳhabardár, koí tumheṉ gumráh na kar de.

5 Kyúṉki bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge ki Maiṉ Masih húṉ, aur bahut se logoṉ ko gumráh kareṉge.

6 Aur tum laiṛáiyáṉ, aur laṛáiyoṉ kí afwáh sunoge; ḳhabardár, ghabrá na jáná; kyúṉki in bátoṉ ká wáqiʻ honá zarúr hai, lekin us waqt ḳhátima na hogá.

7 Kyúṉki qaum par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛhái karegí; aur jagah jagah kál paṛeṉge, aur bhauṉchál áeṉge.

8 Lekin yih sab báteṉ musíbatoṉ ká shurúʻ hí hoṉgí.

9 Us waqt log tumheṉ taklíf dene ke liye pakaṛwáeṉge, aur tumheṉ qatl kareṉge, aur mere nám ke sabab sárí qaumeṉ tum se ʻadáwat rakkheṉgí.

10 Aur us waqt bahutere ṭhokar kháeṉge, aur ek dúsre ko pakaṛwáeṉge, aur ek dúsre se ʻadáwat rakkheṉge.

11 Aur bahut se jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur bahuteroṉ ko gumráh kareṉge.

12 Aur bedíní ke baṛh jáne ke sabab bahuteroṉ kí mahabbat ṭhandí paṛ jáegí.

13 Magar jo áḳhir tak bardásht karegá, wuh naját páegá.

14 Aur bádsháhat kí is ḳhushḳhabarí kí manádi tamám dunyá meṉ hogí, táki sab qaumoṉ ke liye gawáhí ho; aur us waqt ḳhátima hogá.

15 Pas jab tum us ujáṛnewálí makrúh chíz ko, jis ká zikr Dániyál nabí kí maʻrifat húá, muqaddas maqám meṉ khaṛá húá dekho, (paṛhnewálá samajh le,)

16 to jo Yahúdiya meṉ hoṉ, wuh paháṛoṉ par bhág jáeṉ:

17 jo koṭhe par ho, wuh apne ghar ká asbáb lene ko níche na utre;

18 aur jo khet meṉ ho, wuh apná kapṛá lene ko píchhe na lauṭe.

19 Magar un par afsos hai, jo un dinoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pilátí hoṉ!

20 Pas duʻá máṉgo, ki tumheṉ jáṛoṉ meṉ yá Sabt ke din bhágná na paṛe;

21 kyúṉki us waqt aisí baṛí musíbat hogí, ki dunyá ke shurúʻ se na ab tak húí, na kabhí hogí.

22 Aur agar wuh din ghaṭáe na játe, to koí bashar na bachtá; magar barguzídoṉ kí ḳhátir wuh din ghaṭáe jáeṉge.

23 Us waqt agar koí tum se kahe, ki Dekho, Masíh yaháṉ hai, yá waháṉ hai, to yaqín na karná.

24 Kyúṉki jhúṭhe Masíh aur jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur aise baṛe nishán aur ʻajíb kám dikháeṉge, ki agar mumkin ho, to barguzídoṉ ko bhí gumráh kar leṉ.

25 Dekho, maiṉ ne pahle hí tum se kah diyá hai.

26 Pas agar wuh tum se kaheṉ, ki Dekho, wuh biyábán meṉ hai, to báhar na jáná; Dekho, wuh koṭhriyoṉ meṉ hai, to yaqín na karná.

27 Kyúṉki jaise bijlí púrab se kauṉdhkar pachchhim tak dikháí detí hai, waise hí Ibn i Ádam ká áná hogá.

28 Jaháṉ murdár hai, waháṉ giddh jamaʻ ho jáeṉge.

29 Aur fauran un dinoṉ kí musíbat ke baʻd súraj tárík ho jáegá, aur chánd apní raushní na degá, aur sitáre ásmán se gireṉge, aur ásmánoṉ kí quwwateṉ hiláí jáeṉgí:

30 aur us waqt Ibn i Ádam ká nishán ásmán par dikháí degá; aur us waqt zamín kí sárí qaumeṉ chhátí píṭeṉgí aur Ibn i Ádam ko baṛí qudrat aur jalál ke sáth ásmán ke bádaloṉ par áte dekheṉgí.

31 Aur wuh narsinge kí baṛí áwáz ke sáth apne firishtoṉ ko bhejegá, aur wuh us ke barguzídoṉ ko chároṉ taraf se ásmán ke is sire se us sire tak jamaʻ kareṉge.

32 Ab anjír ke daraḳht se ek tamsíl síkho: júṉhí us kí ḍálí narm hotí aur patte nikalte haiṉ tum ján lete ho, ki garmí nazdík hai:

33 isí tarah jab tum in sab bátoṉ ko dekho, to ján lo ki wuh nazdík, balki darwáze par hai.

34 Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jab tak yih sab báteṉ na ho leṉ, yih nasl hargiz tamám na hogí.

35 Ásmán aur zamín ṭal jáeṉge, lekin merí báteṉ hargiz na ṭaleṉgí.

36 Lekin us din aur us ghaṛí kí bábat koí nahíṉ jántá, na ásmán ke firishte, na Beṭá, magar sirf Báp.

37 Jaisá Núh ke dinoṉ meṉ húá, waisá hí Ibn i Ádam ke áne ke waqt hogá.

38 Kyúṉki jis tarah túfán se pahle ke dinoṉ meṉ log kháte píte the, aur un meṉ biyáh shádí hotí thí, us din tak, ki Núh kishtí meṉ dáḳhil húá,

39 aur jab tak túfán ákar un sab ko bahá na le gayá, un ko ḳhabar na húí, isí tarah Ibn i Ádam ká áná hogá.

40 Us waqt do ádmí khet meṉ hoṉge; ek le liyá jáegá, aur dúsrá chhoṛ diyá jáegá.

41 Do ʻaurateṉ chakkí pístí hoṉgí; ek le lí jáegí, aur dúsrí chhoṛ dí jáegí.

42 Pas jágte raho; kyúṉki tum nahíṉ jánte, ki kis din tumhárá Ḳhudáwand áegá.

43 Lekin yih ján rakkho, ki agar ghar ke málik ko maʻlúm hotá, ki chor rát ke kaun se pahar áegá, to jágtá rahtá, aur apne ghar meṉ naqb hone na detá.

44 Is liye tum bhí taiyár raho; kyúṉki jis ghaṛí tumheṉ gumán bhí na hogá, Ibn i Ádam á jáegá.

45 Pas wuh diyánatdár aur ʻaqlmand naukar kaun sá hai, jise málik ne apne naukar chákaroṉ par muqarrar kiyá, táki waqt par unheṉ kháná de?

46 Mubárak hai wuh naukar, jise us ká málik ákar aisá hí karte páe.

47 Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Wuh use apne sáre mál ká muḳhtár kar degá.

48 Lekin agar wuh kharáb naukar apne dil meṉ yih kahkar, ki Mere málik ke áne meṉ der hai,

49 apne hamḳhidmatoṉ ko márná shurúʻ kare, aur sharábíoṉ ke sáth kháe píe;

50 to us naukar ká málik aise din ki wuh us kí ráh na dekhtá ho, aur aisí ghaṛí ki wuh na jántá ho, á maujúd hogá;

51 aur ḳhúb koṛe lagákar us ko riyákároṉ meṉ shámil karegá; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 25

1 Us waqt ásmán kíi bádsháhat un das kuṉwáriyoṉ kí mánind hogí, jo apní apní mashʻaleṉ lekar dulhá ke istiqbál ko niklíṉ.

2 Un meṉ páṉch bewuqúf, aur páṉch ʻaqlmand thíṉ.

3 Jo bewuqúf thíṉ, unhoṉ ne apní mashʻaleṉ to le líṉ, magar tel apne sáth na liyá.

4 Magar ʻaqlmandoṉ ne apní mashʻaloṉ ke sáth apní kuppiyoṉ meṉ tel bhí le liyá.

5 Aur jab dulhá ne der lagáí, to sab úṉghne lagíṉ aur so gayíṉ.

6 Ádhí rát ko dhúm machí, ki Dekho, dulhá á gayá! Us ke istiqbál ko niklo.

7 Us waqt wuh sab kuṉwáriyáṉ uṭhkar apní apní mashʻaleṉ durust karne lagíṉ.

8 Aur bewuqúfoṉ ne ʻaqlmandoṉ se kahá, ki Apne tel meṉ se kuchh hameṉ bhí de do; kyúṉki hamárí mashʻaleṉ bujhí játí haiṉ.

9 ʻAqlmandoṉ ne jawáb meṉ kahá, ki Sháyad hamáre tumháre donoṉ ke liye púrá na ho; bihtar yih hai, ki bechnewáloṉ ke pás jákar apne wáste mol le lo.

10 Jab wuh mol lene já rahí thíṉ, to dulhá á pahuṉchá; aur jo taiyár thíṉ, wuh us ke sáth sháḍí meṉ chalí gayíṉ, aur darwáza band kiyá gayá.

11 Píchhe wuh báqí kuṉwáriyáṉ bhí áíṉ aur kahne lagíṉ; Ai Ḳhudáwand, ai Ḳhudáwand, hamáre liye darwáza khol de.

12 Us ne jawáb meṉ kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki maiṉ tumheṉ nahíṉ jántá.

13 Pas jágte raho, kyúṉki tum na us din ko jánte ho, na us ghaṛí ko.

14 Kyúṉki yih us ádmí ká sá hál hai, jis ne pardes játe waqt, apne ghar ke naukaroṉ ko bulákar, apná mál un ke supurd kiyá.

15 Aur ek ko páṉch toṛe diye, dúsre ko do, tísre ko ek; yaʻní har ek ko us kí liyáqat ke muwáfiq diyá, aur pardes chala gayá.

16 Jis ko páṉch toṛe mile the, us ne fauran jákar un se len den kiyá, aur páṉch toṛe âur paidá kar liye.

17 Isí tarah jise do mile the, us ne bhí do âur kamáe.

18 Magar jis ko ek milá thá, us ne jákar zamín khodí, aur apne málik ká rupaya chhipá diyá.

19 Baṛí muddat ke baʻd un naukaroṉ ká málik áyá, aur un se hisáb lene lagá.

20 Jis ko páṉch toṛe mile the, wuh páṉch tore âur lekar áyá, aur kahá; Ai Ḳhudáwand, tú ne páṉch toṛe meré supurd kiye the; dekh, maiṉ ne páṉch toṛe âur kamáe.

21 Us ke málik ne us se kahá; Ai achchhe aur diyánatdár naukar, shábásh! tú thore meṉ diyánatdár rahá, maiṉ tujhe bahut chízoṉ ká muḳhtár banáúṉgá: apne málik kí ḳhushí meṉ sharík ho.

22 Aur jis ko do toṛe mile the, us ne bhí pás ákar kahá; Ai Ḳhudáwand, tú ne do toṛe mere supurd kiye the; dekh, maiṉ ne do toṛe âur kamáe.

23 Us ke málik ne us se kahá; Ai achchhe aur díyánatdár naukar, shábásh! tú thoṛe meṉ diyánatdár rahá, maiṉ tujhe bahut chízoṉ ká muḳhtár banáúṉgá; apne málik kí ḳhushí meṉ sharík ho.

24 Aur jis ko ek toṛá milá thá, wuh bhí pás ákar kahne lagá; Ai Ḳhudáwand, maiṉ tujhe jántá thá, kí tu saḳht ádmí hai, aur jaháṉ nahíṉ boyá, waháṉ se káṭtá hai, aur jaháṉ nahíṉ bakherá, waháṉ se jamaʻ kartá hai;

25 pas maiṉ ḍará, aur jákar terá toṛá zamín meṉ chhipá diyá: dekh, jo terá hai wuh maujúd hai.

26 Us ke málik ne jawáb meṉ us se kahá; Ai sharír aur sust naukar, tú jántá thá, ki jaháṉ maiṉ ne nahíṉ boyá, waháṉ se káṭtá húṉ, aur jaháṉ maiṉ ne nahíṉ bakherá, waháṉ se jamaʻ kartá húṉ;

27 pas tujhe lázim thá, ki merá rupaya sáhúkároṉ ko detá, to maiṉ ákar apná mál súd samet le letá.

28 Pas is se wuh toṛá le lo, aur jis ke pás das toṛe haiṉ, use de do.

29 Kyúṉki jis kisí ke pás hai, use diyá jáegá, aur us ke pás ziyáda ho jáegá; magar jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí, jo us ke pás hai, le liyá jáegá.

30 Aur is nikamme naukar ko báhar andhere meṉ ḍál do; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá.

31 Jab Ibn i Ádam apne jalál meṉ áegá, aur sab firishte us ke sáth áeṉge, to us waqt wuh apne jalál ke taḳht par baiṭhegá;

32 aur sab qaumeṉ us ke sámne jamaʻ kí jáeṉgí, aur wuh ek ko dúsre se judá karegá, jaise charwáhá bheṛoṉ ko bakriyoṉ se judá kartá hai;

33 aur bheṛoṉ ko apne dahine, aur bakriyoṉ ko báeṉ khaṛá karegá.

34 Us waqt bádsháh apne dahiní tarafwáloṉ se kahegá, ki Áo, mere Báp ke mubárak logo; jo bádsháhat biná e ʻálam ke waqt se tumháre liye taiyár kí gayí hai, use mírás meṉ lo;

35 kyúṉki maiṉ bhúká thá, tum ne mujhe kháná khiláyá; maiṉ piyásá thá, tum ne mujhe pání piláyá; maiṉ pardesí thá, tum ne mujhe apne ghar meṉ utárá;

36 naṉgá thá, tum ne mujhe kapṛá pahináyá; bímár thá, tum ne merí ḳhabar lí; qaid meṉ thá, tum mere pás áe.

37 Tab rástbáz jawáb meṉ us se kaheṉge; Ai Ḳhudáwand, ham ne kab tujhe bhúká dekhkar kháná khiláyá, yá piyásá dekhkar pání piláyá?

38 ham ne kab tujhe pardesí dekhkar ghar meṉ utárá? yá naṉgá dekhkar kapṛá pahináyá?

39 ham kab tujhe bímár yá qaid meṉ dekhkar tere pás áe?

40 Bádsháh jawáb meṉ un se kahegá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, chúṉki tum ne mere in sab se chhoṭe bháiyoṉ meṉ se kisí ek ke sáth yih kiyá, is liye mere hí sáth kiyá.

41 Phir wuh báíṉ tarafwáloṉ se kahegá; Ai malʻúno, mere sámne se us hamesha kí ág meṉ chale jáo, jo Iblís aur us ke firishtoṉ ke liye taiyár kí gayí hai;

42 kyúṉki maiṉ bhúká thá, tum ne mujhe kháná na khiláyá; piyásá thá, tum ne mujhe pání na piláyá;

43 pardesí thá, tum ne mujhe ghar meṉ na utárá; naṉgá thá, tum ne mujhe kapṛá na pahináyá; bímár aur qaid meṉ thá, tum ne merí ḳhabar na lí.

44 Tab wuh bhí jawáb meṉ kaheṉge; Ai Ḳhudáwand, ham ne kab tujhe bhúká, yá piyásá, yá pardesí, yá naṉgá, yá bímár, yá qaid meṉ dekhkar terí ḳhidmat na kí?

45 Us waqt wuh un se jawáb meṉ kahegá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, chúṉki tum ne in sab se chhoṭoṉ meṉ se kisí ek ke sáth yih na kiyá, is liye mere sáth na kiyá.

46 Aur yih hamesha kí sazá páeṉge, magar rástbáz hamesha kí zindagí.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 26

1 Aur jab Yisúʻ yih sab báteṉ ḳhatm kar chuká, to aisá húá ki us ne apne shágirdoṉ se kahá;

2 Tum jánte ho, ki do din ke baʻd ʻIʹd i Fasah hogí, aur Ibn i Ádam maslúb hone ko pakaṛwáyá jáegá.

3 Us waqt sardár káhin aur qaum ke buzurg Káifá nám sardár káhin ke díwánḳháne meṉ jamaʻ ho gaye;

4 aur saláh kí, ki Yisúʻ ko fareb se pakaṛkar qatl kareṉ.

5 Magar kahte the, ki ʻIʹd ko nahíṉ, aisá na ho ki logoṉ meṉ balwá ho jáe.

6 Aur jab Yisúʻ Baitʻaniyyáh meṉ Shamaʻún koṛhí ke ghar meṉ thá,

7 to ek ʻaurat saṉg i marmar kí ʻitrdání meṉ qímatí ʻitr lekar us ke pás ái, aur jab wuh kháná kháne baiṭhá thá, to us ke sir par ḍálá.

8 Shágird yih dekhkar ḳhafa húe, aur kahne lage, ki Yih kis liye záiʻ kiyá gayá?

9 Yih to baṛe dámoṉ ko bikkar garíboṉ ko diyá já saktá thá.

10 Yisúʻ ne yih jánkar un se kahá, ki Is ʻaurat ko kyúṉ diqq karte ho? us ne to mere sáth bhalál kí hai.

11 Kyúṉki garíb gurbá to hamesha tumháre pás haiṉ; lekin maiṉ tumháre pás hamesha na rahúṉgá.

12 Aur is ne jo yih ʻitr mere badan par ḍálá, yih mere dafn kí taiyárí ke wáste kiyá.

13 Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Tamám dunyá meṉ jaháṉ kahíṉ is ḳhushḳhabarí kí manádí kí jáegí, yih bhí jo is ne kiyá, is kí yádgárí meṉ kahá jáegá.

14 Us waqt un bárah meṉ se ek ne, jis ká nám Yahúdáh Iskariyotí thá, sardár káhinoṉ ke pás jákar kahá, ki

15 Agar maiṉ use tumháre hawále kará dúṉ, to mujhe kyá doge? Unhoṉ ne use tís rupaye tolkar de diye.

16 Aur wuh us waqt se us ke pakaṛwáne ká mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá.

17 Aur ʻIʹd i Fatír ke pahlé din shágird Yisúʻ ke pás ákar bole; Tú kaháṉ cháhtá hai, ki ham tere liye Fasah kháne kí taiyárí kareṉ?

18 Us ne kahá; Shahr meṉ fuláṉ shaḳhs ke pás jákar us se kahná; Ustád farmátá hai, ki Merá waqt nazdík hai; maiṉ apne shágirdoṉ ke sáth tere háṉ ʻIʹd i Fasah karúṉgá.

19 Aur jaisá Yisúʻ ne shágirdoṉ ko hukm diyá thá, unhoṉ ne waisá hí kiyá aur Fasah taiyár kiyá.

20 Jab shám húí, to wuh bárah shágirdoṉ ke sáth kháná kháne baiṭhá thá;

21 aur jab wuh khá rahe the, to us ne kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki tum meṉ se ek mujhe pakaṛwáegá.

22 Wuh bahut hí dilgír húe, aur har ek us se kahne lagá; Ai Ḳhudáwand, kyá maiṉ húṉ?

23 Us ne jawáb meṉ kahá, ki Jis ne mere sáth tabáq meṉ háth ḍálá hai, wuhí mujhe pakaṛwáegá.

24 Ibn i Ádam to jaisá us ke haqq meṉ likhá hai, játá hí hai; lekin us ádmí par afsos hai, jis ke wasíle se Ibn i Ádam pakaṛwáyá játá hai! agar wuh ádmí paidá na hotá, to us ke liye achchhá hotá.

25 Us ke pakaṛwánewále Yahúdáh ne jawáb meṉ kahá; Ai Rabbí, kyá maiṉ húṉ? Us ne us se kahá; Tú ne ḳhud kah diyá.

26 Jab wuh khá rahe the to Yisúʻ ne roṭí lí, aur barakat cháhkar toṛí, aur shágirdoṉ ko dekar kahá; Lo, kháo, yih merá badan hai.

27 Phir piyála lekar shukr kiyá, aur unheṉ dekar kahá, ki Tum sab is meṉ se pí lo;

28 kyúnki yih ʻahd ká merá wuh ḳhún hai, jo bahuteroṉ ke liye gunáhoṉ kí muʻáfí ke wáste baháyá játá hai.

29 Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Angúr ká yih shíra phir kabhí na píúṉgá, us din tak ki tumháre sáth apne Báp ki bádsháhat meṉ nayá na píúṉ.

30 Phir wuh gít gákar báhar Zaitún ke paháṛ par gaye.

31 Us waqt Yisúʻ ne un se kahá, ki Tum sab isí rát merí bábat ṭhokar kháoge; kyúṉki likhá hai, ki Maiṉ charwáhe ko márúṉgá, aur galle kí bheṛeṉ paráganda ho jáeṉgí.

32 Lekin maiṉ apne ji uṭhne ke baʻd tum se pahle Galíl ko jáúṉgá.

33 Patras ne jawáb meṉ us se kahá; Go sab terí bábat ṭhokar kháeṉ, lekin maiṉ kabhí ṭhokar na kháúṉgá.

34 Yísúʻ ne us se kahá; Maiṉ tujh se sach kahtá húṉ, ki Isí rát, murg ke báṉg dene se pahle, tú tín bár merá inkár karegá.

35 Patras ne us se kahá; Agar tere sáth mujhe marná bhí pare, taubhí terá inkár hargiz na karúṉgá. Aur sab shágirdoṉ ne bhí isí tarah kahá.

36 Us waqt Yisúʻ un ke sáth Gatsamane nám ek jagah meṉ áyá, aur apne shágirdoṉ se kahá, ki Yahíṉ baiṭhe rahná, jab tak ki maiṉ waháṉ jákar duʻá máṉgúṉ.

37 Aur Patras aur Zabdí ke donoṉ beṭoṉ ko sáth lekar, gamgín aur beqarár hone lagá.

38 Us waqt us ne un se kahá; Merí ján niháyat gamgín hai, yaháṉ tak ki marne kí naubat pahuṉch gayí hai; tum yaháṉ ṭhahro, aur mere sáth jágte raho.

39 Phir thoṛá áge baṛhá, aur muṉh ke bal girkar yih duʻá máṉgí; Ai mere Báp, agar ho sake, to yih piyála mujh se ṭal jáe; táham jaisá maiṉ cháhtá húṉ waisá nahíṉ, balki jaisá tú cháhtá hai waisá hí ho.

40 Phir shágirdoṉ ke pás ákar unheṉ sote páyá, aur Patras se kahá; Kyúṉ, tum mere sáth ek ghaṛí bhí na jág sake?

41 Jágo aur duʻá máṉgo, táki ázmáish meṉ na paṛo: rúh to mustaʻidd hai, magar jism kamzor hai.

42 Phir dobára us ne jákar yih duʻá máṉgi; Ai mere Báp, agar yih mere piye bagair nahíṉ ṭal saktá, to teri marzí púrí ho.

43 Aur ákar unheṉ phir sote páyá, kyúṉki un kí áṉkheṉ níṉd se bharí húi thíṉ.

44 Aur unheṉ chhoṛkar phir chalá gayá, aur wuhí bát phir kahkar tísrí bár duʻá máṉgí.

45 Tab shágirdoṉ ke pás ákar un se kahá; Ab sote raho aur árám karo: dekho, waqt á pahuṉchá hai, aur Ibn i Ádam gunahgároṉ ke hawále kiyá játá hai.

46 Uṭho, chaleṉ; dekho, merá pakaṛwánewálá nazdík á pahuṉchá hai.

47 Wuh yih kah hí rahá thá, ki Yahúdáh, jo un bárah meṉ se ek thá, áyá, aur us ke sáth ek baṛí bhíṛ talwáreṉ aur láṭhiyáṉ liye húe, sardár káhinoṉ aur qaum ke buzurgoṉ kí taraf se á pahuṉchí.

48 Aur us ke pakaṛwánewále ne unheṉ yih patá diyá thá, ki jis ká maiṉ bosa lúṉ, wuhí hai; use pakaṛ lená.

49 Aur fauran Yisúʻ ke pás ákar kahá; Ai Rabbí, salám; aur us ke bose liye.

50 Yisúʻ ne us se kahá; Miyáṉ, jis kám ko áyá hai, wuh kar le. Is par unhoṉ ne pás ákar Yisúʻ par háth ḍálá, aur use pakaṛ liyá.

51 Aur dekho, Yisúʻ ke sáthiyoṉ meṉ se ek ne háth baṛhákar apní talwár kheṉchí, aur sardár káhin ke naukar par chalákar us ká kán uṛá diyá.

52 Yisúʻ ne us se kahá; Apní talwár ko miyán meṉ kar le; kyúṉki jo talwár kheṉchte haiṉ, wuh sab talwár se halák kiye jáeṉge.

53 Áyá tú nahíṉ samajhtá, ki maiṉ apne Báp se minnat kar saktá húṉ, aur wuh firishtoṉ ke bárah tuman se ziyáda mere pás abhí maujúd kar degá?

54 Magar wuh nawishte, ki yúṉhíṉ honá zarúr hai, kyúṉkar púre hoṉge?

55 Usí ghaṛí Yisúʻ ne bhíṛ se kahá; Kyá tum talwáreṉ aur láṭhiyáṉ lekar mujhe ḍákú kí tarah pakaṛne nikle ho? Maiṉ har roz haikal meṉ baiṭhkar taʻlím deta thá, aur tum ne mujhe nahíṉ pakṛá.

56 Magar yih sab kuchh is liye húá hai, ki nabíoṉ ke nawishte púre hoṉ. Is par sáre shágird use chhoṛkar bhág gaye.

57 Aur Yisúʻ ke pakaṛnewále us ko Káifá nám sardár káhin ke pás le gaye, jahán faqíh aur buzurg jamaʻ ho gaye the.

58 Aur Patras fásile par us ke píchhe píchhe sardár káhin ke diwánḳháne tak gayá, aur andar jákar piyádoṉ ke sáth natíja dekhne ko baiṭh gayá.

59 Aur sardár káhin aur sáre sadr ʻadálatwále Yisúʻ ko már ḍálne ke wáste us ke ḳhiláf jhúṭhí gawáhí ḍhúṉḍhne lage,

60 magar na páí, go ki bahut se jhúṭhe gawáh áe. Lekin áḳhir kár do gawáhoṉ ne ákar kahá, ki

61 Is ne kahá hai; Maiṉ Ḳhudá ke maqdis ko ḍhá saktá, aur tín din meṉ use baná saktá húṉ.

62 Aur sardár káhin ne khaṛe hokar us se kahá; Tú jawáb nahíṉ detá? yih tere ḳhiláf kyá gawáhí dete haiṉ?

63 Magar Yisúʻ chupká hí rahá. Sardár káhin ne us se kahá; Maiṉ tujhe zinda Ḳhudá kí qasam detá húṉ, ki agar tú Ḳhudá ká Beṭá Masíh hai, to ham se kah de.

64 Yisúʻ ne us se kahá; Tú ne ḳhud kah diyá; balki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki is ke baʻd tum Ibn i Ádam ko Qádir i Mutlaq kí dahiní taraf baiṭhe, aur ásmán ke bádaloṉ par áte dekhoge.

65 Is par sardár káhin ne yih kahkar apne kapṛe pháṛe, ki Us ne kufr baká hai; ab hameṉ gawáhoṉ kí kyá hájatrahí? dekho, tum ne abhí yih kufr suná hai: tumhárí kyá ráe hai?

66 Unhoṉ ne jawáb meṉ kahá; Wuh qatl ke láiq hai.

67 Is par unhoṉ ne us ke muṉh par thúká, aur us ke mukke máre, aur baʻz ne tamáṉche márke kahá;

68 Ai Masíh, hameṉ nubuwwat se batá, ki kis ne tujhe márá?

69 Aur Patras báhar sahn meṉ baiṭhá húá thá, ki ek lauṉḍí us ke pás ákar bolí; Tú bhí Yisúʻ Galílí ke sáth thá.

70 Us ne sab ke sámne yih kahkar inkár kiyá, ki Maiṉ nahíṉ jántá, tú kyá kahtí hai.

71 Aur jab wuh ḍeoṛhí meṉ chalá gayá, to dúsrí ne use dekhá, aur jo waháṉ the un se kahá; Yih bhí Yisúʻ Násarí ke sáth thá.

72 Us ne qasam kahkar phir inkár kiyá, ki Maiṉ is ádmí ko nahíṉ jántá.

73 Thoṛí der ke baʻd, jo waháṉ khaṛe the, unhoṉ ne Patras ke pás ákar kahá, ki Beshakk tú bhí un meṉ se hai; kyúṉki terí bolí se bhí záhir hotá hai.

74 Is par wuh laʻnat karne aur qasam kháne lagá, ki Maiṉ is ádmí ko nahíṉ jántá; aur fiʼlfaur murg ne báṉg dí.

75 Patras ko Yisúʻ kí wuh bát yád áí jo us ne kahí thí, ki Murg ke báṉg dene se pahle tú tín bár merá inkár karegá. Aur wuh báhar jákar zár zár royá.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 27

1 Jab subh húí, to sab sardár káhinoṉ aur qaum ke buzurgon ne Yisúʻ ke ḳhiláf mashwara kiya ki use már dáleṉ;

2 aur use báṉdhkar le gaye, aur Pílátus hákim ke hawále kiyá.

3 Jab us ke pakaṛwánewále Yahúdáh ne yih dekhá ki wuh mujrim ṭhahráyá gayá, to pachhtáyá, aur wuh tís rupaye sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ke pás pher láyá, aur kahá;

4 Maiṉ ne gunáh kiyá, ki bequsúr ko qatl ke liye pakaṛwáyá. Wuh bole; Hameṉ kyá? tú ján.

5 Aur wuh rupayoṉ ko maqdis meṉ pheṉkkar chalá gayá, aur jákar apne áp ko pháṉsí dí.

6 Sardár káhinoṉ ne rupaye lekar kahá; Inheṉ haikal ke ḳhazáne meṉ dálná rawá nahíṉ, kyúṉki ḳhún kí qímat hai.

7 Pas unhoṉ ne saláh karke un rupayoṉ se kumhár ká khet pardesiyoṉ ke dafn karne ke liye ḳharídá.

8 Is sabab se wuh khet áj tak Ḳhún ká khet kahlátá hai.

9 Us waqt jo Yirmayáh nabí kí maʻrifat kahá gayá thá, wuh púrá húá, kí Jis kí qímat ṭhahráí gayí thí, unhoṉ ne us ki qímat ke wuh tís rupaye le liye; (us kí qímat baʻz baní Isráíl ne ṭhahráí thí;)

10 aur unheṉ kumhár ke khet ke wáste diyá, jaisá Ḳhudáwand ne mujhe hukm diyá.

11 Yisúʻ hákim ke sámne khaṛá thá, aur hákim ne us se yih púchhá; Kyá tú Yahúdíoṉ ká bádsháh hai? Yisúʻ ne us se kahá; Tú ḳhud kahtá hai.

12 Aur jab sardár káhin aur buzurg us par ilzám lagá rahe the, to us ne kuchh jawáb na diyá.

13 Is pár Pílátus ne us se kahá; Kyá tú nahíṉ suntá, ki yih tere ḳhiláf kitní gawáhíáṉ dete haiṉ?

14 Us ne ek bát ká bhí us ko jawáb na diyá, yaháṉ tak ki hákim ne bahut taʻajjub kiyá.

15 Aur hákim ká dastúr thá, ki ʻIʹd par logoṉ kí ḳhátir ek qaidí jise wuh cháhte the, chhoṛ detá thá.

16 Us waqt Bar Abbánám un ká ek mashhúr qaidí thá.

17 Pas jab wuh ikaṭṭhe húe, to Pílátus ne un se kahá; Tum kise cháhte ho, ki maiṉ tumhárí ḳhátir chhoṛ dúṉ? Bar Abbá ko, yá Yisúʻ ko jo Masíh kahlátá hai?

18 Kyúṉki use maʻlúm thá, ki unhoṉ ne is ko hasad se pakaṛwáyá hai.

19 Aur jab wuh taḳht i ʻadálat par baiṭhá húá thá, to us kí bíwí ne use kahlá bhejá, ki Tú is rástbáz se kuchh kám na rakh; kyúṉki maiṉ ne áj ḳhwáb meṉ is ke sabab se bahut dukh uṭháyá hai.

20 Lekin sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ne logoṉ ko ubhárá, ki Bar Abbá ko máṉg leṉ, aur Yisúʻ ko halák karáeṉ.

21 Hákim ne un se kahá, ki In donoṉ meṉ se kis ko cháhte ho, ki tumhári ḳhátir chhoṛ dúṉ? Wuh bole; Bar Abbá ko.

22 Pílátus ne un se kahá; Phir Yisúʻ ko jo Masíh kahlátá hai kyá karúṉ? Sab ne kahá, ki Us ko salíb dí jáe.

23 Us ne kahá; Kyúṉ, us ne kyá buráí kí hai? Magar wuh âur bhí chillá chillákar bole, ki Us ko salíb dí jáe.

24 Jab Pílátus ne dekhá, ki kuchh ban nahíṉ paṛtá, balki ulṭá balwá hotá játá hai, to pání lekar logoṉ ke rúbarú apne háth dhoe, aur kahá; Maiṉ is rástbáz ke ḳhún se barí húṉ; tum jáno.

25 Sab logoṉ ne jawáb dekar kahá, ki Is ká ḳhún hamárí aur hamárí aulád kí gardan par!

26 Is par us ne Bar-Abbá ko un kí ḳhátir chhoṛ diyá, aur Yisúʻ ko koṛe lagwákar háwále kiyá, táki salíb dí jáe.

27 Is par hákim ke sipáhíoṉ ne Yisúʻ ko qilʻe meṉ le jákar sárí palṭan us ke gird jamaʻ kí;

28 aur us ke kapṛe utárkar use qirmizí choga pahináyá;

29 aur káṉṭoṉ ká táj banákar us ke sir par rakkhá, aur ek sarkanḍá us ke dahine háth meṉ diyá, aur us ke áge ghuṭne ṭekkar use ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛáne lage, ki Ai Yahúdíoṉ ke bádsháh, ádáb!

30 Aur us par thúká, aur wuhí sarkandá lekar us ke sir par márne lage.

31 Aur jab us ká ṭhaṭṭhá kar chuke, to choge ko us par se utárkar phir usí ke kapṛe use pahináe, aur salíb dene ko le gaye.

32 Jab báhar áe, to unheṉ Shamaʻún nam ek Kurení ádmí milá; use begár meṉ pakṛá, ki us kí salíb uṭháe.

33 Aur us jagah jo Gulguta, yaʻní khopṛí kí jagah, kahlátí hai pahuṉchkar,

34 pit milí húí mai use píne ko dí, magar us ne chakhkar píná na cháhá.

35 Aur unhoṉ ne use salíb par chaṛháyá, aur us ke kapṛe qurʻa dálkar báṉṭ liye,

36 aur waháṉ baiṭhkar us kí nigahbání karne lage.

37 Aur us ká ilzám likhkar us ke sir se úpar lagá diyá, ki YIH YAHÚDÍOṈ KÁ BÁDSHÁH YISÚʻ HAI.

38 Us waqt us ke sáth do ḍákú salíb par chaṛháe gaye, ek dahine, aur ek báeṉ.

39 Aur ráh chalnewále sir hilá hilákar us ko laʻn taʻn karte, aur kahte the;

40 Ai maqdis ke ḍhánewále, aur tín din meṉ banánewále, apne taíṉ bachá; agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to salíb par se utar á.

41 Isí tarah sardár káhin bhí, faqíhoṉ aur buzurgoṉ ke sáth milke, ṭhaṭṭhe se kahte the;

42 Is ne auroṉ ko bacháyá, apne taíṉ nahíṉ bachá saktá. Yih to Isráíl ká bádsháh hai; ab salíb par se utar áe, to ham us par ímán láeṉ.

43 Is ne Ḳhudá par bharosá rakkhá hai; agár wuh ise cháhtá hai, to ab is ko chhuṛá le, kyúṉki is ne kahá thá; Maiṉ Ḳhudá ká Beṭá húṉ.

44 Isí tarah ḍákú bhí, jo us ke sáth salíb par chaṛháe gaye the, us par laʻn taʻn karte the.

45 Aur do pahar se lekar tísre pahar tak tamám mulk meṉ andherá chháyá rahá.

46 Aur tísre pahar ke qaríb Yisúʻ ne baṛí áwáz se chillákar kahá; Elí, Elí, lamá shabaqtaní? yaʻní Ai mere Ḳhudá, ai mere Ḳhudá, tú ne mujhe kyúṉ chhoṛ diyá?

47 Jo waháṉ khaṛe the, un meṉ se baʻz ne sunkar kahá; Yih Eliyyáh ko pukártá hai.

48 Aur fauran un meṉ se ek shaḳhs dauṛá, aur isfanj lekar sirke meṉ duboyá, aur sarkande par rakhkar use chusáyá.

49 Magar báqíoṉ ne kahá; Thahar jáo, dekheṉ to, Eliyyáh use bacháne átá hai, yá nahíṉ.

50 Yisúʻ phir baṛí áwáz se chilláyá, aur ján de dí.

51 Aur maqdis ká parda úpar se níche tak phaṭkar do ṭukṛe ho gayá, aur zamín larzí aur chaṭáneṉ taṛak gayíṉ;

52 aur qabreṉ khul gayíṉ, aur bahut se jism un muqaddasoṉ ke jo so gaye the jí uṭhe;

53 aur us ke jí uṭhne ke baʻd qabroṉ se nikalkar muqaddas shahr meṉ gaye, aur bahutoṉ ko dikháí diye.

54 Pas súbadár aur jo us ke sáth Yisúʻ kí nigahbání karte the, bhauṉchál aur tamám májará dekhkar, bahut hí dare aur bole, ki Beshakk yih Ḳhudá ká Beṭá thá.

55 Aur waháṉ bahut sí ʻaurateṉ, jo Galíl se Yisúʻ ke píchhe píchhe us kí ḳhidmat kartí húí ái thíṉ, dúr se dekh rahi thíṉ.

56 Un meṉ Maryam Magdalíní thí, aur Yaʻqúb aur Yoses kí máṉ Maryam, aur Zabdí ke beṭoṉ kí máṉ.

57 Jab shám húí, to Yúsuf nám Arimatiyáh ká ek daulatmand shaḳhs áyá, jo ḳhud bhí Yisúʻ ká shágird thá.

58 Us ne Pílátus ke pás jákar Yisúʻ kí lásh máṉgí. Is par Pílátus ne de dene ká hukm diyá.

59 Aur Yúsuf ne lásh ko lekar sáf mihin chádar meṉ lapeṭá,

60 aur apní nayí qabr meṉ rakh diyá, jo us ne chaṭán meṉ khudwáí thí, aur ek baṛá patthar qabr ke muṉh par luṛhkáke chalá gayá.

61 Aur Maryam Magdalíní, aur dúsrí Maryam waháṉ qabr ke sámne baiṭhí thíṉ.

62 Dúsre din, jo taiyárí ke baʻd ká din thá, sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ ne Pílátus ke pás jamaʻ hokar kahá;

63 Ḳhudáwand, hameṉ yád hai, ki us dhokebáz ne jíte jí kahá thá, ki Maiṉ tín din ke baʻd jí uṭhúṉgá.

64 Pas hukm de, ki tísre din tak qabr kí hifázat kí jáe, kahíṉ aisá na ho ki us ke shágird ákar use churá le jáeṉ aur logoṉ se kah deṉ, ki wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá: to yih pichhlá dhoká pahle se bhí burá hogá.

65 Pílátus ne un se kahá; Tumháre pás pahrewále haiṉ; jáo, jaháṉ tak tum se ho sake us kí hifázat karo.

66 Pas wuh pahrewáloṉ ko sáth lekar gaye, aur patthar par muhr karke qabr kí hifázat kí.

Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 28

1 Aur sabt ke baʻd hafte ke pahle din, pau phaṭte waqt, Maryam Magdalíní aur dúsrí Maryam qabr ko dekhne áíṉ.

2 Aur dekho, ek baṛá bhauṉchál áyá, kyúṉki Ḳhudáwand ká firishta ásmán se utrá, aur pás ákar patthar ko luṛkhá diyá, aur us par baiṭh gayá.

3 Us kí súrat bijlí kí mánind thí, aur us kí poshák barf kí mánind safed thí:

4 aur us ke dar ke máre nigahbán káṉp uṭhe, aur murda se ho gaye.

5 Firishte ne ʻauratoṉ se kahá; Tum na daro, kyúṉki maiṉ jántá húṉ, ki tum Yisúʻ ko ḍhúṉḍhtí ho, jo maslúb húá thá.

6 Wuh yaháṉ nahíṉ hai, kyúṉki apne kahne ke muwáfiq jí uṭhá haí; áo, yih jagah dekho, jaháṉ Ḳhudáwand paṛá thá;

7 aur jald jákar us ke shágirdoṉ se kaho, ki Wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai; aur dekho, wuh tum se pahlé Galíl ko játá hai; waháṉ tum use dekhoge; dekho, maiṉ ne tum se kah diyá.

8 Aur wuh ḳhauf aur baṛí ḳhushí ke sáth qabr se jald rawána hokar, us ke shágirdoṉ ko ḳhabar dene dauṛíṉ.

9 Aur dekho, Yisúʻ unheṉ milá, aur kahá; Salám. Unhoṉ ne pás ákar us ke qadam pakṛe, aur use sijda kiyá.

10 Is par Yisúʻ ne un se kahá; Daro nahíṉ; jáo, mere bháiyoṉ ko ḳhabar do, táki Galíl ko chale jáeṉ; waháṉ mujhe dekheṉge.

11 Jab wuh já rahí thíṉ, to dekho, pahrewáloṉ meṉ se baʻz ne shahr meṉ ákar tamám májará sardár káhinoṉ se bayán kiyá.

12 Aur unhoṉ ne buzurgoṉ ke sáth jamaʻ hokar saláh kí, aur sipáhíoṉ ko bahut rupaye diye aur bole;

13 Yih kah dená, ki Rát ko jab ham sote the, to us ke shágird ákar use churá le gaye.

14 Aur agar yih bát hákim ke kán tak pahuṉchí, to ham use samjhákar tumheṉ ḳhatre se bachá leṉge.

15 Pas unhoṉ ne rupaye lekar, jaisá sikháe gaye the, waisá hí kiyá; aur yih bát áj tak Yahúdíoṉ meṉ mashhúr hai.

16 Aur gyárah shágird Galíl ke us paháṛ par gaye, jo Yisúʻ ne un ke liye muqarrar kiyá thá.

17 Aur use dekhkar sijda kiyá, magar baʻz ne shakk kiyá.

18 Yisúʻ ne pás ákar un se báteṉ kíṉ, aur kahá, ki Ásmán aur zamín ka kull iḳhtiyár mujhe diyá gayá hai.

19 Pas tum jákar sab qaumoṉ ko shágird banáo, aur unheṉ Báp aur Beṭe aur Rúhuʼl Quds ke nám par baptisma do;

20 aur unheṉ yih taʻlím do, ki un sab bátoṉ par ʻamal kareṉ jin ká maiṉ ne tum ko hukm diyá; aur dekho, maiṉ dunyá ke áḳhir tak hamesha tumháre sáth húṉ.

Categories
Marqus kí Injíl

Marqus kí Injíl 1

1 Ḳhudá ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí ḳhushḳhabarí ká shurúʻ.

2 Jaisá Yashaʻyáh nabí ke sahífe meṉ likhá hai, ki

Dekh, maiṉ apná paigambar tere áge bhejtá húṉ,

Jo terí ráh taiyár karegá;

3 Biyábán meṉ pukárnewále kí áwáz átí hai, ki

Ḳhudáwand kí ráh taiyár karo,

Us ke ráste sídhe banáo;

4 Yúhanná áyá, aur biyábán meṉ baptisma detá, aur gunáhoṉ kí muʻáfí ke liye tauba ke baptisma kí manádí kartá thá.

5 Aur Yahúdiya ke mulk ke sab log aur Yarúshalem ke sab rahnewále nikalkar us ke pás gaye, aur apne gunáhoṉ ká iqrár karke daryá e Yardan meṉ us se baptisma liyá.

6 Aur Yúhanná úṉṭ ke báloṉ ká libás pahine, aur chamṛe ká paṭká apní kamar se báṉdhe rahtá, aur ṭiḍḍiyáṉ aur janglí shahd khátá thá;

7 aur yih manádí kartá thá, ki Mere baʻd wuh shaḳhs ánewálá hai, jo mujh se zoráwar hai; maiṉ is láiq nahíṉ ki jhukkar us kí jútiyoṉ ká tasma kholúṉ.

8 Maiṉ ne to tumheṉ pání se baptisma diyá, magar wuh tumheṉ Rúhuʼl Quds se baptisma degá.

9 Aur uṉ dinoṉ aisá húá, ki Yisúʻ ne Galíl ke Násarat se ákar Yardan meṉ Yúhanná se baptisma liyá.

10 Aur jab wuh pání se nikalkar úpar áyá, to fiʼlfaur us ne ásmán ko phaṭte, aur Rúh ko kabútar kí mánind apne úpar utarte dekhá:

11 aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai, tujh se maiṉ ḳhush húṉ.

12 Aur fiʼlfaur Rúh ne use biyábán meṉ bhej diyá.

13 Aur wuh biyábán meṉ chálís din tak Shaitán se ázmáyá gayá; aur janglí jánwaroṉ ke sáth rahá kiyá; aur firishte us kí ḳhidmat karte rahe.

14 Phir Yúhanná ke pakaṛwáe jáne ke baʻd Yisúʻ ne Galíl meṉ ákar Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí manádí kí,

15 aur kahá, ki Waqt púrá ho gayá hai, aur Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á gayí hai; tauba karo, aur ḳhushḳhabari ko máno.

16 Aur Galíl kí jhíl ke kanáre kanáre játe húe, us ne Shamaʻún aur Shamaʻún ke bháí Andriyás ko jhíl meṉ jál dálte dekhá; kyúṉki wuh machhliyoṉ ke pakaṛnewále the.

17 Aur Yisúʻ ne un se kahá; Mere píchhe chale áo, to maiṉ tumheṉ ádmíoṉ ká pakaṛnewálá banáúṉgá.

18 Wuh fiʼlfaur jáloṉ ko chhoṛkar us ke píchhe ho liye.

19 Aur thoṛí dúr baṛhkar, us ne Zabdí ke beṭe Yaʻqúb aur us ke bháí Yúhanná ko, kishtí par jáloṉ kí marammat karte dekhá.

20 Us ne fiʼlfaur unheṉ buláyá; aur wuh apne báp Zabdí ko kishtí par mazdúroṉ ke sáth chhoṛkar us ke píchhe chale gaye.

21 Phir wuh Kafarnahúm meṉ dáḳhil húe, aur wuh fiʼlfaur sabt ke din ʻibádatḳháne meṉ jákar taʻlím dene lagá.

22 Aur log us kí taʻlím se hairán húe; kyúṉki wuh un ko faqíhoṉ kí tarah nahíṉ, balki sáhib i iḳhtiyár kí tarah taʻlím detá thá.

23 Aur fiʼlfaur un ke ʻibádatḳháne meṉ ek shaḳhs milá, jis meṉ nápák rúh thí; wuh yúṉ kahkar chilláyá,

24 ki Ai Yisúʻ Násarí! hameṉ tujh se kyá kám? Kyá tú hameṉ halák karne áyá hai? Maiṉ tujhe jántá húṉ, ki tú kaun hai — Ḳhudá ká Quddús hai.

25 Yisúʻne use jhiṛakkar kahá, Chup rah, aur us meṉ se nikal já.

26 Pas wuh nápák rúh use maroṛkar, aur baṛí áwáz se chillákar, us meṉ se nikal gayí.

27 Aur sab log hairán húe, aur ápas meṉ yih kahkar bahs kame lage, ki Yih kyá hai? Yih to nayí taʻlím hai! Wuh nápák rúhoṉ ko bhí iḳhtiyár ke sáth hukm detá hai, aur wuh us ká hukm mántí haiṉ.

28 Aur fiʼlfaur us kí shuhrat Galíl kí us tamám nawáhí meṉ har jagah phail gayí.

29 Aur wuh fiʼlfaur ʻibádatḳháne se nikalkar, Yaʻqúb aur Yúhanná ke sáth Shamaʻún aur Andriyás ke ghar áe.

30 Shamaʻún kí sás tap meṉ paṛí thí, aur unhoṉ ne fiʼlfaur us kí ḳhabar use dí.

31 Us ne pás jákar, aur us ká háth pakaṛke, use uṭháyá, aur tap us par se utar gayí, aur wuh un kí ḳhidmat karne lagí.

32 Shám ko jab súraj dúb gayá, to log sáre bímároṉ ko aur un ko jin meṉ badrúheṉ thíṉ us ke pás láe.

33 Aur sárá shahr darwáze par jamaʻ ho gayá.

34 Aur us ne bahutoṉ ko, jo tarah tarah kí bímáríoṉ meṉ giriftár the, achchhá kiyá, aur bahut sí badrúhoṉ ko nikálá; aur badrúhoṉ ko bolne na diyá, kyúṉki wuh use pahchántí thíṉ.

35 Aur subh hí, din nikalne se bahut pahle, wuh uṭhkar niklá, aur ek wírán jagah meṉ gayá, aur waháṉ duʻá máṉgí.

36 Aur Shamaʻún aur us ke sáthí us ke píchhe gaye;

37 aur jab wuh milá, to us se kahá, ki Sab log tujhe ḍhúṉḍh rahe haíṉ.

38 Us ne un se kahá; Áo, ham âur kahíṉ ás pás ke shahroṉ meṉ chaleṉ, táki maiṉ waháṉ bhí manádí karúṉ, kyúṉki maiṉ isí liye niklá húṉ.

39 Aur wuh sáre Galíl meṉ un ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ já jákar manádí kartá, aur badrúhoṉ ko nikáltá rahá.

40 Aur ek koṛhí ne us ke pás ákar us kí minnat kí, aur us ke sámne ghuṭne ṭekkar us se kahá; Agar tú cháhe, to mujhe pák sáf kar saktá hai.

41 Us ne us par tars khákar háth baṛháyá, aur use chhúkar us se kahá; Maiṉ cháhtá húṉ, tú pák sáf ho já.

42 Aur fiʼlfaur us ká koṛh játá rahá, aur wuh pák sáf ho gayá.

43 Aur us ne use tákíd karke fiʼlfaur ruḳhsat kiyá,

44 aur us se kahá; Ḳhabardár, kisí se kuchh na kahná, magar jákar apne taíṉ káhin ko dikhá, aur apne pák sáf ho jáne kí bábat un chízoṉ ko jo Músá ne muqarrar kíṉ, nazr guzrán, táki un ke liye gawáhí ho.

45 Lekin wuh báhar jákar bahut charchá karne lagá, aur is bát ko aisá mashhúr kiyá, ki Yisúʻ shahr meṉ phir záhirá dáḳhil na ho saká, balki báhar wírán maqámoṉ meṉ rahá; aur log chároṉ taraf se us ke pás áte the.

Categories
Marqus kí Injíl

Marqus kí Injíl 2

1 Kaí din baʻd jab wuh Kafarnahúm meṉ phir dáḳhil húá, to suná gayá, ki wuh ghar meṉ hai.

2 Phir itne ádmí jamaʻ ho gaye, ki darwáze ke pás bhí jagah na rahí; aur wuh unheṉ kalám suná rahá thá.

3 Aur log ek maflúj ko chár ádmíoṉ se uṭhwákar us ke pás láe.

4 Magar jab wuh bhíṛ ke sabab us ke nazdík na á sake, to unhoṉ ne us chhat ko jaháṉ wuh thá khol diyá, aur use udheṛkar us chárpáí ko, jis par maflúj leṭá thá, laṭká diyá.

5 Yisúʻ ne, un ká ímán dekhkar, maflúj se kahá; Beṭá, tere gunáh muʻáf húe.

6 Magar waháṉ baʻz faqíh jo baiṭhe the, apne diloṉ meṉ sochne lagé, ki

7 Yih kyúṉ aisá kahtá hai? Kufr baktá hai. Gunáh kaun muʻáf kar saktá hai, siwá ek, yaʻní Ḳhudá ke?

8 Aur fiʼlfaur Yisúʻ ne apní rúh se maʻlúm karke, ki wuh apne diloṉ meṉ aisá sochte haiṉ, un se kahá; Tum kyúṉ apne diloṉ meṉ yih báteṉ sochte ho?

9 Ásán kyá hai, maflúj se yih kahná, ki Tere gunáh muʻáf húe: yá yih kahná, ki Uṭh, aur apní chárpáí uṭhákar chal phir?

10 Lekin is liye ki tum jáno, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáhoṉ ke muʻáf karne ká iḳhtiyár hai, (us ne us maflúj se kahá,)

11 Maiṉ tujh se kahtá húṉ; Uṭh, apní chárpáí uṭhákar apne ghar chalá já.

12 Aur wuh uthá, aur fiʼlfaur chárpáí uṭhákar un sab ke sámne báhar chalá gayá; chunáṉchi sab hairán ho gaye, aur Ḳhudá kí baṛáí karke bole; Ham ne aisá kabhí nahíṉ dekhá.

13 Wuh phir báhar jhíl ke kanáre gayá, aur sárí bhíṛ us ke pás áí, aur wuh unheṉ taʻlím dene lagá.

14 Jab wuh já rahá thá, to us ne Halfaí ke beṭe Lewí ko mahsúl kí chaukí par baiṭhe dekhá, aur us se kahá; Mere píchhe ho le. Pas wuh uṭhkar us ke píchhe ho liyá.

15 Aur aisá húá ki wuh us ke ghar meṉ kháná kháne baiṭhá, aur bahut se mahsúl lenewále aur gunahgár log Yisúʻ aur us ke shágirdoṉ ke sáth kháne baiṭhe; kyúṉki wuh bahut the, aur us ke píchhe ho liye the.

16 Aur Farísíoṉ ke faqíhoṉ ne use gunahgároṉ aur mahsúl lenewáloṉ ke sáth kháte dekhkar, us ke shágirdoṉ se kahá; Yih to mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ke sáth khátá pítá hai.

17 Yisúʻ ne sunkar un se kahá Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko: maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko buláne áyá húṉ.

18 Aur Yúhanná ke shágird aur Farísí roze se the; unhoṉ ne ákar us se kahá; Kyá sabab hai, ki Yúhanná ke aur Farísíoṉ ke shágird to roza rakhte haiṉ, magar tere shágird roza nahíṉ rakhte?

19 Yisúʻ ne un se kahá; Kyá barátí, jab tak dulhá un ke sáth hai, roza rakh sakte haiṉ? Jis waqt tak dulhá un ke sáth hai, wuh roza nahíṉ rakh sakte.

20 Magar wuh din áeṉge ki dulhá un se judá kiyá jáegá; us waqt wuh roza rakkheṉge.

21 Kore kapṛe ká paiwand purání poshák par koí nahíṉ lagátá; nahíṉ to wuh paiwand us poshák meṉ se kuchh kheṉch legá, yaʻní nayá purání se, aur wuh ziyáda phaṭ jáegí.

22 Aur nayí mai ko purání mashkoṉ meṉ koí nahíṉ bhartá; nahíṉ to mashkeṉ mai se phaṭ jáeṉgí, aur mai aur mashkeṉ donoṉ barbád ho jáeṉgí: balki nayí mai ko nayí mashkoṉ meṉ bharte haiṉ.

23 Aur aisá húá ki wuh Sabt ke din khetoṉ meṉ hokar já rahá thá; aur us ke shágird ráh meṉ chalte húe báleṉ toṛne lage.

24 Aur Farísíoṉ ne us sé kahá; Dekh, yih Sabt ke din wuh kám kyúṉ karte haiṉ jo rawá nahíṉ?

25 Us ne un se kahá; Kyá tum ne kabhí nahíṉ paṛhá, ki Dáúd ne kyá kiyá, jab us ko aur us ke sáthiyoṉ ko zarúrat húí aur wuh bhúke húe?

26 Wuh kyúṉkar sardár káhin Abiyátár ke ʻahd meṉ Ḳhudá ke ghar meṉ gayá, aur nazr kí roṭiyáṉ kháíṉ, jin ká kháná káhinoṉ ke siwá âur kisí ko rawá nahíṉ, aur apne sáthiyoṉ ko bhí díṉ?

27 Aur us ne un se kahá; Sabt ádmí ke wáste baná hai, na ki ádmí Sabt ke wáste:

28 pas Ibn i Ádam Sabt ká bhí málik hai.