Categories
Aʻmál

Aʻmál 19

1 Aur Jab Apullos Kurinthus meṉ thá, to aisá húá ki Paulus úpar ke ʻiláqe se guzarkar Ifisus meṉ áyá, aur kaí shágirdoṉ ko dekhkar

2 un se kahá; Kyá tum ne ímán láte waqt Rúhuʼl Quds páyá? Unhoṉ ne us se kahá, ki Ham ne to suná bhí nahín, ki Rúhuʼl Quds názil húá hai.

3 Us ne kahá; Pas tum ne kis ká baptisma liyá? Unhoṉ ne kahá; Yúhanná ká baptisma.

4 Paulus ne kahá; Yúhanná ne logoṉ ko yih kahkar tauba ká baptisma diyá, ki Jo mere píchhe ánewálá hai, us par, yaʻní Yisúʻ par, ímán láná.

5 Unhoṉ ne yih sunkar Ḳhudáwand Yisúʻ ke nám ká baptisma liyá.

6 Jab Paulus ne un par háth rakkhe, to Rúhuʼl Quds un par názil húá, aur wuh tarah tarah kí zabáneṉ bolne, aur nubuwwat karne lage.

7 Aur wuh sab taḳhmínan bárah ádmí the.

8 Phir wuh ʻibádatḳháne meṉ jákar tín mahíne tak dilerí se boltá rahá, aur Ḳhudá kí bádsháhat kí bábat bahs kartá, aur logoṉ ko qáil kartá rahá.

9 Lekin jab baʻz saḳhtdil aur náfarmán ho gaye, balki logoṉ ke sámne is Taríq ko burá kahne lage, to us ne un se kanára karke shágirdoṉ ko alag kar liyá, aur har roz Turannus ke madrase meṉ bahs kiyá kartá thá.

10 Do baras tak yihí hotá rahá, yaháṉ tak ki Ásiya ke rahnewaloṉ, kyá Yahúdí kyá Yúnání, sab ne Ḳhudáwand ká kalám suná.

11 Aur Ḳhudá Paulus ke háthoṉ se ḳháss ḳháss muʻjize dikhátá thá;

12 yaháṉ tak ki rúmál aur paṭke us ke badan se chhuwákar bímároṉ par ḍále játe the, aur un kí bímáríáṉ játí rahtí thíṉ, aur burí rúheṉ un meṉ se nikal játí thíṉ.

13 Magar baʻz Yahúdíoṉ ne jo jháṛáphúṉkí karte phirte the, yih iḳhtiyár kiyá, ki jin meṉ burí rúheṉ hoṉ, un par Ḳhudáwand Yisúʻ ká nám yih kah kahkar phúṉkeṉ, ki Jis Yisúʻ kí Paulus manádí kartá hai, maiṉ tum ko usí kí qasam detá húṉ.

14 Aur Skiwá Yahúdí sardár káhin ke sát beṭe aisá kiyá karte the.

15 Burí rúh ne jawáb meṉ un se kahá, ki Yisúʻ ko to maiṉ jántí húṉ, aur Paulus se bhí wáqif húṉ, magar tum kaun ho?

16 Aur wuh shaḳhs jis par burí rúh thí, kúdkar un par já paṛá; aur donoṉ par gálib ákar aisí ziyádatí kí, ki wuh naṉge aur zaḳhmí hokar us ghar se nikal bháge.

17 Aur yih bát Ifisus ke sab rahnewále Yahúdíoṉ aur Yúnáníoṉ ko maʻlúm ho gayí; pas sab par ḳhauf chhá gayá; aur Ḳhudáwand Yisúʻ ke nám kí buzurgí húí.

18 Aur jo ímán láe the, un meṉ se bahuteroṉ ne ákar apne apne kámoṉ ká iqrár aur izhár kiyá.

19 Aur bahut se jádú karnewáloṉ ne apní apní kitábeṉ ikaṭṭhí karke, sab logoṉ ke sámne jalá díṉ: aur jab un kí qímat ká hisáb húá, to pachás hazár rupaye kí niklíṉ.

20 Isí tarah Ḳhudáwand ká kalám zor pakaṛkar phailtá aur gálib hotá gayá.

21 Jab yih ho chuká, to Paulus ne jí meṉ ṭháná, ki Makiduniya aur Aḳhaya se hokar Yarúshalem ko jáúṉgá; aur kahá, ki Waháṉ jáne ke baʻd mujhe Roma bhí dekhná zarúr hai.

22 Pas apne ḳhidmatguzároṉ meṉ se do shaḳhs, yaʻní Tímuthiyus aur Irástus ko Makiduniya meṉ bhejkar, áp kuchh ʻarsa Ásiya meṉ rahá.

23 Us waqt is Taríq kí bábat baṛá fasád uṭhá.

24 Kyúṉki Demetriyus nám ek sunár tha, jo Artimis ke rúpahle mandir banwákar us peshewáloṉ ko bahut kamwá detá thá.

25 Us ne un ko, aur un ke mutaʻalliq âur peshewáloṉ ko jamaʻ karke kahá, ki Ai logo, tum jánte ho ki hamárí ásúdagí isí kám kí badaulat hai.

26 Aur tum dekhte aur sunte ho, ki sirf Ifisus hí meṉ nahíṉ, balki taqríban tamám Ásiya meṉ is Paulus ne bahut se logoṉ ko yih kahkar qáil aur gumráh kar diyá hai, ki jo háth ke banáe húe haiṉ, wuh Ḳhudá nahíṉ haiṉ:

27 pas sirf yihí ḳhatra nahíṉ, ki hamárá pesha beqadr ho jáegá; balki baṛí dewí Artimis ká mandir bhí náchíz ho jáegá, aur jise tamám Ásiya aur sárí dunyá pújti hai, ḳhud us kí bhí ʻazmat játí rahegí.

28 Wuh yih sunkar gusse meṉ bhar gaye, aur chillá chillákar kahne lage, ki Ifisíoṉ kí Artimis baṛí hai.

29 Aur tamám shahr meṉ halchal paṛ gayí: aur logoṉ ne Gayus aur Aristarḳhus Makiduniyawáloṉ ko, jo Paulus ke hamsafar the, pakaṛ liyá, aur ek dil hokar tamáshagáh kó dauṛe.

30 Jab Paulus ne majmaʻ meṉ jáná cháhá, to shágirdoṉ ne jáne na diyá.

31 Aur Ásiya ke hákimoṉ meṉ se us ke baʻz dostoṉ ne ádmí bhejkar us kí minnat kí, ki tamáshagáh meṉ jáne kí jurʼat na karná.

32 Aur baʻz kuchh chilláe, aur baʻz kuchh: kyúṉki majlis darham barham ho gayí thí; aur aksar logoṉ ko yih bhí ḳhabar na thí, ki ham kis liye ikaṭṭhe húe haiṉ.

33 Phir unhoṉ ne Iskandar ko, jise Yahúdí pesh karte the, bhíṛ meṉ se nikálkar áge kar diyá; aur Iskandar ne háth se ishára karke majmaʻ ke sámne ʻuzr bayán karná cháhá.

34 Jab unheṉ maʻlúm húá ki yih Yahúdí hai, to sab hamáwáz hokar koí do ghanṭe tak chilláte rahe, ki Ifisíoṉ kí Artimis baṛí hai.

35 Phir shahr ke muharrir ne logoṉ ko ṭhanḍá karke kahá, ki Ai Ifisío, kaun sá ádmí nahíṉ jántá, ki Ifisíoṉ ká shahr baṛí dewí Artimis ke mandir aur us múrat ká muháfiz hai, jo Zyús kí taraf se girí thí?

36 Pas jab koí in bátoṉ ke ḳhiláf nahíṉ kah saktá, to wájib hai ki tum itmínán se raho, aur besoche kuchh na karo.

37 Kyúṉki yih log jin ko tum yaháṉ láe ho, na mandir ke lúṭnewále haiṉ, na hamárí dewí kí badgoí karnewále.

38 Pas agar Demetriyus aur us ke hampesha kisí par daʻwá rakhte hoṉ, to ʻadálat khulí hai, aur súbe maujúd haiṉ: ek dúsre par nálish kareṉ.

39 Aur agar tum kisí âur amr kí tahqíqát cháhte ho, to bázábita majlis meṉ faisala hogá.

40 Kyúṉki áj ke balwe ke sabab hameṉ apne úpar nálish hone ká andesha hai, is liye ki is kí koí wajh nahíṉ hai: aur is súrat meṉ ham is hangáme kí jawábdihí na kar sakeṉge.

41 Yih kahkar us ne majlis ko barḳhwást kiyá.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *