Categories
I Thissaluníkíoṉ

I Thissaluníkíoṉ 3

1 Is wáste jab ham ziyáda bardásht na kar sake, to Athene meṉ akelá rah jáná manzúr kiyá;

2 aur ham ne Tímuthiyus ko jo hamárá bháí, aur Masíh kí ḳhushḳhabarí meṉ Ḳhudá ká ḳhádim hai, is liye bhejá ki wuh tumheṉ mazbút kare aur tumháre ímán ke báre meṉ tumheṉ nasíhat kare,

3 ki in musíbatoṉ ke sabab koí na ghabráe; kyúṉki tum áp jánte ho, ki ham in hí ke liye muqarrar húe haiṉ.

4 Balki pahle bhí, jab ham tumháre pás the, to tum se kahá karte the, ki hameṉ musíbat uṭhání hogí; chunáṉchi aisá hí húá, aur tumheṉ maʻlúm bhí hai.

5 Is wáste jab maiṉ âur ziyáda bardásht na kar saká, to tumháre ímán ká hál daryáft karne ko bhejá, kahíṉ aisá na húá ho ki ázmánewále ne tumheṉ ázmáyá ho, aur hamárí mihnat befáida gayí ho.

6 Magar ab jo Tímuthiyus ne tumháre pás se hamáre pás ákar tumháre ímán aur mahabbat kí, aur is bát kí ḳhushḳhabarí dí, ki tum hamárá zikr i ḳhair hamesha karte ho, aur hamáre dekhne ke aise mushtáq ho, jaise ki ham tumháre;

7 is liye ai bháiyo, ham ne apní sárí ihtiyáj aur musíbat meṉ tumháre ímán ke sabab se tumháre báre meṉ tasallí páí:

8 kyúṉki ab, agar tum Ḳhudáwand meṉ qáim ho, to ham zinda haiṉ.

9 Tumháre báʻis apne Ḳhudá ke sámne hameṉ jis qadr ḳhushí hásil hai, us ke badle meṉ kis tarah tumhárí bábat Ḳhudá ká shukr adá kareṉ?

10 Ham rát din bahut hí duʻá máṉgte rahte haiṉ, ki tumhárí súrat dekheṉ, aur tumháre ímán kí kamí púrí kareṉ.

11 Ab hamárá Ḳhudá aur Báp ḳhud, aur hamárá Ḳhudáwand Yisúʻ tumhárí taraf hamárí rahbarí kare:

12 aur Ḳhudáwand aisá kare ki jis tarah ham ko tum se mahabbat hai, usí tarah tumhárí mahabbat bhí, ápas meṉ aur sab ádmíoṉ ke sáth, ziyáda ho aur baṛhe;

13 táki wuh tumháre diloṉ ko aisá mazbút kar de, ki jab hamárá Ḳhudáwand Yisúʻ apne sab muqaddasoṉ ke sáth áe, to wuh hamáre Ḳhudá aur Báp ke sámne pákízagí meṉ beʻaib ṭhahreṉ.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *