Categories
Mukáshafa

Mukáshafa 17

1 Aur un sátoṉ firishtoṉ meṉ se jin ke pás sát piyále the, ek ne ákar mujh se yih kahá, ki Idhar á; maiṉ tujhe us baṛí kasbí kí sazá dikháúṉ, jo bahut se pániyoṉ par baiṭhí húí hai;

2 aur jis ke sáth zamín ke bádsháhoṉ ne harámkárí kí thí; aur zamín ke rahnewále us kí harámkárí kí mai se matwále ho gaye the.

3 Pas wuh mujhe Rúh meṉ jangal ko le gayá; waháṉ maiṉ ne qirmizí rang ke haiwán par, jo kufr ke námoṉ se lipá húá thá, aur jis ke sát sir aur das síṉg the, ek ʻaurat ko baiṭhe húe dekhá.

4 Yih ʻaurat argawání aur qirmizí libás pahine húe, aur sone aur jawáhir aur motiyoṉ se árásta thí; aur ek sone ká piyála makrúhát, yaʻní us kí harámkárí kí nápákíoṉ se bhará húá, us ke háth meṉ thá;

5 aur us ke máthe par yih nám likhá húá thá;Ráz, baṛá shahr i Bábil, kasbíoṉ aur zamín kí makrúhát kí máṉ.

6 Aur maiṉ ne us ʻaurat ko muqaddasoṉ ke ḳhún, aur Yisúʻ ke shahídoṉ ke ḳhún píne se, matwálá dekhá: aur use dekhkar saḳht hairán húá.

7 Us firishte ne mujh se kahá, ki Tú hairán kyúṉ ho gayá? Maiṉ is ʻaurat aur us haiwán ká, jis par wuh sawár hai, aur jis ke sát sir aur das síṉg haiṉ, tujhe bhed batátá húṉ.

8 Yih jo tú ne haiwán dekhá, yih pahle to thá, magar ab nahíṉ hai; aur áyanda atháh gaṛhe se nikalkar, halákat meṉ paṛegá; aur zamín ke rahnewále jin ke nám biná e ʻálam ke waqt se kitáb i hayát meṉ likhe nahíṉ gaye, is haiwán ká yih hál dekhkar, ki pahle thá, aur ab nahíṉ, aur phir maujúd ho jáegá, taʻajjub kareṉge.

9 Yihí mauqaʻ hai us zihn ká, jis meṉ hikmat hai; wuh sátoṉ sir sát paháṛ haiṉ, jin par wuh ʻaurat baiṭhí húí hai;

10 aur wuh sát bádsháh bhí haiṉ; páṉch to ho chuke haiṉ, aur ek maujúd hai, aur ek abhí áyá nahíṉ; aur jab áegá, to kuchh ʻarse tak us ká rahná zarúr hai.

11 Aur jo haiwán pahle thá, aur ab nahíṉ, wuh áṭhwáṉ hai, aur un sátoṉ meṉ se paidá húá, aur halákat meṉ paṛegá.

12 Aur wuh das síṉg jo tú ne dekhe, das bádsháh haiṉ; abhí tak unhoṉ ne bádsháhat nahíṉ páí; magar us haiwán ke sáth ghaṛí bhar ke wáste bádsháhoṉ ká sá iḳhtiyár páeṉge.

13 In sab kí ek hí ráe hogí, aur wuh apní qudrat aur iḳhtiyár us haiwán ko de deṉge.

14 Wuh Barre se laṛeṉge, aur Barra un par gálib áegá; kyúṉki wuh ḳhudáwandoṉ ká Ḳhudáwand, aur bádsháhoṉ ká Bádsháh hai; aur jo buláe húe, aur barguzída, aur wafádár us ke sáth haiṉ, wuh bhí gálib áeṉge.

15 Phir us ne mujh se kahá, ki Jo pání tú ne dekhe, jin par kasbí baiṭhí hai, wuh ummateṉ, aur guroh, aur qaumeṉ, aur ahl i zabán haiṉ.

16 Aur jo das síṉg tú ne dekhe, wuh, aur haiwán us kasbí se ʻadáwat rakkheṉge, aur use bekas aur naṉgá kar deṉge, aur us ká gosht khá jáeṉge, aur us ko ág meṉ jalá ḍáleṉge.

17 Kyúṉki Ḳhudá un ke diloṉ meṉ yih ḍálegá, ki wuh usí kí ráe par chaleṉ, aur jab tak ki Ḳhudá kí báteṉ púrí na ho leṉ, wuh muttafiquʼr ráe hokar apní bádsháhat us haiwán ko de deṉ.

18 Aur wuh ʻaurat jise tú ne dekhá, wuh baṛá shahr hai, jo zamín ke bádsháhoṉ par hukúmat kartá hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *