Categories
Matí kí Injíl

Matí kí Injíl 9

1 Phir wuh kishtí par chaṛhkar pár gayá, aur apne shahr meṉ áyá.

2 Aur dekho, log ek maflúj ko, chárpáí par paṛá húá, us ke pás láe. Yisúʻ ne un ká ímán dekhkar, maflúj se kahá; Beṭá, ḳhátir jamaʻ rakh; tere gunáh muʻáf húe.

3 Aur dekho, baʻz faqíhoṉ ne apne dil meṉ kahá; Yih kufr baktá hai.

4 Yisúʻ ne un ke ḳhayál maʻlúm karke kahá, ki Tum kyúṉ apne diloṉ meṉ bure ḳhayál láte ho?

5 Ásán kyá hai, yih kahná, ki Tere gunáh muʻáf húe, yá yih kahná, ki Uṭh aur chal phir?

6 Lekin is liye ki tum ján lo, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáhoṉ ke muʻáf karne ká iḳhtiyár hai, (us ne maflúj se kahá;) Uṭh: apní chárpáí uṭhá, aur apne ghar chalá já.

7 Wuh uṭhkar apne ghar chalá gayá.

8 Log yih dekhkar ḍar gaye, aur Ḳhudá kíi baṛáí karne lage, jis ne ádmíoṉ ko aisá iḳhtiyár baḳhshá.

9 Yisúʻ ne waháṉ se áge baṛhkar, Matí nám ek shaḳhs ko mahsúl kí chaukí par baiṭhe dekhá; aur us se kahá; Mere píchhe ho le. Wuh uṭhkar us ke píchhe ho líyá.

10 Aur jab wuh ghar meṉ kháná kháne baiṭhá húá thá, to aisá húá ki bahut se mahsúl lenewále aur gunahgár ákar Yisúʻ aur us ke shágirdoṉ ke sáth kháne baiṭhe.

11 Farísíoṉ ne yih dekhkar us ke shágirdoṉ se kahá; Tumhárá ustád mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ke sáth kyúṉ khátá hai?

12 Us ne yih sunkar kahá, ki Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko.

13 Magar tum jákar is ke maʻní daryáft karo, kí Maiṉ qurbání nahíṉ, balki rahm pasand kartá húṉ; kyúṉki maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko buláne áyá húṉ.

14 Us waqt Yúhanná ke shágirdoṉ ne us ke pás ákar kahá; Kyá sabab hai, ki ham aur Farísí to aksar roza rakhte haiṉ, aur tere shágird roza nahíṉ rakhte?

15 Yisúʻ ne un se kahá; Kyá barátí, jab tak dulhá un ke sáth hai, mátam kar sakte haiṉ? Magar wuh din áeṉge, ki dulhá un se judá kiyá jáegá, us waqt wuh roza rakkheṉge.

16 Kore kapṛe ká paiwand purání poshák meṉ koí nahíṉ lagátá, kyúṉki wuh paiwand poshák meṉ se kuchh kheṉch letá hai, aur wuh ziyáda phaṭ játí hai.

17 Aur nayí mai purání mashkoṉ men nahíṉ bharte, warna mashkeṉ phaṭ játí haiṉ, aur mai bah játí hai, aur mashkeṉ barbád ho játí haiṉ; balki nayí mai nayí mashkoṉ meṉ bharte haiṉ, aur wuh donoṉ bachí rahtí haiṉ.

18 Wuh un se yih báteṉ kah hí rahá thá, ki dekho, ek sardár ne ákar use sijda kiyá aur kahá; Merí beṭí abhí marí hai; lekin tú chalkar apná háth us par rakh, to wuh zinda ho jáegi.

19 Yisúʻ uthkar apne shágirdoṉ samet us ké píchhe ho liyá.

20 Aur dekho, ek ʻaurat ne jis ke bárah baras se ḳhún járí thá, us ke píchhe ákar us kí poshák ká kanára chhúá;

21 kyúṉki wuh apne jí meṉ kahtí thí, ki Agar sirf us kí poshák hí chhú lúṉgí, to achchhí ho jáúṉgí.

22 Yisúʻ ne phirkar use dekhá, aur kahá; Beṭí, ḳhátir jamaʻ rakh; tere ímán ne tujhe achchhá kar diyá; pas wuh ʻaurat usí ghaṛi achchhí ho gayí.

23 Aur jab Yisúʻ sardár ke ghar meṉ áyá, aur báṉslí bajánewáloṉ ko, aur bhíṛ ko gul macháte dekhá,

24 to kahá; Haṭ jáo, kyúṉki laṛki marí nahíṉ, balki sotí hai. Wuh us par haṉsne lage.

25 Magar jab bhíṛ nikál dí gayí, to us ne andar jákar, us ká háth pakṛá, aur larkí uṭhí.

26 Aur is bát kí shuhrat us tamám ʻiláqe meṉ phail gayí.

27 Jab Yisúʻ wahaṉ se áge baṛhá, to do andhe us ke píchhe yih pukárte húe chale, ki Ai Ibn i Dáúd, ham par rahm kar.

28 Jab wuh ghar meṉ pahuṉchá, to wuh andhe us ke pás áe; aur Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tumheṉ iʻtiqád hai, ki maiṉ yih kar saktá húṉ? Unhoṉ ne us se kahá; Háṉ, Ḳhudáwand.

29 Tab us ne un kí áṉkheṉ chhúkar kahá; Tumháre iʻtiqád ke muwáfiq tumháre liye ho.

30 Aur un kí áṉkheṉ khul gayíṉ. Aur Yisúʻ ne unheṉ tákid karke kahá; Ḳhabardár, koí is bát ko na jáne.

31 Magar unhoṉ ne nikalkar us tamám ʻiláqe meṉ us kí shuhrat phailá di.

32 Jab wuh báhar já rahe the, to dehko, log ek gúṉge ko us ke pás láe, jis meṉ badrúh thí.

33 Aur jab; wuh badrúh nikál dí gayí, to gúṉgá bolne lagá; aur logoṉ ne taʻajjub karke kahá, ki Isráíl meṉ aisá kabhí nahíṉ dekhá gayá.

34 Magar Farísíoṉ ne kahá, ki Yih to badrúhoṉ ke sardár ki madad se badrúhon ko nikáltá hai.

35 Aur Yisúʻ sab shahroṉ aur gáṉwoṉ meṉ phirtá rahá, aur un ke ʻíbádatḳhánoṉ meṉ taʻlim detá, aur: bádsháhat kí ḳhushḳhabarí kí manádí kartá, aur har tarah ki bímári aur har tarah ki kamzori dúr kartá rahá.

36 Aur jab us ne bhíṛ ko dekhá, to us ko logoṉ par tars áyá, kyúṉki wuh un bheṛoṉ kí mánind jin ká charwáhá na ho, ḳhastahál aur paráganda the.

37 Tab us ne apne shágirdoṉ se kahá, ki Fasl to bahut hai, lekin mazdúr thoṛe haiṉ.

38 Pas fasl ke málik ki minnat karo, ki wuh apní fasl káṭne ke liye mazdúr bhej de.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *