Categories
I Thissaluníkíoṉ

I Thissaluníkíoṉ 1

1 Paulus, aur Silwánus, aur Tímuthiyus kí taraf se, Thissaluníkíoṉ kí kalísiyá ke nám, jo Ḳhudá Báp aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh meṉ hai. Fazl aur itmínán tumheṉ hásil hotá rahe.

2 Tum sab ke báre meṉ ham Ḳhudá ká shukr hamesha bajá láte haiṉ; aur apní duʻáoṉ meṉ tumheṉ yád karte haiṉ;

3 aur apne Ḳhudá aur Báp ke huzúr tumháre ímán; ke kám, aur mahabbat kí mihnat, aur us ummed ke sabr ko bilánága yád karte haiṉ, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí bábat hai;

4 aur ai bháiyo, Ḳhudá ke piyáro, ham ko maʻlúm hai ki tum barguzída ho;

5 is liye ki hamárí ḳhushḳhabarí tumháre pás na faqat lafzí taur par pahuṉchí, balki qudrat aur Rúhuʼl Quds aur púre iʻtiqád ke sáth bhí; chunáṉchi tum jánte ho, ki ham tumhárí ḳhátir tum meṉ kaise ban gaye the.

6 Aur tum kalám ko baṛí musíbat meṉ Rúhuʼl Quds kí ḳhushí ke sáth qubúl karke, hamárí aur Ḳhudáwand kí mánind bane;

7 yaháṉ tak kí Makiduniya aur Aḳhaya ke sáre ímándároṉ ke liye namúna bane.

8 Kyúṉki tumháre háṉ se na faqat Makiduniya aur Aḳhaya meṉ Ḳhudáwand ke kalám ká charchá phailá hai, balki tumhárá ímán jo Ḳhudá par hai har jagah aisá mashhúr ho gayá hai, ki hamáre kahne kí kuchh hájat nahíṉ.

9 Is liye ki wuh áp hamárá zikr karte haiṉ, ki tumháre pás hamárá áná kaisá húá; aur tum butoṉ se phirkar Ḳhudá kí taraf rujúʻ húe, táki zinda aur haqíqí Ḳhudá kí bandagí karo,

10 aur us ke Beṭe ke ásmán par se áne ke muntazir raho, jise us ne murdoṉ meṉ se jiláyá, yaʻní Yisúʻ ke, jo ham ko ánewále gazab se bachátá hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *