1 Phir maiṉ ne ek naye ásmán, aur nayí zamín ko dekhá: kyúṉki pahlá ásmán aur pahlí zamín játí rahí thí; aur samundar bhí na rahá.
2 Phir maiṉ ne shahr i muqaddas, naye Yarúshalem ko ásmán par se Ḳhudá ke pás se utarte dekhá; aur wuh us dulhan kí mánind árásta thá, jis ne apne shauhar ke liye siṉgár kiyá ho.
3 Phir maiṉ ne taḳht meṉ se kisí ko baland áwáz se yih kahte suná, ki Dekh, Ḳhudá ká ḳhaima ádmíoṉ ke darmiyán hai; wuh un ke sáth ḳhaima karegá, aur wuh us ke log hoṉge, aur Ḳhudá áp un ke sáth rahegá, aur un ká Ḳhudá hogá:
4 aur wuh un kí áṉkhoṉ ke sab áṉsú poṉchh degá; is ke baʻd maut nahíṉ rahegí, aur na mátam rahegá, na áh o nála, na dard: pahlí chízeṉ játí rahíṉ.
5 Aur jo taḳht par baiṭhá húá thá, us ne kahá, ki Dekh, maiṉ sárí chízoṉ ko nayá baná detá húṉ. Phir us ne kahá, ki Likh le: kyúṉki yih báteṉ sach aur barhaqq haiṉ.
6 Phir us ne mujh se kahá, ki Yih báteṉ púrí ho gayíṉ. Maiṉ Alfa, aur Omiga, yaʻní ibtidá aur intihá húṉ. Maiṉ piyáse ko áb i hayát ke chashme se muft piláúṉgá.
7 Jo gálib áe, wuhí in chízoṉ ká wáris hogá; aur maiṉ us ká Ḳhudá húṉgá, aur wuh merá beṭá hogá.
8 Magar buzdiloṉ, aur beímánoṉ, aur ghinaune logoṉ, aur ḳhúníoṉ, aur harámkároṉ, aur jádúgaroṉ, aur butparastoṉ, aur sáre jhúṭhoṉ ká hissa ág aur gandhak se jalnewálí jhíl meṉ hogá; yih dúsrí maut hai.
9 Phir un sát firishtoṉ meṉ se, jin ke pás sát piyále the, aur wuh pichhlí sát áfatoṉ se bhare húe the, ek ne ákar mujh se kahá, ki Idhar á; maiṉ tujhe dulhan, yaʻní Barre kí bíwí, dikháúṉ.
10 Aur wuh mujhe Rúh meṉ ek baṛe aur úṉche paháṛ par le gayá, aur shahr i muqaddas Yarúshalem ko, ásmán par se Ḳhudá ke pás se utarte dikháyá;
11 us meṉ Ḳhudá ká jalál thá: aur us kí chamak niháyat qímatí patthar, yaʻní us yashab kí sí thí, jo billaur kí tarah shaffáf ho;
12 aur us kí shahrpanáh baṛí aur baland thí, aur us ke bárah darwáze, aur darwázoṉ par bárah firishte the, aur un par baní Isráíl ke bárah qabíloṉ ke nám likhe húe the:
13 tín darwáze mashríq kí taraf the; tín darwáze shimál kí taraf; tín darwáze junúb kí taraf; aur tín darwáze magrib kí taraf.
14 Aur us shahr kí shahrpanáh kí bárah bunyádeṉ thíṉ, aur un par Barre ke bárah rasúloṉ ke bárah nám likhe the.
15 Aur jo mujh se kah rahá thá, us ke pás, shahr aur us ke darwázoṉ aur us kí shahrpanáh ke nápne ke liye, ek paimáish ká ála, yaʻní sone ká gaz thá.
16 Aur wuh shahr chaukor wáqiʻ húá thá, aur us kí lambáí chauṛáí ke barábar thí: us ne shahr ko us gaz se nápá, to bárah hazár farláṉg niklá: us kí lambáí aur chauṛáí aur úṉcháí barábar thí.
17 Aur us ne us kí shahrpanáh ko ádmí kí, yaʻní firishte kí, paimáish ke mutábiq nápá, to ek sau chauálís háth niklí.
18 Aur us kí shahrpanáh kí taʻmír yashab kí thí: aur shahr aise ḳhális sone ká thá, jo shaffáf shíshe kí mánind ho.
19 Aur us shahr kí shahrpanáh kí bunyádeṉ har tarah ke jawáhir se árásta thíṉ. Pahlí bunyád yashab kí thí; dúsrí nílam kí; tísrí shabchirág kí; chauthí zumurrud kí;
20 páṉchwíṉ ʻaqíq kí; chhaṭí laʻl kí; sátwíṉ sunahre patthar kí; áṭhwíṉ fíroze kí; nawíṉ zabarjad kí; daswíṉ yamaní kí; gyárahwíṉ saṉg i sumbulíkí, aur bárahwíṉ yáqút kí.
21 Aur bárah darwáze bárah motiyoṉ ke the; har darwáza ek ek motí ká thá; aur shahr kí saṛak shaffáf shíshe kí mánind ḳhális sone ki thí.
22 Aur maiṉ ne us meṉ koí maqdis na dekhá: is liye ki Ḳhudáwand Ḳhudá Qádir i mutlaq, aur Barra us ká maqdis haiṉ.
23 Aur us shahr meṉ súraj yá chánd kí raushní kí kuchh hájat nahíṉ; kyúṉki Ḳhudá ke jalál ne use raushan kar rakkhá hai, aur Barra us ká chirág hai.
24 Aur qaumeṉ us kí raushní meṉ chaleṉ phireṉgí; aur zamín ke bádsháh apní shán o shaukat ká sámán us meṉ láeṉge.
25 Aur us ke darwáze din ko hargiz band na hoṉge, (aur rát waháṉ na hogí:)
26 aur log qaumoṉ kí shán o shaukat aur ʻizzat ká sámán us meṉ láeṉge:
27 aur us meṉ koí nápák chíz, yá koí shaḳhs jo ghinaune kám kartá, yá jhúṭhí báteṉ ghaṛtá hai, hargiz dáḳhil na hogá, magar wuhí jin ke nám Barre kí kitáb i hayát meṉ likhe húe haiṉ.