Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 5

1 Aur jo taḳht par baiṭhá thá, maiṉ ne us ke dahine háth meṉ ek kitáb dekhí, jo andar se aur báhar se likhí húí thí, aur use sát muhreṉ lagákar band kiyá gayá thá.

2 Phir maiṉ ne ek zoráwar firishte ko baland áwáz se yih manádí karte dekhá, ki Kaun is kitáb ke kholne aur us kí muhreṉ toṛne ke láiq hai?

3 Aur koí shaḳhs ásmán par, yá zamín par, yá zamín ke níche, us kitáb ke kholne, yá us par nazar karne ke qábil na niklá.

4 Aur maiṉ is bát par zár zár rone lagá, ki koí us kitáb ke kholne, yá us par nazar karne ke láiq na niklá;

5 tab un buzurgoṉ meṉ se ek ne mujh se kahá, ki Ro nahíṉ: dekh, Yahúdáh ke qabíle ká wuh Babar, jo Dáúd kí asl hai, us kitáb aur us kí sátoṉ muhroṉ ke kholne ke liye gálib áyá.

6 Aur maiṉ ne us taḳht aur chároṉ jándároṉ aur un buzurgoṉ ke bích meṉ, goyá zabh kiyá húá ek Barra khaṛá dekhá; us ke sát síṉg aur sát áṉkheṉ thíṉ: yih Ḳhudá kí sátoṉ rúheṉ haiṉ, jo tamám rú e zamín par bhejí gayí haiṉ.

7 Us ne ákar taḳht par baiṭhe húe ke dahine háth se us kitáb ko le liyá.

8 Jab us ne kitáb le lí, to wuh chároṉ jándár aur chaubís buzurg us Barre ke sámne gir paṛe; aur har ek ke háth meṉ barbat, aur ʻúd se bhare húe sone ke piyále the; yih muqaddasoṉ kí duʻáeṉ haiṉ.

9 Aur wuh yih nayá gít gáne lage, ki Tú hí is kitáb ke lene, aur us kí muhreṉ kholne ke láiq hai, kyúṉki tú ne zabh hokar apne ḳhún se har ek qabíle, aur ahl i zabán, aur ummat, aur qaum meṉ se Ḳhudá ke wáste logoṉ ko ḳharíd liyá;

10 aur un ko hamáre Ḳhudá ke liye ek bádsháhat aur káhin baná diyá; aur wuh zamín par bádsháhí karte haiṉ.

11 Aur jab maiṉ ne nigáh kí, to us taḳht aur un jándároṉ aur buzurgoṉ ke girdágird bahut se firishtoṉ kí áwáz suní, jin ká shumár lákhoṉ aur kaṛoṛoṉ thá;

12 aur wuh baland áwáz se kahte the, ki Zabh kiyá húá Barra hí qudrat, aur daulat, aur hikmat, aur táqat, aur ʻizzat, aur tamjíd, aur hamd ke láiq hai.

13 Phir maiṉ ne ásmán, aur zamín, aur zamín ke níche kí, aur samundar kí sab maḳhlúqát ko, yaʻní sárí chízoṉ ko jo un meṉ haiṉ, yih kahte suná, ki Jo taḳht par baiṭhá hai, us kí aur Barre kí hamd, aur ʻizzat, aur tamjíd, aur saltanat abaduʼl ábád rahe.

14 Aur chároṉ jándároṉ ne Ámín kahí, aur buzurgoṉ ne girkar sijda kiyá.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *