Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 12

1 Phir ásmán par ek baṛá nishán dikháí diyá, yaʻní ek ʻaurat nazar áí, jo áftáb ko oṛhe húe thí, aur chánd us ke páṉwoṉ ke níche thá, aur bárah sitároṉ ká táj us ke sir par;

2 wuh hámila thí, aur dard i zih meṉ chillátí thí, aur bachcha janne kí taklíf meṉ thí.

3 Phir ek âur nishán ásmán par dikháí diyá, yaʻní ek baṛá lál azhdahá; us ke sát sir aur das síṉg the, aur us ke siroṉ par sát táj.

4 Aur us kí dum ne ásmán ke tiháí sítáre kheṉchkar zamín par ḍál diye: aur wuh azhdahá us ʻaurat ke áge já khaṛá húá, jo janne ko thí, táki jab wuh jane, to us ke bachche ko nigal jáe.

5 Aur wuh beṭá janí, yaʻní wuh laṛká jo lohe ke ʻasá se sab qaumoṉ par hukúmat karegá; aur us ká bachcha yakáyak Ḳhudá aur us ke taḳht ke pás tak pahuṉchá diyá gayá.

6 Aur wuh ʻaurat us biyábán ko bhág gayí, jaháṉ Ḳhudá kí taraf se us ke liye ek jagah taiyár kí gayí thí, táki waháṉ ek hazár do sau sáṭh din tak us kí parwarish kí jáe.

7 Phir ásmán par laṛáí húí: Míkáíl aur us ke firishte azhdahe se laṛne ko nikle; aur azhdahá aur us ke firishte un se laṛe;

8 lekin gálib na áe, aur is ke baʻd ásmán par un ke liye jagah na rahí.

9 Aur wuh baṛá azhdahá, yaʻní wuhí puráná sáṉp jo Iblís aur Shaitán kahlátá hai, aur sáre jahán ko gumráh kar detá hai, zamín par girá diyá gayá, aur us ke, firishte bhí us ke sáth girá diye gaye.

10 Phir maiṉ ne ásmán par se yih baṛí áwáz átí suní, ki Ab hamáre Ḳhudá kí naját, aur qudrat, aur bádsháhat, aur us ke Masíh ká iḳhtiyár záhir húá; kyúṉki hamáre bháiyoṉ par ilzám lagánewálá, jo rát din hamáre Ḳhudá ke áge un par ilzám lagáyá kartá hai, girá diyá gayá.

11 Aur wuh Barre ke ḳhún, aur apní gawáhí ke kalám ke báʻis us par gálib áe; aur unhoṉ ne apní ján ko ʻazíz na samjhá, yaháṉ tak ki maut bhí gawárá kí.

12 Pas, ai ásmáno, aur un ke rahnewálo, ḳhushí manáo. Ai ḳhushkí aur tarí, tum par afsos hai; kyúṉki Iblís baṛe gusse meṉ tumháre pás utarkar áyá hai, is liye ki jántá hai, ki merá thoṛá hí sá waqt báqí hai.

13 Aur jab azhdahe ne dekhá, ki maiṉ zamín par girá diyá gayá húṉ, to us ʻaurat ko satáyá, jo beṭá janí thí.

14 Aur us ʻaurat ko baṛe ʻuqáb ke do par diye gaye, táki sáṉp ke sámne se uṛkar biyábán meṉ apní us jagah pahuṉch jáe, jaháṉ ek zamáne, aur zamánoṉ, aur ádhe zamáne tak us kí parwarish kí jáegí.

15 Aur sáṉp ne us ʻaurat ke píchhe apne muṉh se nadí kí tarah pání baháyá, táki us ko is nadí se bahá de.

16 Magar zamín ne us ʻaurat kí madad kí, aur apná muṉh kholkar us nadí ko pí liyá, jo azhdahe ne apne muṉh se baháí thí.

17 Aur azhdahe ko ʻaurat par gussa áyá, aur us kí báqí aulad se, jo Ḳhudá ke hukmoṉ par ʻamal kartí hai, aur Yisúʻ kí gawáhí dene par qáim hai, laṛne ko gayá:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *