Categories
II Kurinthíoṉ

II Kurinthíoṉ 7

1 Pas ai ʻazízo, chúṉki ham se aise waʻde kiye gaye, to áo, apne áp ko har tarah kí jismání aur rúhání álúdagí se pák kareṉ, aur Ḳhudá ke ḳhauf ke sáth pákízagí ko kamál tak pahuṉcháeṉ.

2 Ham ko apne dil meṉ jagah do: ham ne kisí se beinsáfí nahíṉ kí, kisí ko nahíṉ bigáṛá, kisí se dagá nahíṉ kí.

3 Maiṉ tumheṉ mujrim ṭhahráne ke liye yih nahíṉ kahtá: kyúṉki pahle hí kah chuká húṉ, ki tum hamáre diloṉ meṉ aise bas gaye ho, ki ham tum ek sáth mareṉ aur jíeṉ.

4 Maiṉ tum se baṛí dilerí ke sáth báteṉ kartá húṉ, mujhe tum par baṛá faḳhr hai: mujh ko púrí tasallí ho gayí hai; jitní musíbateṉ ham par átí haiṉ, un sab meṉ merá dil ḳhushí se labrez rahtá hai.

5 Kyúṉki jab ham Makiduniya meṉ áe, us waqt bhi hamáre jism ko chain na milá, balki har taraf se musíbat meṉ giriftár rahe; báhar laṛáiyáṉ thíṉ, andar dahshateṉ.

6 Táham ʻájizoṉ ko tasallí baḳhshnewále, yaʻní Ḳhudá ne Titus ke áne se ham ko tasallí baḳhshí;

7 aur na sirf us ke áne se, balki us kí us tasallí se bhí, jo us ko tumhárí taraf se húí; aur us ne tumhárá ishtiyáq, tumhárá gam, aur tumhárá josh, jo merí bábat thá, ham se bayán kiyá, jis se maiṉ âur bhí ḳhush húá.

8 Go maiṉ ne tum ko apne ḳhatt se gamgín kiyá, magar us se pachhtátá nahíṉ, agarchi pahle pachhtátá thá. Chunáṉchi dekhtá húṉ, ki us ḳhatt se tum ko gam húá, go thoṛe hí ʻarse tak rahá.

9 Ab maiṉ is liye ḳhush nahíṉ húṉ, ki tum ko gam húá, balki is liye ki tumháre gam ká anjám tauba húá: kyúṉki tumhárá gam ḳhudáparastí ká thá, táki tum ko hamárí taraf se kisí tarah ká nuqsán na ho.

10 Kyúṉki ḳhudáparastí ká gam aisí tauba paidá kartá hai, jis ká anjám naját hai, aur us se pachhtáná nahíṉ paṛtá: magar dunyá ká gam maut paidá kartá hai.

11 Pas dekho, isí bát ne, ki tum ḳhudáparastí ke taur par gamgín húe, tum meṉ kis qadr sargarmí, aur ʻuzr, aur ḳhafagí, aur ḳhauf, aur ishtiyáq, aur josh, aur intiqám paidá kiyá! Tum ne har tarah se sábit kar dikháyá, ki tum is amr meṉ barí ho.

12 Pas agarchi maiṉ ne tum ko likhá thá, magar na us ke báʻis likhá, jis ne beinsáfí kí, aur na us ke báʻis jis par beinsáfí húí, balki is liye ki tumhárí sargarmí jo hamáre wáste hai, Ḳhudá ke huzúr tum par záhir ho jáe.

13 Isí liye ham ko tasallí húí hai: aur hamárí is tasallí meṉ ham ko Titus kí ḳhushí ke sabab âur bhí ziyáda ḳhushí húí, kyúṉki tum sab ke báʻis us kí rúh phir táza ho gayí.

14 Aur agar maiṉ ne us ke samne tumhárí bábat kuchh faḳhr kiyá, to sharminda na húá; balki jis tarah ki ham ne sárí báteṉ tum se sach sach kahíṉ, isí tarah jo faḳhr ham ne Titus ke sámne kiyá, wuh bhi sach niklá.

15 Aur jab us ko tum sab kí farmánbardárí yád átí hai, ki tum kis tarah ḍarte aur káṉpte húe us se mile, to us kí dilí mahabbat tum se âur bhí ziyáda hotí játí hai.

16 Maiṉ ḳhush húṉ, ki har bát meṉ tumhárí taraf se merí ḳhátirjamaʻ hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *