Categories
Romíoṉ

Romíoṉ 2

1 Pas ai ilzám lagánewále, tú koí kyúṉ na ho, tere pás koí ʻuzr nahíṉ; kyúṉki jis bát ká tú dúsre par ilzám lagátá hai, usí ká tú apne áp ko mujrim ṭhahrátá hai; is liye ki tú jo ilzám lagátá hai, ḳhud wuhí kám kartá hai.

2 Aur ham jánte haiṉ ki aise kám karnewáloṉ kí ʻadálat Ḳhudá kí taraf se haqq ke mutábiq hotí hai.

3 Ai insán, tú jo aise kam karnewáloṉ par ilzám lagátá hai, aur ḳhud wuhí kám kartá hai, kyá yih samajhtá hai, ki tú Ḳhudá kí ʻadálat se bach jáegá?

4 Yá tú us kí mihrbání aur tahammul aur sabr kí daulat ko náchíz jántá hai, aur nahíṉ samajhtá ki Ḳhudá kí mihrbání tujh ko tauba kí taraf máil kartí hai?

5 Balki tú apní saḳhtí aur gairtáib dil ke mutábiq us qahr ke din ke liye apne wáste gazab kamá rahá hai, jis meṉ Ḳhudá kí sachchí ʻadálat záhir hogí.

6 Wuh har ek ko us ke kámoṉ ke muwáfiq badla degá:

7 jo nekokárí meṉ sábitqadam rahkar jalál aur ʻizzat aur baqá ke tálib hote haiṉ, un ko hamesha kí zindagí degá;

8 magar jo tafriqa andáz aur haqq ke na mánnewále, balki nárástí ke mánnewále haiṉ, un par gazab aur qahr hogá;

9 aur musíbat aur tangí har ek badkár kí ján par áegí, pahle Yahúdí kí, phir Yúnání kí.

10 Magar jalál aur ʻizzat aur salámatí har ek nekokár ko milegí, pahle Yahúdí ko, phir Yúnání ko:

11 kyúṉki Ḳhudá ke háṉ kisí kí tarafdárí nahíṉ.

12 Is liye ki jinhoṉ ne bagair sharíʻat páe gunáh kiyá, wuh bagair sharíʻat ke halák bhí hoṉge: aur jinhoṉ ne sharíʻat ke mátaht hokar gunáh kiyá, un kí sazá sharíʻat ke muwáfiq hogí; (

13 kyúṉki sharíʻat ke sunnewále Ḳhudá ke nazdík rástbáz nahíṉ hote, balki sharíʻat par ʻamal karnewále rástbáz ṭhahráe jáeṉge.

14 Is liye ki jab wuh qaumeṉ jo sharíʻat nahíṉ rakhtíṉ, apní tabíʻat se sharíʻat ke kám kartí haiṉ, to báwujúd sharíʻat na rakhne ke, wuh apne liye ḳhud ek sharíʻat haiṉ.

15 Chunáṉchi wuh sharíʻat kí báteṉ apne diloṉ par likhí húí dikhátí haiṉ, aur un ká dil bhí un bátoṉ ki gawáhí detá hai; aur un ke báhamí ḳhayálát yá to un par ilzám lagáte haiṉ, yá un ko maʻzúr rakhte haiṉ;)

16 jis roz Ḳhudá merí ḳhushḳhabarí ke mutábiq Yisúʻ Masíh kí maʻrifat ádmíoṉ kí poshída bátoṉ ká insáf karegá.

17 Pas agar tú Yahúdí kahlátá, aur sharíʻat par takya aur Ḳhudá par faḳhr kartá hai,

18 aur us kí marzí jántá, aur sharíʻat kí taʻlím pákar ʻumda ʻumda báteṉ pasand kartá hai;

19 aur agar tujh ko is bát par bhí bharosá hai, ki maiṉ andhoṉ ká rahnumá, aur andhere meṉ paṛe húoṉ ke liye raushní,

20 aur nádánoṉ ká tarbíyat karnewálá, aur bachchoṉ ká ustád húṉ, aur ʻilm aur haqq ká jo namúna sharíʻat meṉ hai, wuh mere pás hai;

21 pas tú jo auroṉ ko sikhátá hai, apne áp ko kyúṉ nahíṉ sikhátá? Tú jo waʻz kartá hai ki chorí na karná, áp ḳhud kyúṉ chorí kartá hai?

22 Tú jo kahtá hai ki ziná na karná, áp ḳhud kyúṉ ziná kartá hai? Tú jo butoṉ se nafrat rakhtá hai, áp ḳhud kyúṉ mandiroṉ ko lúṭtá hai?

23 Tú jo sharíʻat par faḳhr kartá hai, sharíʻat ke ʻudúl se Ḳhudá kí kyúṉ beʻizzatí kartá hai?

24 Kyúṉki Tumháre sabab se gairqaumoṉ meṉ Ḳhudá ke nám par kufr baká játá hai; chunáṉchi yih likhá bhí hai.

25 Ḳhatne se fáida to hai, basharte ki tú sharíʻat par ʻamal kare: lekin jab tú ne sharíʻat se ʻudúl kiyá, to terá ḳhatna námaḳhtúní ṭhahrá.

26 Pas agar námaḳhtún shaḳhs sharíʻat ke hukmoṉ par ʻamal kare, to kyá us kí námaḳhtúní ḳhatne ke barábar na giní jáegí?

27 Aur jo shaḳhs qaumíyat ke sabab se námaḳhtún rahá, agar wuh sharíʻat ko púrá kare, to kyá tujhe, jo báwujúd kalám aur ḳhatne ke sharíʻat se ʻudúl kartá hai, qusúrwár na ṭhahráegá?

28 Kyúṉki wuh Yahúdí nahíṉ, jo záhir ká hai; aur na wuh ḳhatna hai, jo záhirí aur jismání hai:

29 balki Yahúdí wuhí hai, jo bátin meṉ hai; aur ḳhatna wuhí hai, jo dil ká aur rúhání hai, na ki lafzí; aise kí taʻríf ádmíoṉ kí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se hotí hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *