Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 18

1 In bátoṉ ke baʻd maiṉ ne ek âur firishte ko ásmán par se utarte húe dekhá, jise baṛá iḳhtiyár thá; aur zamín us ke jalál se raushan ho gayí.

2 Us ne baṛí áwáz se chillákar kahá, ki Gir paṛá, baṛá shahr i Bábil gir paṛá, aur shayátín ká maskan, aur har nápák rúh ká aḍḍá, aur har nápák aur makrúh parande ká aḍḍá ho gayá.

3 Kyúṉki us kí harámkárí kí gazabnák mai ke báʻis tamám qaumeṉ gir gayí haiṉ, aur zamín ke bádsháhoṉ ne us ke sáth harámkárí kí hai; aur dunyá ke saudágar us ke ʻaish o ʻishrat kí badaulat daulatmand ho gaye.

4 Phir maiṉ ne ásmán meṉ kisí âur ko yih kahte húe suná, ki Ai merí ummat ke logo, us meṉ se nikal áo, táki tum us ke gunáhoṉ meṉ sharík na ho; aur us kí áfatoṉ meṉ se koí tum par na á jáe.

5 Kyúṉki us ke gunáh ásmán tak pahuṉch gaye haiṉ, aur us kí badkáríáṉ Ḳhudá ko yád á gayí haiṉ.

6 Jaisá us ne kiyá, waisá hí tum bhí us ke sáth karo; aur use us ke kámoṉ ká do chand badla do; jis qadr us ne piyála bhará, tum us ke liye dugná bhar do.

7 Jis qadr us ne apne áp ko shándár banáyá, aur ʻaiyáshí kí thí, usí qadr us ko ʻazáb aur gam meṉ ḍál do; kyúṉki wuh apne dil meṉ kahtí hai, ki Maiṉ malika ho baiṭhí húṉ, bewa nahíṉ, aur kabhí gam na dekhúṉgí.

8 Is liye us par ek hí din meṉ áfateṉ áeṉgí, yaʻní maut, aur gam, aur kál; aur wuh ág meṉ jalákar ḳhák kar dí jáegi; kyúṉki us ká insáf karnewálá Ḳhudáwand Ḳhudá qawí hai.

9 Aur us ke sáthi harámkárí aur ʻaiyáshí karnewále zamín ke bádsháh, jab us ke jalne ká dhuwáṉ dekheṉge, to us ke liye roeṉge, aur chhátí píṭeṉge;

10 aur us ke ʻazáb ke dar se dúr khaṛe húe kaheṉge, ki Ai baṛe shahr! ai Bábil! ai mazbút shahr! afsos! afsos! ghaṛí hí bhar meṉ tujhe sazá mil gayí.

11 Aur dunyá ke saudágar us ke liye roeṉge, aur mátam kareṉge, kyúṉki ab koí un ká mál nahíṉ ḳharídne ká:

12 aur wuh mál yih hai; soná, chándí, jawáhir, motí, aur mihín katání aur argawání aur reshmí aur qirmizí kapṛe, aur har tarah kí ḳhushbúdár lakṛiyáṉ, aur háthídáṉt ke tarah tarah kí chízeṉ, aur niháyat beshqímat lakṛí, aur pítal aur lohe aur saṉg i marmar ke tarah tarah kí chízeṉ;

13 aur dárchíní, aur masálih, aur ʻúd, aur ʻitr, aur lubán, aur mai, aur tel, aur maidá, aur gehúṉ, aur maweshí, aur bheṛeṉ, aur ghoṛe, aur gáṛiyáṉ, aur gulám; aur ádmíoṉ kí jáneṉ.

14 Ab tere dilpasand mewe tere pás se dúr ho gaye; aur sárí lazíz aur tuhfa chízeṉ tujh se játí rahíṉ; ab wuh hargiz háth na áeṉgí.

15 In chízoṉ ke saudágar jo us ke sabab se máldár ban gaye the, us ke ʻazáb ke ḳhauf se dúr khaṛe húe roeṉge, aur gam kareṉge;

16 aur kaheṉge, ki Afsos! afsos! wuh baṛá shahr, jo mihín katání aur argawání aur qirmizí kapṛe pahine húe, aur sone aur jawáhir aur motiyoṉ se árásta thá!

17 ghaṛí hí bhar meṉ us kí itní baṛí daulat barbád ho gayí. Aur sab náḳhudá, aur jaház ke sáre musáfir, aur malláh, aur âur jitne samundar ká kám karte haiṉ,

18 jab us ke jalne ká dhuwáṉ dekheṉge, to dúr khaṛe húe chilláeṉge aur kaheṉge, ki Kaun sá shahr is baṛe shahr kí mánind hai?

19 Aur apne siroṉ par ḳhák dáleṉge, aur rote húe, aur mátam karte húe, chillá chillákar kaheṉge, ki Afsos! afsos! wuh baṛá shahr, jis kí daulat se samundar ke sab jaházwále daulatmand ho gaye! ghaṛí hí bhar meṉ ujaṛ gayá.

20 Ai ásmán, aur ai muqaddaso, aur rasúlo, aur nabío, us par ḳhushí karo; kyúṉki Ḳhudá ne insáf karke us se tumhárá ʻbadla le liyá.

21 Phir ek zoráwar firishte ne baṛí chakkí ke páṭ kí mánind ek patthar uṭháyá, aur yih kahkar samundar meṉ pheṉk diyá, ki Bábil ká baṛá shahr bhí isí tarah zor se giráyá jáegá, aur phir kabhí us ká patá na milegá.

22 Aur barbatnawázoṉ, aur mutriboṉ, aur báṉslí bajánewáloṉ, aur narsingá phúṉknewáloṉ ki áwáz phir kabhí tujh meṉ na sunáí degí; aur kisí peshe ká kárígar tujh meṉ phir kabhi páyá na jáegá; aur chakkí ki áwáz tujh meṉ phir kabhí na sunáí degí;

23 aur chirág kí raushní tujh meṉ phir kabhí na chamkegí; aur tujh meṉ dulhá aur dulhan kí áwáz phir kabhí na sunáí degí: kyúṉki tere saudágar zamín ke amír the; aur terí jádúgarí se sárí qaumeṉ gumráh ho gayíṉ.

24 Aur nabíoṉ aur muqaddasoṉ aur zamín ke âur sab maqtúloṉ ká ḳhún us meṉ páyá gayá.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *