Categories
Marqus kí Injíl

Marqus kí Injíl 16

1 Jab Sabt ká din guzar gayá, to Maryam Magdalíní aur Yaʻqúb kí máṉ Maryam aur Salomí ne ḳhushbúdár chízeṉ mol líṉ, táki ákar us par maleṉ.

2 Wuh hafte ke pahle din bahut sawere, jab súraj niklá hí thá, qabr par áiṉ.

3 Aur ápas meṉ kahtí thíṉ, ki Hamáre liye patthar ko qabr ke muṉh par se kaun luṛhkáegá?

4 Jab unhoṉ ne nigáh kí, to dekhá ki patthar luṛhká húá hai; kyúṉki wuh bahut hí baṛá thá.

5 Aur qabr ke andar jáke, unhoṉ ne ek jawán ko safed jáma pahine húe dahiní taraf baiṭhe dekhá, aur niháyat hairán húíṉ.

6 Us ne un se kahá, Aisí hairán na ho; tum Yisúʻ Násarí ko, jo maslúb húá thá, ḍhúṉḍhti ho: wuh jí uṭhá hai; yaháṉ nahíṉ hai; dekho, yih wuh jagah hai jaháṉ unhoṉ ne use rakkhá thá.

7 Lekin tum jákar us ke shágirdoṉ aur Patras se kaho, ki Wuh tum se pahle Galíl ko jáegá; tum wahíṉ use dekhoge, jaisá us ne tum se kahá.

8 Aur wuh nikalkar qabr se bhág gayíṉ; kyúṉki larzish aur haibat un par gálib áí thí: aur unhoṉ ne kisí se kuchh na kahá, kyúṉki ḍartí thíṉ.

9 Hafte ke pahle roz, jab wuh sawere jí uṭhá, to pahle Maryam Magdalíní ko, jis meṉ se us ne sát badrúheṉ nikálí thíṉ, dikháí diyá.

10 Us ne jákar us ke sáthiyoṉ ko, jo mátam karte aur rote the, ḳhabar dí.

11 Aur unhoṉ ne yih sunkar, ki wuh jítá hai aur us ne use dekhá hai, yaqín na kiyá.

12 Is ke baʻd wuh dúsrí súrat meṉ un meṉ se do ko jab wuh díhát kí taraf paidal já rahe the dikháí diyá.

13 Unhoṉ ne bhí jákar báqí logoṉ ko ḳhabar dí, magar inhoṉ ne un ká bhí yaqín na kiyá.

14 Phir píchhe wuh un gyárah ko bhí, jab kháná kháne baiṭhe the, dikháí diyá, aur un kí be iʻtiqádí aur saḳhtdílí par malámat kí; kyúṉki jinhoṉ ne us ke jí uṭhne ke baʻd use dekhá thá, unhoṉ ne un ká yaqín na kiyá thá.

15 Aur us ne un se kahá, ki Tum tamám dunyá meṉ jákar sárí ḳhalq ke sámne Injíl kí manádí karo.

16 Jo ímán láe aur baptisma le, wuh naját páegá: aur jo ímán na láe, wuh mujrim ṭhahráyá jáegá.

17 Aur ímán lánewáloṉ ke darmiyán yih muʻjize hoṉge: wuh mere nám se badrúhoṉ ko nikáleṉge;

18 nayí nayí zabáneṉ boleṉge; sáṉpoṉ ko uṭhá leṉge; aur agar koí halák karnewálí chíz píeṉge, unheṉ kuchh zarar na pahuṉchegá; wuh bímároṉ par háth rakkheṉge, to achchhe ho jáeṉge.

19 G̣araz Ḳhudáwand Yisúʻ un se kalám karne ke baʻd ásmán par uṭháyá gayá, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭh gayá.

20 Phir unhoṉ ne nikalkar har jagah manádí kí, aur Ḳhudáwand un ke sáth kám kartá rahá, aur kalám ko, un muʻjizoṉ ke wasíle se jo sáth sáth hote the, sábit kartá rahá. Ámin.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *