Categories
I Yúhanná

I Yúhanná 1

1 Us zindagí ke Kalám kí bábat jo ibtidá se thá, aur jise ham ne suná, aur apní áṉkhoṉ se dekhá, balki gaur se dekhá, aur apne háthoṉ se chhúá;

2 (yih zindagí záhir húí, aur ham ne use dekhá, aur us kí gawáhí dete haiṉ, aur isí hamesha kí zindagí kí tumheṉ ḳhabar dete haiṉ jo Báp ke sáth thí, aur ham par záhir húí);

3 jo kuchh ham ne dekhá aur suná hai, tumheṉ bhí us kí ḳhabar dete haiṉ, táki tum bhí hamáre sharík ho: aur hámárí shirákat Báp ke sáth, aur us ke Beṭe Yísúʻ Masíh ke sáth hai.

4 Aur yih báteṉ ham is liye likhte haiṉ ki hamárí ḳhushí púrí ho jáe.

5 Us se sunkar jo paigám ham tumheṉ dete haiṉ, wuh yih hai, ki Ḳhudá núr hai, aur us meṉ zará bhí táríkí nahíṉ.

6 Agar ham kaheṉ, ki hamárí us ke sáth shirákat hai, aur phir táríkí meṉ chaleṉ, to ham jhúṭhe haiṉ, aur haqq par ʻamal nahíṉ karte;

7 lekin agar ham núr meṉ chaleṉ, jis tarah ki wuh núr meṉ hai, to hamárí ápas meṉ shirákat hai, aur us ke Beṭe Yisúʻ ká ḳhún hameṉ tamám gunáh se pák kartá haí.

8 Agar ham kaheṉ, ki ham begunáh haiṉ, to apne áp ko fareb dete haiṉ, aur ham meṉ sach-cháí nahíṉ.

9 Agar apne gunáhoṉ ká íqrár kareṉ, to wuh hamáre gunáhoṉ ke muʻáf karne, aur hameṉ sárí nárástí se pák karne meṉ sachchá aur ʻádilhaí.

10 Agar kaheṉ, ki ham ne gunáh nahíṉ kiyá, to use jhúṭhá ṭhahráte haiṉ, aur us ká kalám ham meṉ nahíṉ hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *