Categories
I Kurinthíoṉ

I Kurinthíoṉ 2

1 Aur ai bháiyo, jab maiṉ tumháre pás áyá aur tum meṉ Ḳhudá ke bhed kí manádí karne lagá, to aʻlá darje kí taqrír yá hikmat ke sáth nahíṉ áyá.

2 Kyúṉki maiṉ ne yih iráda kar liyá thá, ki tumháre darmiyán Yisúʻ Masíh, balki Masíh i maslúb ke siwá, âur kuchh na jánúṉgá.

3 Aur maiṉ kamzorí, aur ḳhauf, aur bahut thartharáne kí hálat meṉ tumháre pás rahá.

4 Aur merí taqrír aur merí manádí meṉ hikmat kí lubhánewálí báteṉ na thíṉ, balki wuh Rúh aur qudrat se sábit hotí thí:

5 táki tumhárá ímán insánoṉ kí hikmat par nahíṉ, balki Ḳhudá kí qudrat par mauqúf ho.

6 Phir bhí kámiloṉ meṉ ham hikmat kí báteṉ kahte haíṉ: lekin is jahán kí, aur is jahán ke nest honewále sardároṉ kí hikmat nahíṉ:

7 balki ham Ḳhudá kí wuh poshída hikmat bhed ke taur par bayán karte haiṉ, jo Ḳhudá ne jahán ke shurúʻ se peshtar hamáre jalál ke wáste muqarrar kí thí:

8 jise is jahán ke sardároṉ meṉ se kisí ne na samjhá; kyúṉki agar samajhte, to jalál ke Ḳhudáwand ko salíb na dete:

9 balki jaisá likhá hai, waisá hí húá, ki

Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ,

Na ádmí ke dil meṉ áíṉ,

Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár kar díṉ

10 Lekin ham par Ḳhudá ne un ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí báteṉ bhí daryáft kar letí hai.

11 Kyúṉki insánoṉ meṉ se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai? Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá kí báteṉ nahíṉ jántá.

12 Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ.

13 Aur ham ín bátoṉ ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ, balki un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se muqábala karte haiṉ.

14 Magar nafsání ádmí Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par parkhí játí haiṉ.

15 Lekin rúhání shaḳhs sab bátoṉ ko parakh letá hai, magar ḳhud kisí se parkhá nahíṉ játá.

16 Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *